✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلاة والسلام على سيدنا محمد وعلى آله وصحبه وسلم
📚Aayat Shareef Number: 1⃣
🌿“Phir Aye Mehboob, Jo Tum Se Isaa Ke Baare Me Huzzat Kare Iske Baad
Tumhe Ilm Aachuka To Unse Farmado Aao Hum Bulaye
Apne Bete Aur Tumahre Bete
Apni Aurato Aur Tumhari Aurato Aur Apni Jaane Aur Tumahri Jaane Phir Mubahilla Kare To Jhuto Par ALLAH Ki Laanat Daale.”
📝(Surah Al Imran – Ayat: 61, Tarzuma Kanzul Imaan)
📚Hadees Shareef Number: 1⃣
🌾Hadees-E-Mubaraka Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Amir Bin Saad Bin Abu Waqqas رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki, RasoolALLAH صلى الله عليه وسلم Ne Hazrat Ali رضي الله عنه Se Farmaya:
“Tum Mere Pass Aise Ho Jaise Hazrat Moosa عليه السلام Ke Paas Hazrat Haroon عليه السلام Magar Mere Baad Koi Nabi Nahi Hai.”
📔(Jamia Al Tirmizi – Jild:1, Book:46, Hadees:3731. Arabic Ref. – Book:49, Hadees:4095)
🍃“Amir Bin saad Bin Abi Waqqas رضي الله عنه Bayan Karte Hai Ki Jab Aayatey Mubaahila Naazil Huwi To Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Hazrat Ali, Hazrate Fatima, Hazrat Hasan aur Hazrat Husain رضي الله عنهما Ko Bulaya Phir Farmaya:
”YA ALLAH Yeh Meri Ahle Bait Hai.”
📒(Sahih Muslim – Vol: 06, Page:264, Kitabul Manakib E Sahaba, Baab: Man fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees: 6220, English No. – 2404)
📕(Jamia Tirmizi – Kitabut Tafseer, Hadees: 3269. English No. – 2999)
📗(Jamia Tirmizi – Kitabul Manakib, Hadees: 4090. English No. – 3724)
📘(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad – Vol:01, Page:185, Hadees:1608)
📙(Imam Nasai Sunan Al Kubra – Vol:05, Page:107, Hadees:8399)
📔(Imam Hakim Al Mustadraq – Vol: 03, Page: 163, Hadees:4719)
📕(Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra – Vol:07, Page:63, Hadees:13169, 13170)
📚Hadees Shareef Number: 2⃣
🍁Hazrat Shuaba Bin Kuhayl رضي الله عنه Se Riwayat Karte Hai Ki Mei Ne Abu Tufail رضي الله عنه Se Suna Ki Abu Sareeha رضي الله عنه Ya Zayd Bin Arqam رضي الله عنه Se Marwai Hai (Hazrat Shuaba Ko raawi Ke Mut’aaliq Shak Hai) Ki Huzoor Nabi-E-Akram صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:
”JISKA MAI MAULA HUN US KA ALI MAULA HAI.”
📔(Jamia Tirmizi – Vol: 05, Page:398, Kitab No.: 49 Kitabul Manakib, Hadees: 4078. Eng. No. – 3713)
📒(Imam Nasai Al Khasais E Ali Ibn Abu Talib – Page:44, Hadees:33)
📕(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol:03, Page:34, Hadees:4652)
📗(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir – Vol:12, Page:470, Hadees: 12593)
📘(Imam Tabrani Al Mujam Ul Ausat – Vol:01, Page: 229, Hadees: 348)
📙(Imam Tabrani Jamee Us Sageer – Vol:01, Page: 171)
📔(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad – Vol: 01, Page:570, Hadees: 959)
📒(Imam Abdul Razzaq Al Musannaf – Vol: 11, Pafe: 225, Hadees: 20238)
📕(Al Musannaf Ibn Abi Shayba – Vol: 06, Page: 602, Hadees: 32072)
📗(Imam Ibn Asim As Sunnah – Vol:02, Page: 602, Hadees: 1354)
📘(Imam Shashi Al Musnad – Vol: 01, Page: 165, Hadees: 106)
📙(Imam Hussamul Hindi Al Kanjul Ummal – Vol: 11, Page: 602, Hadees: 32904)
📔(Allama Ibn Kathir Al Bidayah Wan Nihayah – Vol: 04, Page: 169)
📒(Imam Zahbi Siyar An Nabula – Vol: 02, Page: 623)
📕(Gair Muqallid Ke Sabse Bade Muhadis Shaykh Albani Ne Silsila Al Hades As Sahih – Vol: 04, Page: 331, Hadees: 1750)
📚Aayat Shareef Number: 3⃣
🌿“Aur ALLAH To Yehi Chahta Hai Aye NABI ke Ghar Waalo Ke Tumse Har Naapaki Ko Khub Dhur Farmade Aur Tumhe Paak Karke Sutra Farma De.:
📝(Surah Ahzaab – Aayat: 33, Tarzuma Kanzul Imaan)
📚Hadees Shareef Number: 3⃣
🍃Hazrat Sahl Bin Saad رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ek Din Hazrat Ali رضي الله عنه Hazrat Sayyada Qaynaat رضي الله عنها Ke Pass Gaye Aur Phir Masjid-E-Nabvi Shareef Mei Aake Let Gaye. Jab Huzoor Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Pahuche To Sayyada Qainat Se Puche Ali Kaha Hai? Sayyada Qaynat Farmaye Masjid Gaye Hai. Nabi-E-Rehmat صلى الله عليه وسلم Masjid-E-Nabvi Shareef Pahuche Aur Dekha To Hazrat Ali Wahi Lete The. Aapki Chadar Hat Gayi Thi Jis Se Peeth Mitthi Se Aoluda Hogayi. Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Apne Hath Mubarak Se Unki Mitthi Jhadne LAge Aur 02 Baar Farmaya:
“AYE ABU TORAB UTHO | AYE ABU TORAB UTHO.”
