Kuch Lafz, Maula E Kaynat Ki Shaan Mein

Kuch Lafz, Maula E Kaynat Ki Shaan Mein ⬇
.
Babul Ilm, Ameerul Momineen, Imam Ul Auliya, Hazrat Maula Ali (کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم) Woh Hasti Hai Jinse Sirf Muhabbat Tamam Adam E Aulaad Ko Bakshwa Sakti Hai.

Babul Ilm, Ameerul Momineen, Imam Ul Auliya, Hazrat Maula Ali (کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم) Woh Hasti Hai Jinke Sadqe Allah Auliya Banata Hai Wilayat Deta Hai.

Babul Ilm, Ameerul Momineen, Imam Ul Auliya, Hazrat Maula Ali (کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم) Woh Hasti Hai Jinko Khud Allah Ke Mehboob Hazrat Muhammad Mustafa (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Apni Ummat Ka Ameer Banaya Hai.

Babul Ilm, Ameerul Momineen, Imam Ul Auliya, Hazrat Maula Ali (کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم) Woh Hasti Hai Duniya e Kaynat Mein Jo DoJaha (Duniya O Akhirat) Mein Bhai Hai Allah Ke Rasool (صلى الله عليه وآله وسلم) Ke.

Babul Ilm, Ameerul Momineen, Imam Ul Auliya, Hazrat Maula Ali (کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم) Woh Hasti Hai Jo Allah O Rasool Ke Baad Tamam Ilm Ke Malik Hai.

Babul Ilm, Ameerul Momineen, Imam Ul Auliya, Hazrat Maula Ali (کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم) Woh Hasti Hai Jo Huzoor Muhammad (صلى الله عليه وآله وسلم) Ke Baad Tamam Jaha Ke Aur Allah Ki Makhlooq Ke Maula Hai.

Babul Ilm, Ameerul Momineen Imam Ul Auliya Hazrat Maula Ali (کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم) Woh Hasti Hai Jinki Shaan Allah Khud Bayan Karta Tha Apne Mehboob Muhammad Mustafa (صلى الله عليه وآله وسلم) Ki Zubaan Mubarak Se.

Babul Ilm, Ameerul Momineen Imam Ul Auliya Hazrat Maula Ali (کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم) Woh Hasti Hai Jo Saari Duniya Se Mimbar Pe Chad Ke Kahe Puche Mujhse Isse Pehle Ke Kho Do.

Babul Ilm, Ameerul Momineen Imam Ul Auliya Hazrat Maula Ali (کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم) Woh Hasti Hai Jo Meshar Mein Jaam E Kausar Pilayge Apne Haa to Se.

Babul Ilm, Ameerul Momineen Imam Ul Auliya Hazrat Maula Ali (کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم) Woh Hasti Hai Jo Nabuwat Ke Baad Imamat O Wilayat Ke Malik Hai.
.
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ

Advertisement

Aaj Unka Wisaal Hai, Jinke Kharche se Islam ka Charcha Hai!

Aaj Unka Wisaal Hai, Jinke Kharche se Islam ka Charcha Hai!

Apne Zamane ki aurato me sabse Afzal, Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihu wa Sallam ki Sabse Pehli Rafiqa-e-Hayaat Jinhe Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam hamesha Yaad karte they.
Wo Hasti jinhone sabse pehle Islam kabool kiya aur Imaan Laayin,
Wo Hasti jab saare log RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki mukhalifat karrahe they to Unhone Huzoor ka Saath diya,
Jinka Is Ummat par aisa Ehsan hai jo koi ada nahi karsakta,
Jinhone sabse pehle Apna Maal Islam keliye kharch kiya,
Wo Jinko RasoolAllah ne farmaya Apne zamane ki saari aurato se Afzal!
Wo Hasti Jinpe Khud Allah Rabbul Izzat aur Hazrat Jibrael Alaihissalam Apna Salam Bhejte Hain
Wo Hasti Jinke Yahan Sayyeda-e-Kainat Sayyedatun Nisa Al Aalameen Hazrat Fatimah Tuz-Zahra Paida Huin,
Wo Hasti Jinke Gharane me Hasanain Kareemain Aaye,

Wo Hasti Ummul Momineen Hazrat Sayyeda Khadijatul Kubra Salamullahi Alaiha RadiAllahu Ta’ala Anha Salawatullahi Alaiha wa Ahle Baytiha ka aaj 10 Ramzan Youm-e-Wisaal hai.

