
SADAAT (SAYYADO’N) Kaun Hai ???
Ahle Bayt e Nabi Kaun Hai aur Unki Fazail ..
- मनाक़िबे अहले बैत -: कुरान की रोशनी में
- The Eminence of Ahlul Bayt According to the Holy Quran-Ayat e Qurba
- Nabi Pak ﷺ khandan aur nasab (lineage) ki fazilat.
- आयते मुबाहला
- AYAT-E-TATHEER
- अहले बैत की शान व जुबाने कुरान
AZMAT E SADAAT AZ MUJADDID E ALF SAANI SHEIKH SAR HINDI R.A
SADAAT KASEERULBARKAAT KI PAAK DARGAH DEEN DUNIYA KE SARDAR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KE BADAN KA JUZU (HISSA) AUR AULAAD HONE KE
BA’IS ISS SE BADH KAR HAI KI ISKI TAREEF AUR TAUSEEF HO SAKE (HAA SHEIKH AHMAD SARHINDI) ISS KO APNI SA’ADAT KA WASEELA BANA KAR ISS BAARE MEIN JURAAT KARTA HAI BALKI ISS SE APNE AAP KO SATAI’SH KARTA HAI AUR INKI MUHABBAT KO JISKA HAME HUKM HAI ZAHIR KARTA HAI.
YA ALLAH TU SAYYADUL MURSALEEN SALLALLAHU ALAIHE WASALLAM KE TUFAIL
SADAAT KE MUHIBBO MEIN SE HUMKO BANA!
(MAKTUBAAT E IMAM RABBANI AZ MUJADDID ALF SAANI ALAEH RAHMA MAKTOOB NO. 56 )

BANI HASHIM (SADAAT ) KI ZYARAT NAFLI IBADAT KA DARJA RAKHTI HAI !
HAZRAT UMAR RAZIALLAHU ANHU SE KAI TURUQ SE YE RIWAYAT AAI HAI KE UNHONE HAZRAT ZUBAIR RAZIALLAHU ANHU SE KAHA HAMARE SATH CHALIYE HUM
HASAN BIN ALI RAZIALLAH ANHUMA KI ZIYARAT KARNA CHAHTE HAIN HAZRAT
ZUBAIR RAZIALLAHU ANHU NE ZARA DER KI TO AAPNE FARMAYA !
KYA AAPKO ILM NAHI KE BANI HASHIM KI AYADAT KARNA FARZ AUR UNKI ZIYARAT
KARNA NAFL HAI.(ALSAWAIQUL MUHARRIQA URDU AZ SHAIKHUL ISLAM AHMAD BIN HAJAR MAKKI
RAHMATULLAH ALAIH SAFA – 414, 415.

HAZRAT ABU ZAR GHAFFARI RAZIALLHU ANHU BAYAN KARTE HAIN KE HUZOOR NABI KAREEM SALLALLAHU ALAIHE WASALLAM NE FARMAYA MERI AHLE BAIT KI MISAAL
HAZRAT NOOH ALAIHISSALAM KI KASHTI KI SI HAI JO ISS MEIN SAWAAR HO GAYA
NIJAAT PA GAYA AUR JO ISS SE PEECHE RAH GAYA WOH GHARK HO GAYA AUR AAKHRI
ZAMAANE MEIN JO HAMEIN (AHLE BAIT KO) QATL KAREGA GOYA WOH DAJJAL KE
SATH MIL KAR QATTAL KARNE WALA HAI –
ISS HADEES KO IMAM TIBRANI NE BAYAAN KIYA HAI.

TAJDAAR SAAHU CHAK SHAREEF AUR AHLE BAIT SE MUHABBAT
MERE SHIEKH KAAMIL AUR NANA HUZOOR SHIEKHUL ISLAAM HAZRAT KHWAJA SOOFI ALLAH RAKHA MURSHIDO RAHNUMA RAHMATULLAH ALAIH NE ARSA E
BAYALEES SAAL KHANWADAH RASOOL SALLALLAHU ALAIHE WASALLAM KE GHAR ALIPUR SAIDA’N SHAREEF MEIN GUZAREY. AAP KE JO BACHPAN SE HE RASOOL ALLAH
SALLALLAHU ALAIHE WASALLAM AUR AHLE BAIT KE SATH MUHABBAT KE WAQEAAT HAIN WOH BAHUT TAWEEL GUFTUGU HAI. LEKIN MAI YAHAN MUKHTASAR SE IRSHADAAT KA ZIKR KAR DOO’N KYUNKI AAPKA HALQA E IRADAT BAHUT WASIH HAI TAAKE AAPKE AQIDATMUND AAP KE ISS AMAL KO APNA SAKE’N.AAP FARMATE HAIN KI MAINE RASOOL ALLAH SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KE SACHCHE AASHIQ AUR AAPKI BETI SAYYADAH FATMA ZAHRAH RAZIALLAH ANHA KE BETE AMEER E MILLAT PEER SAYED JAMAAT ALI SHAH RAHMATULLAH ALAIH KE DAST HUQ PARAST PAR BAIT KI PHIR HAR WAQT KHANWADA E RASOOL KI KHIDMAT MEIN MASROOF RAHTE KABHI SAYYAD ZADO’N KO KAANDHO’N PAR BAITHA KAR GALIYO’N MEIN PHIRTE KABHI INKE QADMO’N AUR HATHO KO BOSE DETE JO KHANA WOH CHHOD DETE YAANI BACH JATA WOH KHA LETE. AAP FARMATE KE RASOOL ALLAH SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KI MUHABBAT AUR AAPKE AALE PAAK KI MUHABBAT WA KHIDMAT KE BA’IS AAJ YE MUJH PAR ATA HAI KE MAIN HAMA WAQT RASOOL ALLAH SALLAHU ALAIHE WASALLAM KE DEEDAR MEIN MASH’GHOOL RAHTA HOON AUR JO BAAT BHI KARTA HOON RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHE WASALLAM KE HUKM SE KARTA HOON.

