
Zoja e Rasool Ummul Mo’mineen Hazrat Syyeda Umme Salma Hind (Salam un Aleha)
Aapki Wiladat 596 Esvi Me Makkah Sharif Saudia Arabia Me Hui, Aapka Wisaal 3 Rabi us Saani 64 Hijri Mutabik 683 Esvi Me Hua, Shehansha e Qull Aalam Huzoor Ahmad e Mujtuba Muhammad Mustufa (Sallallahu Ta’ala Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam) Ne (6th) Nikah Aapse Farmaya, Ye Nikah 4 Hijri 626 Esvi Me Hua, Aap Sulah Hudaibiyah Ke Moqa Par, Junge Khaibar, Jung e Taa’if Aur Dusri Jung Me Huzoor (Alaihis Salam) Ke Sath Thi, Aap Fateh Makka Aur Hajjatul Wida Me Bhi Huzoor (Alaihis Salam) Ke Sath Thi, Hazrat Syedna Mola Imaam Hussain (Alaihis Salam) Ki Shahadat gah Ki Wo Surkh Mitti Jo Hazrat Jibreel (Alaihis Salam) Ne Huzoor (Alahis Salam) Ko Lakar Di Thi Huzoor (Alaihis Salam) Ne Wo Mitti Hazrat Umme Salma (Salamun Aleha) Ko De Di Thi Aur Farmaya Tha:- Is Mitti Ko Apne Pas Rakho Jab Ye Mitti Khoon Ban Jaye To Samaj Lena Mera Beta Shaheed Ho Gya Hain, Hazrat Umme Salma (Salamun Aleha) Ne Us Mitti Ko Ak Shishi Me Band Kar Liya Tha, Phir Jis Din Mola Imaam Hussain (Alahis Salam) Karbala Me Shaheed Hue Usi Roz Ye Mitti Khoon Ban Gyi Thi, Aap Haafiz e Quran Thi, Aapse 378 Ahaadees Marwi Hain, Aayat e Tatheer Aapke Ghar Me Naazil Hui, Tamaam Azwaje Mutaherat Me Aapka Wisaal Sabse Aakhir Me Hua, Aapka Mazar Mubarak Jannat ul Baqi Sharif, Madina Paak, Saudia Arabia Me Marjai Khaliak Hain…