
Hazrat Hanash Radiallahu anhoo bayan karte hain ke maine Hazrat Ali AlaihisSalam ko 2 mendhon qurbani karte hue dekha to maine Unse pucha Ye kya hai? Unhone jawab diya ke Huzoor Nabi Akram ﷺ mujhe wasiyat farmayi thi ke mai Aap ﷺ ki taraf se qurbani kiya karu, lihaza mai Aap ﷺ ki taraf se bhi qurbani karta hun.” Imam Ahmed ne in alfaz ka izafa kiya :’Lihaza mai
hamesha Aap ki taraf se bhi Qurbani karta hun.’
Is Hadees ko Imam Abu Dawood, Ahmed aur Abu Ya’ala ne riwayat kiya
hai. Aur Imam Hakim ne farmaya: Is Hadees ki Sanad Saheeh hai.

“Hazrat Abdullah Jadli Radiallahu anhoo se marvi hai ke mai Hazrat Umme Salma Radiallahu anhoo, ki khidmat me hazir hua to Unhone mujhe farmaya: Kya logon me Huzoor Nabi Akram ﷺ ko gaali di jati hai? Maine kaha: Allah ki panah ya Allah ki Zaat Pak
hai ya usi tarah ka koi aur kalma kaha to Unhone farmaya: Maine Huzoor Nabi Akram ﷺ farmate hue suna hai ke Jo Ali ko gaali deta hai wo Mujhe
gaali deta hai.”
Is Hadees ko Imam Nasai, Ahmed aur Hakim ne riwayat kiya hai. Imam Hakim ne farmaya: Is Hadees ki sanad Saheeh hai. Imam Haisami ne farmaya: Iske
rijaal saheeh Hadees ke rijal hain.

“Hazrat Abu Saeed Khudari Radiallahu anhoo bayan karte hain ke logon ne (Huzoor Nabi Pakﷺ ki Bargah me) Hazrat Ali AlaihisSalam ke bare me shikayat ki Nabi Pakﷺ hamare darmiyan khade hue aur khutba irshad
farmaya. So maine Aap ﷺ ko ye farmate hue suna: Ay logon! Ali ki shikayat na karo, Allah ki qasam wo Allah ki Zaat me ya Allah ke Raaste
me bahot sakht hai.”
Is Hadees ko Imam Ahmed, Abu Nuaim aur Hakim ne riwayat kiya hai. Aur
farmaya: Is Hadees ki sanad Saheeh hai.

“Hazrat Umme Salma SalamUllahAlaiha se marvi hai ke beshak Huzoor Nabi Akram ﷺ jab naarazgi ke aalam me hote to hum me se kisiko Aap ﷺ ke
saath humkalam hone ki jurrat na hoti thi siwaye Hazrat Ali AlaihisSalam ke.
Is Hadees ko Imam Hakim, Tabrani, aur Abu Nuaim ne riwayat kiya hai. Aur
Imam Hakim ne farmaya: Ye Hadees Saheeh ul Isnaad hai.

Hazrat Abdullah ibne Abbas Radiallahu anhoo se marvi hai ke Huzoor Nabi Akram ﷺ ne meri (yani Ali ki) taraf dekhkar farmaya: Ay Ali! Tu duniya wa Aakhirat me Sardar (Sayyad) hai. Tera mehboob Mera mehboob hai aur Mera mehboob Allah ka mehboob hai. Aur Tera dushman Mera dushman hai aur Mera dushman Allah ka dushman hai. Aur uske liye barbadi hai jo
Mere baad Tumhare saath bugz rakhe.“
Is Hadees ko Imam Hakim ne riwayat kiya aur farmaya: Shaikhain ki sharait
par Saheeh hai. Imam Haisami ne farmaya: Iske rijaal Sikaah hain.