Jis Saal Aap RadiAllahu Anha is duniya se parda farma gaye usi saal Hazrat Sayyeduna Abu Talib RadiAllahu Anhu bhi duniya se rukhsat hogaye isliye Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne us saal ko Gum ka Saal karar diya.

UMMUL MOMINEEN KI SHAAN RASOOLALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KI NAZAR ME

“Hazrat Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha bayan farmati hain ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam jab kabhi bhi Hazrat Khadija RadiAllahu Anha ka Zikr farmate to Unki khoob Taareef farmate. Aap farmati hain ke ek din Mai gusse me aagayi aur Maine kaha ke Aap surkh Rukhsaaro Waali ka tazkira bahot zyada karte hain halanke Allah Tabarak wa Ta’ala ne Us se behtar Aurate Uske Nema Badal ke tour par Aapko ata farmayi hain. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
Allah Ta’ala ne Mujhe Us se behtar badal ata nahi farmaya, Wo to aisi Khatoon Thi jo Mujhpar us waqt Imaan Laayi jab log Mera inkar kar rahe they, aur Meri us waqt tadeeq ki jab log Mujhe jhutla rahe they aur Apne maal se us waqt Meri Dhaaras bandhaayi jab log Mujhe mehroom karrahe they aur Allah Tabarak wa Ta’ala ne Mujhe Us se Aulad ata farmayi jabki dusri Aurato se Mujhe Aulad ata farmane se mehroom rakha.”

Musnad Imam Ahmed Bin Hanbal, 3/203, #4846
Manavi, Fayd ul Qadir, 3/431
Zahabi, Siyar A’ala An Nubala, 2/116

Kamse kam 2 Rakat Nafl padhke Aap Salamullahi Alaiha ki Bargah-e-Pak me Tohfatan Pesh karen

(Alaihim Afdalus Salawatu was-Salaam)

Allahumma Salli ala Muhammadin-Nabiyyi wa Azwajihi Ummahatul Mumineen wa Zurriyatihi wa Ahli Baytihi, kama Swal-laita ala Ibrahima Innaka Hamidum Majid

What is Taqwa??

Explain to your children how Taqwa is the major part of our religion and how to instil in our lives.

*What is Taqwa?*

*Taqwa* is not only about manners..
*Taqwa* is not about looking Islamic…
*Taqwa* is not about sporting a beard or wearing a Hijab…
*Taqwa* is not about appearance

*BUT*

*🔸️Taqwa* is when you miss a prayer, you feel uneasy the whole day…
*🔸️Taqwa* is when you speak a lie, you feel bad…
*🔸️Taqwa* is the guilt that follows when you hurt someone knowingly or unknowingly…
*🔸️Taqwa* is the shame and regret that follows a sin you committed knowing full well how it stands in the sight of Allah…
*🔸️Taqwa* is when you cannot sleep after disobeying or disrespecting your parents…
*🔸️Taqwa* is to cry in the depths of night fearing none but the one above the Arsh…
*🔸️Taqwa* is the fear that refrains us from sinning when nobody familiar is around…
*🔸️Taqwa* is the guts and the will to please Allah, even when the whole world is hell bent on displeasing Him…
*🔸️Taqwa* is to wear that beard and Hijab for the sole reason of pleasing our Creator and to keep it on as per Sunnah….
*🔸️Taqwa* is to stay happy and smiling, knowing that this world is a prison for believers…
*🔸️Taqwa* is the good manners and character we practice for the sake of Allah…
*🔸️Taqwa* is the struggle to better ourselves according to Islam, with each passing day…
*🔸️Taqwa* is not just about rising in deen, but about falling, rising again and never letting go!
*🔸Taqwa* is all about what is IN OUR HEARTS.

_And if our hearts are filled with proper *Taqwa*, then actions automatically follow…_
_And the sweetness of these actions is so fulfilling!_

You are not forced to share….
_*But as Allah Subhanahu Taala says:*_
_*Remind, for reminder benefits the believers*_ ✨

ROZE KI HAQEEQAT

ROZE KI HAQEEQAT

Roze ki haqeeqat rukna hai aur puri tareeqat isme pinha hai. Roze ka adna darja bhuke rahna hai kyunki bhuka rahna zameen par khuda ka ta’aam hai. Bhuke rahne ko shariyat aur aql dono pasand karte hain.

Ruke rahne ke sharayat bahut hain. Maslan me’ade ko khane pine se roke rakha, aankh ko shahwani nazar, kaan ko geebat sunne, zuban ko behuda aur fitna angrez baaton krne aur jism ko dunyabi aur mukhaalfate hukme ilahi se roke rakhna roza hai. Jab banda un tamam sharayat ki pairwi karega tab woh haqeeqatan rozedaar hoga.