📗(Sahih Bukhari – Vol:01, Page: 161, Kitab: 08, Kitabus Salat Baab: Masjid Me Mard Ke Sone Ka Bayan, Hadees: 441. Eng. – Book No.: 08, Hadees: 90)
📚Hadees Shareef Number: 4⃣
🌾Ummul Momineen Ayesha Siddiqua رضي الله عنها Bayan Karti Hai Ke Huzoor Nabi-E-Akram صلى الله عليه وسلم Subah Ke Waqt Aik Ooni Munaqqash Chaadar Orhey Huwey Baahar Tashreef Laaye To Aap Ke Paas Hazrat Hasan Ibne Ali رضي الله عنه Aaye To AAP صلى الله عليه وسلم Ne Unhey Uss Chaadar Me Daakhil Kar Liya, Phir Hazrat Hussain Ibn Ali رضي الله عنه Aaye Aur Wo Bhi Un Ke Humraah Chaadar Mey Dakhil Hogaye, Phir Sayyada Fatima رضي الله عنها Aayi AAP صلى الله عليه وسلم Ne Unhey Bhi Us Chaadar Me Daakhil Kar liya. Phir Hazrat Ali كرم الله وجهه الكرم Aaye To AAP صلى الله عليه وسلم Ne Unhey Bhi Chaadar Me Le Liya Phir AAP صلى الله عليه وسلم Ne Yeh Aayat E Mubaraka Parhi:
”ALLAH To Yahi Chahta Hai Aye NABI صلى الله عليه وسلم Ke Gharwalo (Ahle Bait) Ki Tumse Har Napaaki Door Farmade Aur Tumhe Paak Karke Khub Suthra Karde.:
📝(Surah Al-Ahzaab – Para : 22, Aayat:3, Tarzuma Kanzul Imaan)
📔(Sahih Muslim – Kitabul Manakib Baab: Fazail E Ahle Bait E Nabi صلى الله عليه وسلم, Hadees: 2424)
📘(Imam Hakim Al Mustadraq – Vol: 03, Page: 159, Hadees: 4704, 4709)
📙(Imam Bayhaqi As Sunnan Al Kubra – Vol: 02, Page: 149, Hadees: 2680)
📚Hadees Shareef Number: 5⃣
__________
🌾“Hazrat Habshi Bin Jundaah رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Unhone RasoolALLAH صلى الله عليه وسلم Ko Farmate Huye Suna:
”Ali Mujhse Hai Aur Mai Ali Se Hu.”
📕(Sunan Ibn Majah – Vol: 01, Kitabul Imaan, Hadees: 119)
__________
📚Hadees Shareef Number: 6⃣
__________
🌿Hazrat Zaid Bin Arqam رضي الله عنه Se Riwayat Hai. Ek Roz Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Makkah Aur Madina Ke Darmiyan Us Paani Ke Makam Me Jise Khum Kaha Jaata Hai, Khade Hokar Khutba Diya Jisme ALLAH Ta’ala Ki Hamd Wa Sana Ki Aur Waaj Wa Nasihat Farmayi Phir Farmaya
”Aye Logo Khabardaar Hojao Mai Ek Bashar Hun Ankarib Mere Rab Ka Qasid Aajaye Aur Mai Uska Bulawa Kabul Karlu Aur Mai Tum Logo Me Do Wazni Chiz Chodhe Jaa Raha Hu, Jinme Pehli To ALLAH Ki Kitab Hai Jisme Hidayat Wa Noor Hai Tum ALLAH Ki Kitab Lo Aur Usko Mazbooti Se Thaam Lo Phir Kitabullah Pe Ubhara Aur Targeeb Di Phir Farmaya Dusro Chiz Mere Ahle Bait Hai, Mai Tumko Apni Ahle Bait Ke Mutallik ALLAH Se Darata Hu Mai Tumko Apni Ahle Bait Ke Muttalik ALLAH Se Darata Hu.”
