Wasiyat e Nabi Pakﷺ

Hazrat Ammar bin Yasir RadiAllahu Anhuma se riwayat Hai ki RasoolAllah (صلى الله عليه وآله وسلم) ne Farmaya:
.
“Jo Mujhpar Imaan Laaya Aur Meri Tasdeeq ki, Usey Main Wilayat-e-Ali ki Wasiyat Karta Hu’n ! Jisne Usey Wali jaana Usne Mujhe Wali Jaana Aur Jisne Mujhe Wali jaana usne Allah ko Wali jaana. Aur Jisne Ali (Alaihissalam) se Mohabbat ki Usne Mujhse Mohabbat ki Aur Jisne Mujhse Mohabbat ki Usne Allah se Mohabbat ki. Aur Jisne Ali se bugz rakha Usne Mujhse Bugz Rakha aur jisne Mujhse Bugz rakha Usne Allah se Bugz rakha.”
.
Haysami ne is Hadees ko Tabrani se riwayat kiya hai aur Iske Ruwaat ko Siqah (sachhe) Karar Fiya Hai!
.
Reference :
– Haysami, Majma uz Zawaid, 9/108,109
– Ibne Asakir, Tarikh-e-Damishq al Kabir, 45/181,182
– Hisamuddin Hindi, Kanzul Ummal, 11/611, #32958
– Dr. Tahir-ul-Qadri, As Saif ul Jali ala munkir-e-Wilayat e Ali Alaihissalam, #25
.
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ

Advertisement