
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hiri Mein Riwaayat Karte Hain: Imaam Ahmed Bin Saad O Tibraani O Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne Sahih Bata Kar Behki O Abu Naeem (RehamtULLAH Aleh) se Abu Al Bakhtari (RehamtULLAH Aleh) se Riwaayat ki k, Yaum E Safeen Ko Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) k Paas Doodh ka Piyaala Laaya Gaya,
.
Use Dekh Kar Unhon ne Tabassum Kiya, Logon ne Pucha Is Main Hansne ki Konsi Baat Hai, Unhon ne Kaha k RASOOL ALLAH (صلى الله عليه وآله وسلم) ne Farmaya, Dunya Main Aakhri Giza Jise Tum Piyo Ge, Woh Doodh ka Sharbat Hai, is Ke Baad Woh Aage Barhe Aur Shaheed Jogae”..
.
Refrence :
- Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#239, MAtboo’a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot
- Al Bidaaya Wan Nihaaya Ibn-e-Kaseer, Jild#6, Page #210, Matboo’a Al Maktabah tul Tijaariyah, Makkah tul Mukarramah
__
“Ataab Bin Saaeb Ke Silsila E Sanad se Abu Al Bakhtari Aur Mesrah ka Qol Marwi Hai: Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) ko Jang Safeen Ke Roz Doodh Pesh Kiya Gaya,
.
App (Razi ALLAH Anhu) ne Nosh Kar Ke Farmaya, Huzoor Nabi e Akram (صلى الله عليه وآله وسلم) Ke Farmaan Ke Mutaabik, is k Baad Mere Batan Main koi Cheez nahin jaegi, is k baad Ammaar (Razi ALLAH Anhu) Qataal Mein Mashgool Hogaey, Aur Bil Aakhir, Qataal Karte Karte Duniya se Chale Gaey”..
.
Refrence : - Hulyat Ul Oliya O Tabqaat Ul Asfiyah Zikar Ammaar Bin Yaasir, Jild#1, PAge#141, Matboo’a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot)
__
Aap Par Behad Darood O Salaam Ya Sahabi e Rasool Fida e Maula Ali Hazrat Ammar ibn Yasir RadiyAllahu Ta’ala Anhu