📒(Sahih Muslim – Vol: 06, Page: 267, Kitabul Manakib E Sahaba, Baab: Man Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees: 6225. English No.: 2408)
📗(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad – Vol: 04, Page:366, Hadees: 19265)
📘(Imam Ibn Khuzaymah Sahi Ibn Khuzaymah – Vol: 04, Page:62, Hadees: 2357)
📙(Imam Ibn Hibban Sahi Ibn Hibban – Vol: 01, Page: 145, Hadees: 123)
📔(Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra – Vol: 02, Page: 148, Hadees: 2679)
📒(Ibn Kathir Tafseer Ul Quran – Vol: 03, Page:487)
📗(Mishkal Al Masabih – Vol: 01, Page: 68)
📙(Zujatul Masabeeh – Vol:05, Page: 317,318,319)
__________
📚Hadees Shareef Number: 7⃣
__________
🍁Hazrat Ali رضي الله عنه Se Riwayat Hai Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Irshad Farmaya:
”MAI ILM KA SHAHER HU AUR ALI USKA DARWAJA”.
📗(Imam Hakim Al Mustadrak – Vol: 04, Page: 96, Hadees: 4613)
__________
📚Aayat Shareef Number: 3⃣
__________
💠“Yah Hai Wo Jiski Khushkhabri Deta Hai ALLAH Apne Bando Ko Jo Imaan Laaye Aur Acche Kaam Kiye. Tum Farmao Mai Is Par Tumse Kuch Uzrat Nahi Maangta Magar Karaabat Ki Muhabbat.”
📝(Surah Shaura – Para: 25, Aayat: 23, Tarzuma Kanzul Imaan)
__________
📚Hadees Shareef Number:8⃣
__________
❤Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Irshaad Farmaya:
”MAI HIKMAT KA GHAR HU AUR ALI USKA DARWAJA”
📕(Jamia Tirmizi – Vol: 05, Page: 402, Kitab Number: 49 Kitabul Manakib, Hadees: 4089, English No.: 3723)
__________
📚Hadees Shareef Number: 9⃣
__________
💟Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:
Apni Aulado Ko Teen(3) Baatein Sikhao –
1⃣Apne Nabi صلى الله عليه وسلم Ki Ulfat Wa Muhabbat
2⃣Ahle Bait-E-Athar Ki Ulfat Wa Muhabbat
3⃣Quran-E-Kareem Ki Qirat
📔(Al Jaame Ul Kabeer – Vol: 01, Hadees: 924)
📒(Jaame Ul Hadees – Vol: 01, Hadees: 961)
📕(Imam Hussamul Hind Kanjul Ummat – Vol: 12, Page:560, Hadees: 45409)
📗(Al Fath Ul Kabeer – Vol: 01, Page: 59)
📘(As Sawaiqe Muharika – Page: 577)
__________
📚Hadees Shareef Number :1⃣0⃣
__________
💚Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Irshad Farmaya Ke:
”MAI ILM KA SHAHER HU ABU BAQR USKI BUNIYAD, UMAR USKI DEEWAR, USMAN USKI CHATT(ROOF), AUR ALI USKA DARWAJA.”
📙(Imam Daylami al Musnadul Firdaus – Vol:01, Page: 43, Hadees: 108)
__________
📚Hadees Shareef Number: 1⃣1⃣
__________
❤Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Sayyadain Hasnain (Imam Hasan Aur Imam Hussain) رضي الله عنه Ka Haath Pakad Kar Irshaad Farmaya:
“Jis Shaks Ne Mujhse Muhabbat Rakhi Jis Shaks Ne In Dono Se Muhabat Rakhi aur Inki Walida (Hazrat Fatima) رضي الله عنها Aur Inke Walid Hazrat Ali رضي الله عنه Se Muhabbat Rakhi Wo Mere Saath Jannat Me Hoga.”
📕(Imam Ahmad Ibn Hambal Ne Al Musnad – Vol: 01, Page: 168, Hadees: 576)
📔(Imam Haytami Al-Sawa’iq Al-Muhriqah – Page: 103)
__________
📚Hadees Shareef Number: 1⃣2⃣
__________
💛Hazrat Imran Bin Hussain رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Huzoor Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya
“Beshaq ALI Mujhse Hai Aur Mai ALI Se Hu Mere Baad Har Momin Ka Wali Hai.”
📒(Jamia Tirmizi – Vol: 05, Page: 399, Kitab No.: 49 Kitabul Manakib, Hadees: 4077, English No.: Vol:01, Book No.: 46, Hadees: 3712)
__________
📚Hadees Shareef Number: 1⃣3⃣
__________
💚Hazrat Abdullah Ibn Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Hai Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:
Tum ALLAH Se Uski Naymato Ki Wajah Se Muhabbat Kiya Karo Jo Usne Tum Par Ki Hai, Mujhse Muhabbat Rakho ALLAH Ki Muhabbat Ki Wajah Se Aur Mere Ahle Bait Se Muhabbat Rakho Meri Muhabbat Ki Wajah Se.”