KASHIF AL BAHERA AUR EK SYEDZAADA
HAZRAT IMAM ABU YUSUF NIBHANI R.A LEKHTE HAIN KE MERE SARDAR AUR IMAM ABDULWAHAB SHAIRANI R.AFARMATE HAIN MUJHE SYED SHARIF R.A NE ZAWIYA E KHITAB MEIN BATAYA KE KASHIF BAHERA NE EK SYED KO MARA PETA TO RAAT KO ISS NE KHAWAB MEIN RASOOL ALLAH S.A.W KO DEKHA KI AAPNE ISS SE RUKH PHER RAKHA HAIN . KASHIF NE ARZ KIA YA RASOOL ALLAH S.A.W MERI KYA KHATA HAI.AAP S.A.W NE FARMAYA KI TU MUJHE MARTA HAI HALA KI MAIN QAYAMAT KI DIN TERI SHAFAT KARNEWALA HOON.
KHASIF NE KAHA YA RASOOLALLAH S.A.W MAINE HARGIZ AISA NAHI KIYA .AAPNE FARMAYA KI KYA TUNE MERE BETE KI PETAI NAHI KI KASHIF KE IQRAR PAR SARWARE DOO JAHAN S.A.W NE FARMAYA TERI HAR ZARB MERE HAATH PAR PADI HAIN PHIR AAPNE APNA HAATH MUBARAQ DEKHAYA JO SOOZISH KE WAJAH SE YOO’N MALOOM HOTA THA KI JAISE SHAHAD KI MAKHI NE DANK MARA HO.
ALLAH RABBUL IZZAT HAME AFIYAT ATA FARMAYE

HAZRAT JABIR BIN ABDULLAH BAYAN KARTE HAIN KE AALE RASOOL ALLAH S.A.W KI EK KHADMA THI JO INKI KHIDMAT BAJA LATI ISE BARERA KAHA JATA THA BUS ISSE EK AADMI MILA AUR KAHA AYE BARERA APNI CHOTI KO DHAK KAR RAKHA KARO BESHAQ RASOOL ALLAH S.A.W TUMKO ALLAH KE TARAF SE KUCH FAYAD NAHI PAHUCHA SAKTE RAAVI BAYAN KARTE HAI BUS USNE HUZOOR NABI S.A.W KO IS WAQIYA KI KHABAR DI. BUS AAP S.A.W APNI CHAADAR KO GHASEET’TE HUWE BAHAR AYE’N AUR HUZOOR S.A.W KE DONO RUQSAAR MUBARAQ SURUKH THE AUR HUM (ANSAAR KA GIROH) HUZOOR S.A.W KE JALAL KO AAPKE CHAADAR KE GHASEETNE AUR RUQSAROON KE SURUKH HONE SE PAHACHAN LETE THE BUS HUMNE ASSLAH UTHAYA AUR HUZOOR S.A.W KE PASS AGAYE AUR ARZ KIYA YA RASOOL ALLAH AAP JO CHAHTE HAIN HUME HUKM DE BUS USS ZAAT KI KASAM JISNE AAP S.A.W KO HAQ KE SAATH MABOOS FARMAYA AGAR AAP HUME HUMARI MAOON ABA O AULAD KE BARE MEIN BHI KOI HUKM FARMAYENGE TU HUM UNME BHI AAP S.A.W QAUL KO NAFIZ KARDENGE BUS AAP S.A.W MIMBER PE TASHRIF FARMA HUWEN AUR ALLAH TALA KI HAMAD O SANA BAYAN KI AUR FARMAYA MAIN KAUN HOON? HUM NE ARZ KIA AAP ALLAH KE RASOOL HAIN AAP S.A.W NE FARMAYA HAAN LEKIN MEIN KAUN HOON? HUMNE ARZ KIA MUHAMMAD BIN ABDULLAH BIN ABDUL MUTALIB BIN HASHIN BIN ABDE MANAF AAP S.A.W NE FARMAYA MAIN HAZRAT ADAM A.S KI AULAD KA SARDAR HOON LEKIN KOI FAKHAR NAHI MAIN WOH PAHELA SHAKS HOON JIS QABR LEKIN KOI FAKHAR NAHI MAIN WOH PAHELA SHAKS HOON JIS KI SAR SE MATTI JHADHI JAYEGI LEKIN KOI FAKHAR NAHI AUR MAIN SABSE PAHELE JANNAT MEIN JAONGA LEKIN FAKHAR NAHI .UN LOGO KO KYA HOGAYA HAI JO YEH GUMAN KARTE HAIN KE MERA NASAB WA TALLUQ FAYEDAH NAHI DEGA AISA NAHI JAISA WOH GUMAAN KARTE HAIN. BESHAQ MAIN SHAFAT KARONGA AUR MERE SHAFAT QUBOOLBHI HOGI AUR YAHAN TAK KE JISKI MAIN SHAFAT KARONGA WOH YAQEENAN DUSRON KI SHAFAT KAREGA AUR USKI BHI SHAFAT QUBOOL HOGI.
(RAWAYAT TIBRANI)



