
Silsila-e-Naqshbandiya Ke Shaykh Wa
Mufassir Hazrat Allama Qazi Sana’-ul-Allah
Panipati Rahmat-ul-Allahi Ta’ala Alayh Apni
Tafsir Me Raqam Taraz Hain :
“Hazrat Ali Alayh-is-Salam Kamalat-e-Wilaayat Ke
Qutb-e-Irshad Hain, Saabiqaa (Agle Zamane Kee)
Ummato’n Mein Se Koi Bhi Aap (KarramAllahu
Ta’ala Waj’hah-Ul-Karim) Ke Wasile Wa Wasaatat
Ke Baghair Darja-e-Wilaayat Ko Nahin Pahuncha.”
[Tafsri Al-Mazhari, 02/122]
Shaykh-ul-Masha’ikh Ahmad Sarhindi Joh
Mujaddid-e-Alf Saani Ke Laqab Se Mash’hoor
Hain Aur Silsila-e-Naqshbandiya Ke Maahe
Munawwar (Qaddas Allahu Sirrahu-Al-Aziz) Apne
Maktoobat Sharif Me Maktavi Mein Farmate Hain :
“Hazrat Amir Al-Mu’minin Apne Jasad-e-Unsuri
(Jism Ka Hissa) Mein Aaney Se Qabl Bhi
Iss Maqaam Par Faa’iz They.”
[Ba Hawala Khasa’is Ali, Saf’h-489,
Az Allama Zahoor Ahmad Faizi.]
Jahan Mein Jishe Bhi Wilayat Mili Hai
Ba-Tufail e Muhammad Ataa e Ali Hai