📗(Jamia Tirmizi – Vol:06, Page: 437, Kitabul Manakib, Hadees: 3789, Arabic No.: 4158)
📘(Mishkaat Ul Masabeeh – Vol: 2, Page: 573)
📙(Zujajatul Masabeeh – Vol: 5, Page: 314/315)
__________
📚Hadees Shareef Number: 1⃣4⃣
__________
💙Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه Farmate Hai Maine Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Se Ilm Ke 02 Katore Ya Pyale(Bowl) Haasil Kiye Ek Ilm Maine Tumko Bayan Kar Diya Aur Dusra Tumhe Batadu To Tum Usko Samajh Bhi Naa Pao Aur Meri Gardan(Neck) Talwar Se Maardo.
📕(Sahih Bukhari – Vol:01, Page: 124, Kitab Ilm, Baab No.: 42, Hifzul Ilm, Hadees: 120)
__________
📚Aayat Shareef Number: 4⃣
__________
🕋“Aur ALLAH Ki Rassi Ko Mazbooti Se Thaam Lo Aapas Me Sab Milkar Aur Aapas Me Fatt(Bhikar) Na Jaana.”
📝(Surah Al Imraan – Para:3, Aayat: 103, Tarzuma Kanzul Imaan)
__________
📚Hadees Shareef Number: 1⃣5⃣
__________
🏵Abu Sa’eed Khudri رضي الله عنه Farmate Hai
“Hum Ansaar Ke Logo Ke Nazdeek Hazrat-E-Ibn Abu Talib Se Bugz Rakhna Munafikaat Ki Alamat Thi Is Se Hum Munafik Ko Pehchan Lete The.”
📙(Jamia Tirmizi – Vol:06, Page: 390, Kitab No.: 49, Kitabul Manakib, Hadees: 4082, English No. – Vol:01, Book No.: 46, Hadees: 3717)
__________
📚Hadees Shareef Number: 1⃣6⃣
__________
💢Huzoor Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Mai Tumhare Darmiyan Do (2) Chiz Chodhta Hu Jab Tak Inhe Na Chodoge Hargiz Gumraah Na Honge Ek Kitabullah Ek Meri Aal.
📘(Imam Hakim Al Mustadraq – Vol:04, Page:72, Kitab Marifat E Sahaba, Hadees: 4634)
📗(Imam As Sawaiqe Muharika – Page: 145-146)
__________
📚Hadees Shareef Number: 1⃣7⃣
__________
⭕Hazrat Zirr Bin Hubaish رضي الله عنه Riwayat Karte Hai Ki Hazrat Ali رضي الله عنه Ne Farmaya:
“Qasam Hai Us Zaat Ki Jis Ne Daana Cheera Aur Jis Ne Jaandaaron Ko Paida Kiya !”
“Huzoor Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Mujh Se Ahad Farmaya Tha Ki Mujh Se Sirf Momin Muhabbat Rakhege Aur Sirf Munafiq Hi Mujhse Bugz Rakhege.”
📒(Sahih Muslim – Vol:01, Kitab No.: 01, Kitabul Imaan, Baab: Hazrat Ali Aur Ansar Se Muhabbat Karna Imaan Ki Alamat Hai Unse Bugz Karna Munafiqat Ki Alamat Hai – Hadees:78. English No. – Book No.: 01, Hadees: 146 or 141)
📔(Imam Abu Yaala Al Musnad – Vol: 01, Page: 250, Hadees: 291)
📙(Imam Ibn Abi Asim As Sunnah – Vol: 02, Page: 598)
📕(Imam Bazzar Al Musnad – Vol: 02, Page: 182, Hadees: 560)
__________
📚Hadees Shareef Number: 1⃣8⃣
__________
🍂Hazrat Sahl Bin Saad رضي الله عنه Farmate Hai Rasool-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Khaybar Ke Din Irshaad Farmaya Kal Mai Yeh Jhanda Aise Shaks Ko Dunga Jiske Haath ALLAH Ta’ala Fateh Dega Wo ALLAH Aur Uske Rasool صلى الله عليه وسلم Se Muhabbat Rakhta Hai Aur ALLAH Aur Uska Rasool صلى الله عليه وسلم Usse Muhabbat Karte Hai. Agle Roz Subah Har Insaan Yeh Ummid Rakhta Tha Ke Jhanda Use Diya Jaega. Farmaya Ali Ibn Abu Talib Kaha Hai? Logo Ne Arz Kiya Ya RasoolALLAH صلى الله عليه وسلم Unki Aankhe Dukhti Hai. Unhe Bulaya Gaya Huzoor Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Apna Luaab-E-Mubarak Bikala Aur Hazrat Ali Ki Aankhon Me Lagaya Wo Aise Theek Ho Gaye Jaise Pahle Dard Tha Hi Nahi Aur Jhanda Unhe De Diya Gaya. Maula-E-Kaynaat Ne Pucha Yaa RasoolALLAH صلى الله عليه وسلم Kya Mai Unse Us Wakt Tak Ladu Jab Tak Musalmaan na Ho Jaye?
