
Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Bayan Karti Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Chhe-06 Bando’n Par Mein La’nat Karta Hoo’n Aur Allah Bhi Un Par La’nat Karta Hai Aur Har Nabi Mustajab-ud-Da’wat Hai Woh Bhi Un Par La’nat Karta Hain :
Jo Kitab-ul-Allah Me Zyaadati Karne Waala Ho Aur Allah Ta’ala Kee Qadar Ko Jhutlaane Waala Ho Aur Zulm-O-Jabar Ke Saath Tasallut (Hukumat) Haasil Karne Waala Ho Taa Ki Us Ke Zariye Use Izzat De Sake Jise Allah Ne Zalil Kiya Hai Aur Use Zalil Kar Sake Jise Allah Ne Izzat Dee Hai Aur Allah Ta’ala Kee Haraam Kardah Chizon Ko Halaal Karne Waala Aur Meri Itrat Ya’ni Ahl-E-Bayt Kee Hurmat Ko Halaal Karne Waala Aur Meri Sunnat Ka Taareek (Tark Karne Waala).”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi, Ibn Hibban Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/457, Raqam-2154,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/60, Raqam-5749,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/572, Raqam-3941,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/43, Raqam-89,
Bayhaqui Fi Shuab-ul-Iman