
(1) Aalame Nasoot :Pahla darja hai jahan hazrat e insan ka maujood hai.Iss darje ko sabse nichele darje mein shumar kiye gaya hai.
(2)Aalame Malkoot :Woh Aalam jo Farishto’n ki qayam gaah hai. Chunanche Sultanul Hind Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz Ajmeri Chishti r.a ki Seerat par Likhi jane waali Kitab “Seerat Khwaja Ghareeb Nawaz” mein isi mauzo par aap ka ek qaul naql hai ki “Ajay pal ne Hazrat Khwaja se arz kiya ki aap bhi apna koi Kamaal dikhaye’n Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz ne muraghba farmaya aur usi haalat mein aapki rooh Aalam e Malkoot tak parwaaz kar gayi. Ajay pal jogi ki rooh bhi istadraaj se pahle Aasman tak pahuch gayi kyunki uski taab parwaaz yahi’n tak thi iske aage jaane ka raasta na mila Phir usne Khwaja Ghareeb Nawaz se ilteja Kiya ki mujhe bhi apne hum raah le chale’n chunanche aapne usko apne sath le liya aur Arsh e Azeem ke neeche pahuche’n. Khwaja Ghareeb Nawaz ki muqaddas sohbat ki barqat se Ajay pal jogi ki rooh par pada huwa hijab uth gaya aur Farishte Sarkar Khwaja Ghareeb Nawaz r.a ki rooh ki jo tazeem aur takreem kar rahe the’n uska manzar bhi Ajay pal jogi ne apne Aankho’n se dekh liya
Isi Seerat ki Kitab mein aap ke wisal ka zikr karte hue Hazrat Khwaja Qutubuddin Bakhtiyar Kaki r.a farmate hain ki “ek shab mye musalle par leta huwa tha ki neend aagai maine Sarkar Khwaja Ghareeb Nawaz r.a ko Arsh par dekha maine sir aapke qadmo’n par rakh diya aur aapka haal dariyaft kiya to aapne irshad farmaya ki Allah Ta’ala ne mujhe baksh diya aur apne saaye rehmat mein jagah ata farmai aur Farishto’n ke darmiyan meri qayamgaah muqarrar farmai hai main yahi’n rahta hoo’n. lehaza is qaul se ye zahir hota hai ki aapki qayamgaah Aalame Malkoot hai.
(3) Aalame Jabroot : (Aalame Barzakh ka buland baala Maqam) Iske mutalliq Hazrat Khawaja Ghareeb Nawaz r.a farmate hai’n ke salikane ghair majzoob bajuz suhbat mursheed kaamil marfat Illahi hasil nahi kar sakte na baghair islah batin inki aalame jabroot tak rasai hoti hai.woh aalame nasoot wa malkoot mein bhatakte rahte hai’n.Yeh log shahwat pasand aur shohrat pasand hote hai’n.is qaul se sabit hai ke aalame jabroot mein khasam khaas ki he rasai hai.
(4) Aalame Lahoot ya Lahoot e lamaka’n ya Maqam e hoo : yeh aalame barzakh ka sabse buland aur bala maqam hai. Maloom ho ke maqam e Lahoot ke bayan mein baaz Muhaqqeqeen sufiya (Sufiya ki woh jamaat jo Haqiqat se ashna karate hain) ne is tarha farmaya hai ke jab wo huma e la yazaal ashiyana e lamaka’n mein is tarah sar dar muraqbah tha ke use khud apni khabar na thi is maqaam ko Aarifo ne Mahoot ka naam diya. Aur jab wajood ki lazzaat par aaya to is maqaam ko Nasoot ka naam diya. Aur jab apni hamdo sana par aaya to is maqaam ko Malkoot ka naam diya.Aur jab usne sar uthaya aur nazar khud par padi to woh apne wajood ke ejza ka yak ba yak mushahidah karne laga to is maqaam ko Jabroot ka naam diya. Aur jab use khud se maloom hua ki main khud ba khud aaya hoon to is maqaam ko Lahoot ka naam diya. To is se maloom hota hai ki maqaam e Lahoot aisa maqaam e aali hai ki aksar aur khaas ke alawa kisi ka guzar nhi.