Farmaya Narmi Ekhteyar Karo Jab Tak Ke Tum unke Maidan ME Naa Utar Jaao Phir Unhe Islaam Ki Daawat Do Aur ALLAH Ke Jo Hukook Hai Wo Unhe Batao ALLAH Ki Kasam Koi Ek Shaks Ki Bhi Tumhare Jariye Se Hidayat Mil Jaye. Yeh Tumhare Liye Is Baat Se Accha Hai Ke Tumhare Paas Surkh Oont Ho.
📙(Sahih Bukhari – Vol: 05, Page:170, Kitab No.: 56, Kitabuz Jihad, Baab: رجل يديه على اسلم من فضل باب , Hadees: 3009)
📘(Sahih Bukhari – Kitabul Magazi, Baab – Ghazwa E Khaibar, Hadees: 4210)
📗(Sahih Muslim – Vol: 04, Page: 210, Kitab No.: 44, Fazail E Sahaba رضي الله عنه , Baab: Manakib E Ali Ibn Abu Talib, Hadees: 2406. English – Book: 44, Hadees: 53)
__________
📚Hadees Shareef Number: 1⃣9⃣
__________
🌾Hazrat Jaabir Bin Abdullah Se Riwayat Hai Farmate Hai Maine RasoolALLAH صلى الله عليه وسلم Ko Hajj Me Arfaa Ke Din Dekha Jabki AAP APni Ootni Kaswa Par Khutba PAdh Rahe The, Maine AAP Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ko Farmate Hue Suna
“Aye Logo Maine Tum Me Wo Chiz Chodhi Hai Ki Jab Tak Tum Unko Thame Rahoge Gumrah Naa Hoge ALLAH Ki Kitab Aur Meri Itrat Yaani Ahle Bait.”
📕(Jamia Tirmizi – Vol:06, Page: 435, Kitabul Manakib, Hadees: 3786, Arabic No.- 4155)
📒(Imam Tabrani Al Mujam Ul Aswat – Vol: 05, Page: 89, Hadees: 4757)
📙(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir – Vol: 03, Page: 66, Hadees: 2680)
📘(Ibn Kathir Tafseer Ibn Kathir – Vol: 04, Page: 114)
__________
📚Hadees Shareef Number: 2⃣0⃣
__________
🌾Ummul Momineen Umme Salam رضي الله عنها Se Riwayat Hai Ki RasoolALLAH صلى الله عليه وسلم Farmaya Karte The:
“Koi Munafiq, Ali رضي الله عنه Se Muhabbat Nahi Karta Aur Koi Momin Ali رضي الله عنه Se Bughz Nahi Rakhta.”
📙(Jamia Tirmizi – Vol: 05, Page: 635, Kitab No.: 49, Kitabul Manakib, Hadees: 4303. English Hadees: 3717)
Aage Imam Tirmizi Likhte Hai Ye Hadees Hasan Hai
📘(Abu Yaala Al Musnad – Vol: 12, Page: 362, Hadees: 6931)
📗(Imam Tabrani Al Mujam Al Kabir – Hadees: 886)
__________
📚Hadees Shareef Number: 2⃣1⃣
__________
☘Hazrat Zayed Bin Arqam رضي الله عنه Se Marwi Hai Ke Huzoor Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:
“Main Tum Me Aise Do (2) Chize Chodh Ja Raha Hun Ke Agar Tum Ne Unhey Mazbooti Se Thaamey Rakha To Mere Baad Hargiz Gumraah Na Howgeh Un Me Se Ek Doosri Se Bari Hey ALLAH Ta’ala Ki Kitab Aasmaan Se Zameen Tak Latki Huwi Rassi Hey Aur Meri Itarat Ya’ani Ahle Bait Aur Yeh Dono Hargiz Zuda Na Honge, Yahan Tak Ke Dono Mere Paas Ikat’they Hawzey Kausar Par Aayegi. Pas Dekho Ke Tum Mere Baad Un Se Kya Sulook Kartey Ho.”
📕(Jamia Tirmizi – Vol: 06, Page: 436, Kitabul Manakib, Hadees: 3788, Arabic No. – 4157)
📒(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf – Vol: 06, Page: 133, Hadees: 30081)
📔(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad – Vol: 03, Page:14, Hadees: 11119)
📙(Imam Hakim Al Mustadraq – Vol: 03, Page: 118, Hadees: 4546)
📘(Imam Nasai As Sunan Al Kubra – Vol: 05, Page: 45, Hadees: 8148)
📗(Imam Tabrani Al Mujam Al Aswat – Vol: 03, Page: 374, Hadees: 3439)
📕(Imam Tabrani Al Mujam Us Saghir – Vol: 01, Page: 276, Hadees: 323)
📒(Imam Tabrani Al Mujan Ul Kabeer – Vol: 03, Page: 65, Hadees: 2768)
📔(Imam Ibn Abi Asim As Sunnah – Vol: 02, Page: 644, Hadees: 1553)
__________
📚Hadees Shareef Number: 2⃣2⃣
__________
🍂Hazrat Abdullah Ibn Umar رضي الله عنه Se Riwayat Hai Jab Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Madinah Munawara Me Muhajireen Aur Ansar Ke Darmiyan Bhai Chara Qayam Farmaya. To Hazrat Ali رضي الله عنه Is Haal Me Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ke Pass Tashreef Laye Ke Aapke Aankhon Se Aansu Jaari The Aapne Farmaya Ya RasoolALLAH صلى الله عليه وسلم Aapne Sahaba Ke Kayam Bhaichara Farmaya Lekin Kisi Ne Mujhe Bhai Naa Banaya. Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya.
“Tum Dunya Aur Aakhirat Me Mere Bhai Ho.”
📙(Jamia Tirmizi – Vol: 05, Page: 401, Kitab No.: 49 Kitabul Manakib, Hadees: 4086, Englsih Book No. – 46, Hadees: 3720)
_____________
📚Hadees Shareef Number: 2⃣3⃣
_____________
🏵Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya
“Meri Ahle Bait Ki Misaal Kashti-E-Nooh Ki Tarah Hai, Jo Isme Sawar Hogaya Usne Nazaat Paayi Aur Jisne Isse Mukhalifat Ki Wo Ghark Hogaya.”
📕(Imam Hakim Al Mustafraq – Vol: 02, Page: 406, Hadees: 3370)
_____________
📚Hadees Shareef Number: 2⃣4⃣
_____________
☘Hazrat Abi Abdullah Jadali Kahte Hai Ki Mein Ummul Momeenin Bibi Umm-E-Salma رضي الله عنها Ki Khidmat Me Hazir Huwa To Aap Ne Mujh Se Puchha Kya RasoolALLAH صلى الله عليه وسلم Ko Gaali Dee Jaa Sakti Hai?
Mei Ne Kaha:
سبحان الله
Ya Kaha Ki ALLAH Usse Panaah De To Aap Ne Farmaya Mein Ne RasoolALLAH صلى الله عليه وسلم Ko Farmate Huwe Suna Ki Jo ALI رضي الله عنه Ko Gaali Deta Hai Wo Mujhe Gaali Deta Hai.”
📙(Imam Nasai Al Khasais E Ali Ibn Abu Talib – Page: 96, Hadees: 99)
_____________
📚Hadees Shareef Number: 2⃣5⃣
_____________
💢Hazrat Saad رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke RasoolALLAH صلى الله عليه وسلم Ne Hazrat Ali رضي الله عنه Se Farmaya Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Jung E Tabook Ke Liye Jaane Lage To Hazrat Ali رضي الله عنه Ko Bulaya Aur Madina Me Apna Khalifa Mukhatib Kiya, Hazrat Ali رضي الله عنه Ne Farmaya Kya Aap Mujhe Aurato Aur Baccho Ke Saath Chodhe Jaa Rahe Hai?
Huzoor Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Kya Tum Is Baat Se Raazi Nahi Tumhe Mere Darbaar Me Wo Martaba Haasil Ho Jo Hazrat Haroon Ko Darbaar-E-Hazrat Moosa Ke Liye Tha Magar Ye Ke Mere Baad Koi NABI Nahi.”
📗(Sahih Bukhari – Kitab No.: 64 – Kitabul Magazi, Baab: Ghazwa E Tabook, Hadees: 4416)
📒(Sahih Muslim – Kitab No.: 44, Fazail E Sahaba, Baab: Min Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees: 2404)
✳Aur Bukhari Shareef ,Muslim Shareef Ki Dusri Riwayat Me✳
🍂“Tum Mere Liye Aise Hi Ho Jaise Moosa Ke Nazdeek Haroon Ka Makam Tha Magar Ye Ke Mere Baad Koi NABI Nahi.”
📔(Sahih Muslim – Kitab No.: 44, Fazail E Sahaba, Baab: Min Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees: 2404)
📕(Sahih Bukhari – Kitab No.: 62 – Fazail E Ashabun Nabi, Manakib E Ali Ibn Abu Talib, Hadees: 3706)
_____________
📚Hadees Shareef Number: 2⃣6⃣
_____________
📜Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Hazrat Ali رضي الله عنه Ko Mukhatib Karke Farmaya:
“Tum Me Hazrat Isaa عليه السلام Ki Misaal Hai Jinse Yahood Bugz Rakha Hatta Ke Unki Walida Mazida Ko Tohmat Lagayi Aur Unse Isaiyo Ne Muhabbat Ki To Unhe Us Darje Me Pahaucha Diya Jo Unka Naa Tha.”
