Blog

Hazrat Ammar Ka Qatil Jahannami Hain

*Hazrat Ammar Bin Yasir (Part 3)*

_Hazrat Ammar Ka Qatil Jahannami Hain_

Hazrat Abdullah Razi Allahu Tala Anhu Farmate Hain :- Do Aadmi Amar Ibn Al Aas Ke Pas Aaye Jo Ke Hazrat Ammar Bin Yasir Razi Allahu Tala Anhu Ke Khoon Ke Bare Me Aur Unke Saaz o Saman Ke Husool Ke Liye Aapas Me Ladh Rahe The Amar ibn Al Aas Ne Bola Ye Mauzu Chod Do Kyunki Mene Rasoolullah ﷺ Ko Farmate Hue Suna Hai Ke :- Aye Allah! Quraish Ammar Ke Khoon Ke Bhut Shauqeen Hain Beshak! Ammar Ka Qatil Aur Unka Saaz o Saman Lene Wala Dozakhi Hain.

📚 *Reference* 📚
Mustadrak Al Hakim, Hadees No 5661.

Shaan e Imaam e Hasan (Part 1)

*Shaan e Imaam e Hasan (Part 1)*

Huzoor Nabi e Kareem Hazrat Muhammad ﷺ Ne Hazrat Imaam Hasan Alahis Salam Ko Apne Seene Mubarak Se Lagakar Dua Ki Aye Allah Me Isse Muhabbat Karta Hu Aur Tu Bhi Isse Muhabbat Farma Aur Jo Isse Muhabbat Kare Usse Bhi Muhabbat Farma, Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Tala Anhu Farmate Hain Ke Us Waqt Se *Hasan Bin Ali Se Aur Koi Mere Liye Badhkar Nahi.*

📚 *Reference* 📚
Bukhari As Sahih, Jild 3, Safa 1369, Hadees No 3537.

sab se bada muttaqi

Ummat-e-Muhammadi mein
sab se bada muttaqi, yani Allah se sab se zyada darne wala, khashiyat rakhne wala, aur Allah ki zaat ke maamle mein sab se zyada sakht kaun hai?

Allah Ta‘ala ne Qur’an-e-Paak mein irshad farmaya:

“Inna akramakum ‘indallahi atqakum”
(Surah al-Hujurat: 13)

Tarjuma:
“Allah ke nazdeek tum sab mein se sab se zyada ba-izzat woh hai jo tum mein se sab se zyada (Allah se) darne wala hai.”




Sayyidi Rasulullah ﷺ ne Maula Ali (alaihis-salam) ke bare mein farmaya:

“Fa wallahi lahuwa akhshanu fi zaatillah, wa fi sabilillah.”

Farmaya:
“Allah ki qasam, woh (Ali) Allah ki zaat ke maamle mein aur Allah ki raah mein sab se zyada Allah se khauf rakhne wale hain.”