
*Duniya ka sabse badtareen aadmi…
*
“Hazrat Ammar bin Yasir RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke gazwa “Zaatul Ushaira” me Hazrat Ali Alaihissalam aur mai ek dusre ke saath they pas jab Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam us jagah aaye aur wahan qayaam farmaya, humne Banu Mudlij ke logo ko dekha ke wo ek khajoor taley Apne ek chasme me kaam karrahe hain. Hazrat Ali Alaihisslaam ne mujhe farmaya: Ay Abul Yaqzaan tumhari kya raaye hai agar hum un logo ke paas jaaye aur dekhen ke wo kya kar rahe hain? Pas hum unke paas aaye aur unke kaam kpkuch der tak dekha fir hame neend aane lagi to mai aur Hazrat Ali RadiAllahu Anhu wahan se chale aur khajooron ke darmiyan mitti par he let kar sogaye. Pas Allah ki Qasam Hame Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke alawa kisine nahi jagaya. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne hame Apne Mubarak Qadmon ke mas se jagaya jabke hum khoob khaak aalud hochuke they pas us din Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali Alaihisalam se farmaya: Ay Abu Turab! Aur ye Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Aap RadiAllahu Anhu ke Jism par mitti ko dekhkar farmaya. Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Kya Mai Tumhe 2 babakht tareen aadmiyo ke naam na batau?
Hamne kaha: Haan Ya RasooAllah! Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Pehla shakhs qaum-e-Samood ka Ahimar tha jisne Swaleh Alaihissalam ki untni ki taange kaati thi aur dusra shakhs wo hai jo Ay Ali jo Tumhare Sar par waar karega. Yahan tak ke (khoon se ye) Daadhi tar haoajegi.”
Imam Ahmed, Musnad, 4/263, Hadees no 18321
Imam Nasai, Sunan al Kubra, 5/153, Hadees no. 8538
Imam Hakim, Mustadrak 3/151, Hadees no. 4679