23Safar ul Muzaffar Youm e Wisaal Hazrat Fatimah binte Asad Salamullah Alaih.

23Safar ul Muzaffar Youm e Wisaal Hazrat Fatimah binte Asad Salamullah Alaih!

Aap wo Azeem ul Martabat hasti hain jinhe Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne hamesha Ammi Ammi kaha karte, Jo khud bhuki rehna pasand kartin, apne khudke bacho ko bhuka rakhna gawara kartin magar Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam bhuke rahen ye Unhe kabhi gawara nahi hota. Wo Azeem hasti hain Maula Ali Alaihissalam ki Walida Sayyeda Fatimah binte Asad Salamullahi Alaiha.
Sayyeda Bibi Aamina Salamullahi Alaiha aur Hazrat Haleema Sadia Salamullahi Alaiha ke saari Dastan Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Umr Mubarak ke sirf 6 Baras tak ke hain. Uske pehle bhi kuch aur uske baad ke saari caretaking Sayyeda Fatimah binte Asad aur Hazrat Abu Talib Alaihi-Mussalam ne ki hai.
Afsos Unka Zikr bhi nahi???

Jab Sayyeda Fatimah binte Asad Salamullahi Alaiha ka Wisaal hua to Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sall

“Hazrat Anas bin Maali RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke jab Hazrat Fatimah binte Asad bin Hashim RadiAllahu Anhum jo ke Hazrat Ali ibne Abi Talib RadiAllahu Anhuma ki Walidah Majeeda hain faut hogayin to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam wahan tashreef le gaye aur Unke Sar ke paas khade hogaye aur farmaya: “Allah Ta’ala Tujhpar Reham Farmaye. Ay Meri Maa! Tu Meri Maa ke baad Meri dusri Maa thi aur Tu Mujhe Sair karti thi aur Mujhe kapde pehnati thi aur Meri khatir khud phatey purane kapde pehan leti thi aur Apne Aapko pakiza chizon se mehroom rakhti thi aur Mujhe khilati bhi thi. Aur is Saare Amal se Tu Allah ki Raza aur Daar-e-Aakhirat talab karti thi.”

Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne 3 dafa Unhe gusl dene ka hukm farmaya. Pas jab Kaafoor mila paani pahuncha to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apne Haath se usey undela fir Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apna Kurta Mubarak utaara aur Unhe pehna diya aur us chadar ke zariye jo Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par they, Unhe Kafan pehnaya.

Advertisement

ब-रोज़े क़यामत हुजूर के साथ हुजूर के दर्जे में

ब-रोज़े क़यामत हुजूर के साथ हुजूर के दर्जे में

… पंजतन पाक अलैहमुस्सलाम से मुहब्बत करने वालो के लिए अजरे अज़ीम

جعل الله ولستلم अमीरुल मोमिनीन सैय्यदना अली इब्ने अबी तालिब फ़रमाते हैं के हुजूर नबी ए अकरम ने हसन और हुसैन का हाथ पकड़ कर फ़रमाया ” जिसने मुझसे मुहब्बत की और इन दोनों (हसन और हुसैन) से और इनके वालिद (सैय्यदना अली) से और इनकी वालिदा (सैय्यदा फ़ातिमा) से वो क़यामत वाले दिन मेरे साथ मेरे दर्जे में होगा

फ़ज़ाइल ए सहाबा जिल्द 2 सफ़ह 693, अल शिफ़ा क़ाज़ी अयाज़ जिल्द 2 सफ़ह 20, अल रियाज़ अल नज़रा मुहिबुद्दीन तबरी जिल्द 1 सफ़ह 277

रोज़े क़यामत अली की मुहब्बत का सवाल….

रोज़े क़यामत अली की मुहब्बत का सवाल….

हज़रते अबु बरज़ाह रदिअल्लाहो अन्हो फ़रमाते हैं रसूलुल्लाह सल्लल्लाहो अलैहे व आलिही व सल्लम ने फ़रमाया कोई शख़्स अपना क़दम नही उठा सकेगा यहां तक कि उससे 4 सवाल न किये जायें 1- उसके जिस्म के मुत्तालिक़ के कहां उसको इस्तेमाल किया

2- उसकी उम्र के मुताल्लिक़ के कहाँ उसको ज़ाया किया 3- उसके माल के मुताल्लिक़ के कहाँ से कमाया कहाँ ख़र्च किया

4- और अहलेबैत की मुहब्बत के मुताल्लिक़ अर्ज़ किया गया या रसूलल्लाह आपकी मुहब्बत की निशानी क्या है….?? अपने मौला अली के कांधे पर हाथ रखा (यानी अली से मुहब्बत मेरी मुहब्बत है)

अल मजमउल अव्सत लिल तबरानी हदीस न0 2191 तिरमिज़ी 5/656/2190/3768 अहमद फ़ी मुसनद 3/5/11005 दारमी 1/135, अबु नईम 10/232