Hazrat Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma ne riwayat kiya ke RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad farmaya: Ali ibne Abi Talib Magfirat ka Darwaza hai. Jo Uske paas jayega wo Imaan wala hai aur jo Us se dur hoga wo kafir hai.
Imam Darqutni ne al-Afrad me Aur Imam Jalaluddin Suyuti Rehmatullah Alaih ne Qawl ul Jali fee Fazaeel-e-Ali Alaihissalam me riwayat kiya:Hadees no 39.
Mai Khamosh Ilm Hu Aur Hazrat Muhammad (صلى الله عليه وآله وسلم) Bolne Wale Ilm Hai . ~Imam Ali (عليه السلام) . Reference : Kokab e Durri Pg 234 . اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ
Hazrat Ali ibne Zaid RadiAllahu Anhu Bayan karte Hain ke Hazrat Abu Talib (عليه السلام) Jab Huzoor Nabi-e-Akram (صلى الله عليه وآله وسلم) ko Takte (Dekhte) to ye Ashaar Gungunaate: . “Wa Shaqqa Lahu Minis-me-hee Lee Yujillahu Fazul Arshi Mahmoodun wa Haza Muhammadun” . Tarjuma: “Allah Ta’ala ne Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) ki Takreem ki khatir Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) ka Naam Apne Naam se Nikaala hai, Pas Arshwaala (Allah Ta’ala) Mahmood aur Ye (Habib) Muhammad Hain (صلى الله عليه وآله وسلم).” . SUBHANALLAH . Reference: . -Bukhari, Tarikh as Sagheer, 1/13, Hadees #31
-Ibne Hibban, Sikaat, 1/42
-Abu Nuaim, Dalailun Nabuwwah . To kya khayal hai aapka, koi kafir aise Kalimat keh sakta hai? Jiska Allah pe Imaan he nahi, usko Arsh aur Mahmood ka kaise pata? . Isliye to Peer Naseeruddin Nasir Rehmatullah Alaih ne farmaya: . “Baad Tehqeeq e Quran o Hadees, Mera Dil Qaayal-e-Imaan e Abu Talib Hai!” . اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