
Hazrat Kalada’h bin Hanbal Riwayat karte hain ki Mai’n Nabi e Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa sallam ki Khidmat me hazir hua. Mai’n Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa sallam ke paas Andar dakhil hua aur Salam na kiya to Nabi e Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa sallam ne Farmaya : Laut jao aur Kaho : Assalamu A’laikum, Kya Mai’n Dakhil ho sakta hu’n?
Tirmizi, As-Sunan – 2710, Abu Dawood, As-Sunan – 5176, Nisayi, As-Sunan ul Kubra – 6735, Bukhari, Al-Adab ul Mufrad – 1081, Ahmad bin Hanbal, Al-Musnad – 3/414