
“Hazrat Amr Bin Jamooh RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa- Sallam Ne Farmaya : Banda Us Waqt Tak Iman Kee Haqeeqat Ko Nahin Paa Sakta Jab Tak Ki Woh Allah Ta’ala Ke Liye Hee (Kisi Se) Naraz Aur Allah Ta’ala Ke Liye Hee (Kisi Se) Raazi Na Ho (Ya’ni Us Kee Raza Ka Markaz Wa Mahwar Faqat Khushnoodi’e Zaate Ilahi Ho Jaa’e) Aur Jab Is Ne Yeh Kaam Kar Liya To Us Ne Iman Kee Haqeeqat Ko Paa Liya, Aur Be Shak Mere Ahbaab Aur Awliya Woh Log Hain Ki Mera Zikr Karne Se Woh Yaad Aa Jaate Hain Aur Un Ka Zikr Karne Se Mein Yaad Aa Jaata Hoo’n. (Mere Zikr Se Un Kee Yaad Aa Jaati Hai Aur Un Ke Zikr Se Meri Yaad Aa Jaati Hai Ya’ni Mera Zikr Un Ka Zikr Hai Aur Un Ka Zikr Mera Zikr Hai).”
Reference 📚 [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/430, Raqam-15634, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/203, Raqam-651, Ibn Abi Dunya Kitab-ul-Awliya’, 01/15, Raqam-19, Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/152, Raqam-7789, Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina