
Ek riwayat me Hazrat Abu Zar Radiallahu anhoo se marvi hai ke Huzoor Nabi Akram this ne
farmaya: Ali AlaihisSalam ki misaal tumhare darmiyan ya farmaya: Is ummat me Gilaaf waale Kaaba ki si hai. Uski taraf dekhna Ibadat hai aur Uski taraf Haj karna
farz hai.”
Is Hadees ko Imam ibne Asakir ne riwayat kiya hai.


“Ek riwayat me Hazrat Aaisha Siddiqa SalamUllahAlaiha se marvi hai ke Huzoor
Nabi Pakﷺ ne farmaya: Ali (AlaihisSalam ) ka Zikr karna Ibadat hai
Is Hadees ko Imam Dailami aur ibne Asakir ne riwayat kiya hai.

“Hazrat Umme Salma SalamUllahAlaiha bayan farmati hain ke maine suna ke Huzoor Nabi Akram ﷺ farmate: Ali aur Quran ka choli-daaman ka saath hai. Ye dono hargiz juda nahi honge yahan tak ke Mere paas
Hoz-e-Kausar par (ikatthe) aayenge.“
Is Hadees ko Imam Hakim aur Tabrani ne riwayat kiya hai. Imam Hakim ne
farmaya: Is Hadees ki Sanad Saheeh hai.

Hazrat Jabir bin Abdullah Radiallahu anhoo se marvi hai ke farmate hain ke maine Huzoor Nabi Akram ﷺ ko Hazrat Ali AlaihisSalam se farmate hue suna: Ay Ali! log juda juda nasab se talluq rakhte hain Jabki Mai aur Tum ek he Nasab se hain.Phir Aap ﷺ ne
(Surah Ar-Ra’ad ki is Aayat-e-Mubaraka ki) tilawat
farmayi: ‘Aur anguron ke baagat hain aur khetiyan hain aur khajooron ke darakht hain, jhund-daar aur bagair jhund ke, un (sab) ko ek he paani se
sairab kiya jata hai’.“
Is Hadees ko Imam Hakim aur Tabrani ne riwayat kiya hai. Imam Hakim ne
farmaya: Is Hadees ki sanad Saheeh hai.
