Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se Riwayat Hai ke Huzoor Nabi-e-Akram (صلى الله عليه وآله وسلم) ne farmaya: “Tum Logo ka us Waqt (Khushi se) kya Haal Hoga Jab Tum me Isa Ibne Maryam ( عليهم الصلاة والسلام aasmaan se) utrenge aur Tumhara Imam Tum He me se Hoga (Imam Mahdi عليه السلام).”
.
Reference :
-Sahih Bukhari
-Sahih Muslim
.
Quran-e-Pak me Kisi NabiAllah ke Milad ka tazkira itne detail me nahi Hua jitna Hazrat Isa (عليه السلام) ki Wiladat ka Tazkira Allah Ta’ala ne kiya!
Quran Hidayat ki Kitab hai to Sayyeda Maryam (عليهم الصلاة والسلام) Ne us Waqt kya kya kaha usse kis tarah ki Hidayat?
Wo saari baate Quran me Darj Hone ka Matlab Hai ke Allah Ta’ala Apne Ambiya ke Milad ka Tazkire karneko pasand Farmata Hai Balke Uski Sunnat hai! To Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Milad-e-Pak Manane waalo ko Allah Ta’ala kitna pasand farmata hoga!