Isliye rozedaar ko laazim hai ki apne hawason ko kaabu men rakhe taaki mukhaalifat ke mukaabla me muwafiqat ka huzur ho aur woh sahih maane men rozedaar ho warna khane peene ka roza to bachhe bhi rakh lete h aur budhi auraton bhi rakhti hai halanki roza ka haqeeqi maqsad nafshani khwahish aur dunyabi khel kud se bachna hai kyunki haq tala farmata hai kya humne paigambaron ke jismon ko aisa nahi banaya ki woh khana na khaye aur farmata kya tum yeh gumaan krte ho ki humne tumhe bekar paida kiya ? Mtlb yeh hai ki humne har tabiyat ko khane ka hajatmand banaya aur har makhluq ke liye iski khatir hila bahana paida farmaya. Lihaza rukna to khel kud aur haraam chizon se chahiye na ki halal chizon ke khane se (Kashful Mahjub)

Baaz ulmaye kiraam ne farmaya ki kitne hi rozedaar roze ke begair aur kitne hi beroza, rozedaar hote hai. Roza na rakhne ke bawajud rozedaar wo shakhs hai jo apne aaza ko gunahon se bachata hai, agarche wo khata peeta bhi hai aur roza rakhne ke bawajud beroza wo shakhs hai jo bhuka aur pyasa apne aaza ko khuli chhutti deta hai (Ihya ul uloom jild 1)

Isliye Huzur Nabiye Kareem Mohammad (S.A.W) ne farmaya – Kitne hi rozedaar hai jinko apne roze se bhuk aur pyas ke siwa kuch hasil nahi hota (Sunan ibn Maza)

Hadith : Manaqib e Fazail Hazrat Khadijah SalamUllahAlaiha

Allahu Akbar Kya Shaan Hai Sayyeda Khadijah Salamullah Alaiha Ki Ke Khud Haq Ta’ala Unhein Salam Pohchata Hai ❤

Imam Ali Alayhissalam Farmate Hein Ke Rasoolullah (ﷺ) Ne Farmaya Apne Zamane Mein Maryam Sabse Afzal Aurat Thin, Aur Is Ummat Mein Khadijah Sabse Afzal Hein.

(Sahih Bukhari, Hadees-3815)

Sayyeda Ayesha RadiAllahu Anha Bayan Karti Hein Ke Rasoolullah (ﷺ) Ne Sayyeda Khadijah Salamullah Alaiha Ki Wafat Tak Dusri Shaadi Nahi Ki.

(Sahih Muslim, Hadees-6157)

Sayyeda Ayesha Farmati Hein Maine Rasoolullah (ﷺ) Ki Kisi Zauja Par Itna Rashk Nahi Kiya Jitna Sayyeda Khadijah Par Kiya, Kyunki Rasoolullah (ﷺ) Aksar Unka Zikr Kiya Karte Thae Unhone Bayan Kiya Ke Aap (ﷺ) Se Mera Nikah Unki Wafat Ke Baad Hua Tha Aur Allah Ne Unhein Hukm Diya Tha Ya Sayyedna Jibraeel Alayhissalam Ke Zariye Ye Paigham Pohchaya Tha Ke Aap (ﷺ) Unhein Jannat Mein Motiyon Ke Ek Mahal Ki Basharat De Den.

(Sahih Bukhari, Hadees-3816)

Sayyeda Ayesha Farmati Hein Maine Rasoolullah (ﷺ) Ki Kisi Zauja Par Itna Rashk Nahi Kiya Jitna Sayyeda Khadijah Par Kiya, Halake Maine Unko Dekha Tak Nahi Magar Wajah Ye Thi Ke Rasoolullah (ﷺ) Unka Zikr Bohot Kiya Karte Thae Aur Jab Kabhi Bakri Zibah Karte Toh Uske Paarche Bana Kar Sayyeda Khadijah Ki Dost Auraton Ko Bhej Dete Mein Kabhi Aapse Yun Kehti Shayad Khadijah Ke Siwa Aur Duniya Mein Koi Aurat Thodi Thi Toh Rasoolullah (ﷺ) Farmate Khadijah Mein Ye Sifatein Thi Aur Meri Aulad Unhi Ke Pait Se Huyi.

(Sahih Bukhari, Hadees-3818)

Ismail Ne Bayan Kiya Ke Maine Abdullah Bin Abi Aufa Se Pucha Rasoolullah (ﷺ) Ne Sayyeda Khadijah Ko Basharat Di Thi? Unhone Farmaya Ke Haan Jannat Mein Motiyon Ke Ek Mahal Ki Basharat Di Thi Jahan Na Koi Shor Hoga Na Koi Gham Aur Na Thakan Hogi.