Phir Hazrat Ali رضي الله عنه Ne Farmaya:
“Meri Muhabbat Me 02 Qism Ke Log Halaak Honge Meri Muhabbat Me Ifraat Karne Wale Mujhe Un Sifaat Se Badhaynge Jo Mujh Me Nahi Aur Bugz Rakhne Walo Ka Bugz Unhe Ispar Ubharenge Mujhe Bohtan Lagaynge.”
📗(Musnad E Ahmad Ibn Hambal – Vol:01, Page: 336, Hadees: 1376)
📕(Musnad E Abu Yaala – Musnad E Ali Bin Abu Talib – Vol: 01, Page: 247, Hadees: 530)
📋Hadees E Paak Me Huzoor Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Gaib Ki Baatein Bayan Ki Jisme Hazrat Ali رضي الله عنه Ko Misl-E-Isaa عليه السلام Bayan Huwa Lihaja Ye Hona Hi Tha. Hazrat Isaa عليه السلام Ko Mannewaale Kul 03 Qism Ke Hai
1⃣ Yahudi – In logo Ne Itni Adawat Ki Ke Unki Walida Par Bohtan Bandh Diya.
2⃣ Isai – Ye Logone Hazrat Isaa عليه السلام Se Muhabbat Aur Unpe Imaan Laane Ka Dawa Kiya Hai Par Muhabbat Ko Is Qadr Dhal Diya Ke Khuda Ka Beta Hi Maan Liya.
3⃣ Musalmaan – (Ummat – E – Muslima) Ne Hazrat Isaa عليه السلام Ko Unke Maqam Aur Maratib Par Maana Yaani Jo Sahi Maanne Ka Haq Hai.
🌀Jis Tarah Hazrat Isaa عليه السلام Ke Talluk Se Ye Dono Tabka Halaak Huwa Usi Tarah Ab Aaye Maula Ali Mushkil Kusha رضي الله عنه Ki Taraf Dekhe Hazrat Ali رضي الله عنه Ke Talluk Se Bhi So Called Kalma Go Musalman Me Bhi Giroh Bane Aur Halak Huwe.
1⃣ Shia Rafzi – In Logo Ne Bhi Itna Dawa-E-Muhabbat Kiya Ke Hazrat Ali رضي الله عنه Ko Utna Maana Jo Haq Naa Tha Aur Unki Muhabbat Me Dusre Sahaba Par Tabbara Karte Yaha Tak Aqaid Rakhe Ke Quran Utarna Nauzbillah Ali Pe Tha Utar Gaya MaazALLAH Huzoor-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Pe, Meraj Ke Waqiye Mei Bhi Inka Ye Kehna Hai Ke ALLAH Ta’ala Ne Huzoor صلى الله عليه وسلم Ko Tohfe Me Ek Chadar Di Aur Wo Bhi Maula Ali رضي الله عنه Ke Jaisa Hath Tha. Astagfirullah.
2⃣ Khwarijeen , Munafik – Ye Adawat-E-Ali Me Itna Gire Ke Hosh Tak Naa Raha Ke Kisko Kafir Bolte Aaye. Hazrat Ali رضي الله عنه Ko Mazboor Kamzor Samajhna Unko Kaafir Bolna Goya Unse Adaawat Me Dub Gaye Ye Dono Tabka Halaak Hai.
3⃣ Maslak E Ahle Sunnat Ka Tabka Haq Hai Jisne Maula-E-Qaynat Ko Unke Mansab Aur Makam Pe Maana الحمدلله
🎯Ye Hai Us Hadees Ka Thodasa Khulasa Ab Ye Hadees Bhi Wohi Maanega Jiska Aqeeda Imaan Ho Ke Huzoor صلى الله عليه وسلم Ko Ilme Gaib Tha. Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Muhabbat Ka Takaza Baaj Aaise Bhi Hai Jo Rafzi Hai Shia Hai Jinka Daawa Hai Hazrat Ali Se Muhabbat Ka, Par Unka Haal Kya Kahe.
_____________
📚Hadees Shareef Number: 2⃣7⃣
_____________
☘Hazrat Ali رضي الله عنه Farmate Hai Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ke Baad Sabse Behtar Hazrat Abu Baqr رضي الله عنه Aur Hazrat Umar رضي الله عنه Aur Aage Farmaya Meri Muhabbat Aur Shaikhen Kariman (Abu Baqr Aur Umar) Ka Bugz Kisi Momin Ke Dil Me Jama Nahi Ho Sakta.
