17 Rabiul Awwal Wildat e Imam Jaffar Sadiq AlahisSalam

Hazrat Imam Jafar Sadiq (عليه السلام)

इमाम जाफर सादीक अलेहीस्लाम की पैदाइश4 नवम्बर 2020
इमाम जाफर सादीक अलेहीस्लाम यौमे विलादत 17 रबिअव्वल 83 हिजरी को मदीने शरीफ में हूई
आप छटे इमामे पाक है
यू तो अल्लाह पाक ने कुरान शरीफ में सुरे बकर आयत न 124 में 12 इमाम तय कीये हैं
ये वो इमाम जाफर सादीक अलेहीस्लाम है जिनकी याद मे कुन्डो की नियाज दिलाई जाती है
आप आले नबी औलाद ए अली है और जनाबे फातमा जेहरा सलाम उल्लाह अलेहा और हसन हुसैनी अलैहिस्सलाम
पन्जैतनी गुलदशतै के महकते
फातमी फूल है

17 Rabi-ul-Avval
Yaum e Wiladat e Imam Jafar al-Sadiq
(Aleyhesalaam)

Sufi Buzurg Hazrat Bayazid Bistami (Rehmatullahaleyh) Aehlebeyat ke 6the Imam ~ Imam Jafar al-Sadiq (Aleyhesalaam) ke ghar par gatekeeper ban kar khidmat dete the.

Sufi Buzurg Hazrat Maruf al-Karkhi (Rehmatullahaleyh) Aehlebeyat ke 7ve Imam ~ Imam Musa al-Kazim (Aleyhesalaam) aor Unke baad Aehlebeyat ke 8ve Imam ~ Imam Ali al-Reza (Aleyhesalaam) ke ghar par gatekeeper ban kar khidmat dete the.

Kahun mai kya, Kya Hasti hai Imam Jafer e sadiq۴
Imamon ka Imam hai Imam Jafer e sadiq۴,

Jo inke dar pe jhukte hai woh bante hai wali ullah,
Bustami bayzed bhi hai ghulam e jafer e sadiq,

Husn e hasan۴, Lahu e hussain۴ jalaal e Ali۴ se bana,
Nabiس ki pyari beti Ka beta Imam Jafer e sadiq۴

Chaman e Zehraس pak Ka Gul hai Woh
Ali ke ishq Ki jaan hai Imam Jafer e sadiq۴,

Likte ho padhte ho bada Allah Walliullah
Magar Tazkiratul Auliya ki ibteda hai Imam Jafer e sadiq۴,

Han Mai Dewana khush – mast hun Jaferry rang me,
Kyun ke mai khata hun Sadqa e Imam jafer e sadiq۴.

17 Rabi-ul-Avval: Islamic History

Birth Anniversary of
Imam Jafar al-Sadiq
(Peace be upon Him)

Yaum e Wiladat e
Imam Jafar al-Sadiq
(Aleyhesalaam)


Hujjatul Islam

Aaqa Huzur
Muhammad Mustufa
(Sallal laho aleyhe va aale hi va sallam) ke Waris

Imam e Avval
Amirul Momineen
Maula e Qayenat
Imam Ali
(Aleyhesalaam)
va
Saiyeda e Qayenat
Khatun e Jannat
(Salaamullahaleyha) ke Shehzade

Shahid e Karbala
Imam Hussain
(Aleyhesalaam) ke Chashm o Chiragh

Panjetan e Pak ke Nishani

Aehle Sunnat ki
Hanafi Fiqh ke Fiqhi Imam
Imam Abu Hanifa
(Rehmatullahaleyh) ke Ustad

Aehlebeyat ke 6the Imam

Imam Jafar al-Sadiq
ibne
Imam Muhammad al-Bakir
(Aleyhesalaam) ka Yaum e Wiladat aap sabhi Aashiqan e Aehlebeyat ko bahot bahot Mubarak ho!
💖💖💖💖💖

Kasam Allah Ki Ye Hai Ata-E-Jafar-E-Sadiq
Kaha Main Or Kaha Logo Sana-E-Jafar-E-Sadiq
Meri Bakhsis Ki Khatir Dosto Itna Hi Kafi Hai
Meri Turbat Pe Likh Dena Gada-E-Jafar-E-Sadiq
Hai Jitne Jafri Yaha Par Main Un Sab Se Mukhatib Hu
Tumhe Dohri Mubarak Ho Ke Aaye Jafar-E-Sadiq
Jashn-E-Zahoor-E-Pur Noor Sadiq-E-Aal-E-Mohammad Imam Jafar-E-Sadiq Tamam Syedzaadgaan Wa Muhhibaan-E-Ahle Or Bil-khusus Tamam Jafri Saadat Ko Bhout Bhout Mubarak Ho ❤️❤️❤️❤️
Allahumma Salle Aala Mohammad Wa Aala Aale Mohammad Wa Barik Wa Sallim ❤️❤️❤️
17 Rabiul Awwal Youme Wiladat Moula Imam JAFAR-E-SADIQ IBNE IMAM BAQIR (a.s.) Jahaan Sab Kuch Hai Ek Adna Gulaam-e-Jafar-e-Sadiq (a.s)
Waha Kya Poochna Hai Phir Maqam-e-Jafar-Sadiq (a.s)
Hussain-o-Aabid-o-Baqar (a.s) Ka Sadqa Chahta Hun Main
Ba-Saugandh-e-Ali Yaa Rab Ba-Naam-e-Jafar-e-Sadiq (a.s)
Moinuddin Ajmeri-o-Mohiyuddin Gilani
Jinoon Ne Keh Diya Jo Chaha Naam-e-Jafar-e-Sadiq (a.s)
Wirasat Mein Mili KAMIL Sifat Mushkil Kushayi Ki
Huye Sab Mushkilein Aasan Banam-e-Jafar-e-Sadiq (a.s)
SALAM YAA MOULA IMAM JAFAR-E-SADIQ IBNE MOHAMMAD BAQIR ALAHISSALAM

aapke knowledge ke liye batadun; Imam Jafar al-Sadiq (Aleyhesalaam) ke Par-Nana ka Naam, Hazrat Abu Bakr al-Siddiq (Radi Allaho tala anho) hai!!!

Aehlebeyat ke 6the Imam ~ Imam Jafar al-Sadiq (Aleyhesalaam) ke Amma saheba ~ Bibi Umme Farwah (Radi Allaho tala anha),
Hazrat Abu Bakr (Radi Allaho tala anho) ke Par-poti hein.
__________

Imam Jafar al-Sadiq
(Aleyhesalaam)

son of

Lady Umme Farwah
(Radi Allaho tala anha)

daughter of

Hazrat Kasim
(Radi Allaho tala anho)

son of

Hazrat Mohammad
(Radi Allaho tala anho)

son of

Sahabi e Rasul ~ Hazrat Abu Bakr
(Radi Allaho tala anho)
__________

17 Rabi-ul-Avval:
Yaum e Wiladat e Imam Jafar al-Sadiq
(Aleyhesalaam)

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s