(Sahih Bukhari, Hadees-3819)

Sayyedna Abu Hurairah Bayan Karte Hein Ke Jibraeel Alayhissalam Rasoolullah (ﷺ) Ki Khidmat Mein Hazir Huye Aur Arz Kiya Ya Rasoolullah! Ye Khadijah Aapki Khidmat Mein Hazir Hein Inke Pas Ek Bartan Hai Jismein Salan Hai Ya Farmaya Khana Ya Koi Aur Mashrub Hai, Jab Ye Aapke Pas Aayen Toh Unko Unke Rab Ki Janib Se Salam Pohcha Dijiyega Aur Meri Taraf Se Bhi Aur Unhein Jannat Mein Motiyon Ke Mahal Ki Basharat De Dijiyega Jahan Na Shor Hoga Aur Na Takleef Aur Thakan Hogi.

(Sahih Bukhari, Hadees-3820)

*10 Ramzan ul Mubarak*

*Yaume Wisaal*

*Zuaja e Imaam ul Ambiya Madar e Syyeda e Kaynat Malka e Arab Mohsina e Islaam Ummul Momineen Hazrat Syyeda Khadija tul Kubra (Salamun Aleha)*

*Aapki Wiladat 555 Esvi Me Hui, Aapka Wisaal 10 Ramzan ul Mubarak 10 Nabawi Mutabik 619 Esvi Me Hua, Aap Shehansha e Qull Huzoor Ahmad e Mujtuba Muhammad Mustafa (Sallallahu Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam) Ki Pehli Zauja e Mohtarma Syyeda e Kaynat Syyeda Fatima Zehra (Salamun Aleha) Ki Walida Majida Aur Hazraat e Hasnain Karimain (Alaihimus Salam) Ki Nani Jan Thi, Aapke Damad Mola e Kaynat Mola Imaam Ali (Alaihis Salam) Aur Ameer ul Momineen Hazrat Syedna Usman Ghani (Razi Allahu Tala Anhu) Hain, 595 Esvi Me Huzoor (Alaihis Salam) Ne 4 Miskaal Sona Maher Ke Ewaz Me Aapse Nikah Farmaya, Khutba e Nikah Mohsine Islaam Hazrat Syedna Abu Talib (Alaihis Salam) Ne Padha, Huzoor (Alaihis Salam) Ne Aapse Bhut Zada Muhabbat Farmate The, Aapki Hayaat Me Huzoor (Alaihis Salam) Ne Kisi Dusri Aurat Se Nikah Nahi Kiya, Hazrat Syedna Ibrahim (Razi Allahu Tala Anhu) Ke Alawa Huzoor (Alaihis Salam) Ki Tamaam Aulad Apse Hi Hain, Huzoor (Alaihis Salam) Ne Aapki Shan Me Farmaya:- Jis Tarha Apne Zamane Ki Behtareen Aurat Maryam Hain (Hazrat Syedna Isa Alaihis Salam Ki Walida Majida) Aur Apne Zamane Ki Behtareen Aurat Khadija Hain, Aapne Aurto Me Sabse Pehle Islaam Apnaya Aur Huzoor (Alaihis Salam) Ke Sath Namaz Padhna Aur Ibadat Karna Shuru Kiya, Jab Ahle Makkah Ne Huzoor (Alaihis Salam) Ki Mukhalifat Karna Shuru Kiya Tab Aap Har Haal Me Huzoor (Alaihis Salam) Ke Saath Rahi Aur Hosla Deti Rahi, Aapka Is Ummat Par Aesa Ehsan Hain Jo Koi Ada Nahi Kar Sakta Aapne Sabse Pehle Apna Maal Islaam Ke Liye Kharch Kiya, Aapne Apni Tamaam Milkiyat Huzoor (Alaihis Salam) Ko De Di Thi, Khud Allah Kareem Aur Hazrat Jibrael (Alahis Salam) Aap Par Apna Salaam Bhejte Hain, Jis Saal Aapka Wisaal Hua Usi Saal Hazrat Syedna Abu Talib (Alaihis Salam) Ka Bhi Wisaal Hua Tha, Huzoor (Alaihis Salam) Ko Aap Dono Ke Duniya Se Tashrif Le Jane Ka Itna Gum Hua Aapne Us Pure Saal Ko Gum Ka Saal Karar Diya, Aapka Mazar Mubarak Jannat ul Mualla, Makka Mukarrama, Saudia Arabia Me Marjai Khaliak Hain…*