📙(Imam Tabrani Al Maj’mau Ausat – Vol:03, Page: 79, Hadees: 3920)
_____________
📚Hadees Shareef Number: 2⃣8⃣
_____________
💢Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Sayyadain Hasnain(Imam Hasan aur Hussain) Ka Haath Pakad Kar Irshad Farmaya Jis Shaks Ne Mujhse Muhabbat Rakhi Jis Shaks Ne In Dono Se Muhabbat Rakhi Aur Jisne Inki Walida(Hazrat Fatima) Aur Inke Walid Se Muhabbat Rakhi Wo Mere Saath Jannat Me Hoga.”
📗(Imam Ahmad Ibn Hambal Ne Al Musnad – Vol: 01, Page: 168, Hadees: 576)
_____________
📚Hadees Shareef Number: 2⃣9⃣
_____________
🏵Ek Riwayat Me Jisme Hazrat Fatima Khatoone Jannat رضي الله عنها Ne Bayan Kiya Ummul Momineen Ayesha Siddiqa رضي الله عنها Se Wo Yeh Hai.Hazrat Fatima رضي الله عنها Farmati Hai:
Jab Pehli Baar Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Sargoshi Ki To Mujhe Ye Khabar Di Ke Har Saal Jibrail Mujh Se Ek Baar Quran Paak Ka Daur Kiya Karte The, Is Martaba Unhone 2 Baar Daur Kiya Hai, Ab Yeh Guman Hai Ki Mera Waqt Aagaya Hai. Tum ALLAH se Darna Aur Sabr Karna. Beshaq Mai Tumhara Accha Peshwa Hun. Khatune Jannat Fatima رضي الله عنها Ne Kaha:
“Yeh Sun Kar Mai Rone Lagi Jab Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Mujhe Girya Karte Dekha To Dobara Mujhse Sargoshi Ki Aur Farmaya:”
Aye Fatima! Kya Tum Is Baat Se Raazi Nahi Ho Ke Tum Tamam Jannatiyo Ki Biwiyo Ki Ya Tamam Momino Ki Biwiyo Ki SARDAR Ho. Khatun-E-Jannat Ne Farmaya Phir Mujhe Hasi Aa Gayi.”
📕(Sahih Bukhari – Vol: 02, Page: 920, Book No,: 61, Kitabul Manakib-E-Nabi Wa Ashabun Nabi, Baab: Alamat AlNabuwat Fil Islami, Hadees: 3623, 3624)
📘(Khatib Bagdadi Al Mishkat Al Masabih – Vol: 02, Page: 435, Kitabul Manakib, Baab: Manakib E Ahle Bait E Nabi, Hadees: 6138)
🎯SubhanAllah Ye Hadees E Paak Do Chizo Ki Roushan Daleel Hai. Awwal To Ye Ke AAP صلى الله عليه وسلم Ko Apni Wafaat Ka Ilm Pehle Se Hona Ye Gaib Nahi To Kya Hai? Aur Dusri Baat Ye Ke AAP صلى الله عليه وسلم Ka Khatoon-E-Jannat Fatima رضي الله عنها Se Ye Puchna Ke Kya Tum Isse Raazi Ho? Ye Ikhtiyarat-E-Mustafa صلى الله عليه وسلم Ki Daleel Hai. Yaha Sawal Puchne Se Murad Ye Hai Ke Aap Isse Razi Na Hoti To Aap Jaisa Chahe ALLAH Ki Ataa Se De Diya Jaata.
_____________
📚Hadees Shareef Number: 3⃣0⃣
_____________
💠Hazrat Huzaifa Bin Yaman رضي الله عنه Farmate Hai Maine Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Se Suna
“Ek Farishta hai Jo Is Raat Se Pehle Kabhi Is Duniya Me Nahi Utra Isne Apne Rab Ta’ala Se Ijazat Maangi Ke Mujhe Salam Kare Aur Mujhe Basharat De Ki Fatima Jannati Aurato Ki Sardar Hai Aur Hasan Wa Hussain Jannati Nawjawano Ke Sardar Hai.”
📘(Sunan Tirmizi – Kitab No.: 49, Kitabul Manakib Ana RasoolALLAHI صلى الله عليه وسلم , Baab: Manakib-E-Hasan Bin Ali Ibn Abu Talib, Hadees: 4150. English Version Hadees: 3781)
🌀Isi Tarah Ek Aur Riwayat Kuch Alfazat Ke Changes Ke Saath Hazrat Abu Hurrairah رضي الله عنه Se Riwayat Hai Uska Hawala Niche Pesh Kar Rahahu.
📕(Imam Bukhari Ne Apni Kitab Tarikhul Kabir – Vol: 01, Page:232, Hadees: 728)
📗(Imam Haythami Al Majmual Zawaid – Vol: 09, Page:201)
Is Topic Me Humne Fazilate Maula Ali Mushkil Kusha Aur Ahle Bait Ko Quran Wa Hadees Ki Roshni Me Mulahija Farmaya. ALLAH Ta’ala Hum Aur Apko Ahle Bait Ki Sacchi Wa Pakki Muhabbat aur Mawaddat Ata Farmaye. Aameen