Day: November 25, 2020
Sayyedul Arab

Arab ke Sardar!! “Imam Hasan Ibne Ali Alaihi-mussalam se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay Anas! Mere paas Arab ke Sardar ko bulao. Hazrat Aaisha RadiAllahu Anha ne arz kiya, Kya Aap Arab ke Sardar nahi? Farmaya: Mai tamam aulad-e-Aadam ka Sardar hun aur Ali Arab ke Sardar hain. Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne kisi ke zariye Ansar ko bula bheja jab wo aagaye to farmaya: Ay Giroh-e-Ansar! Mai tumhe wo amr na batau ke agar usey mazbooti se thaam lo to Mere baad kabhi gumraah na hoge. Logo ne arz kiya: Ya RasoolAllah! Zarur irshad farmaye. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ye Ali hai, tum Meri Muhabbat ki bina par is se Muhabbat karo aur Meri Izzat wa Takrim ki bina par Iski Izzat karo. Jo Maine tumse kaha uska Hukm Mujhe Allah Ta’ala ki taraf se Jibrael Alaihissalam ne diya hai.”
Tabrani, Mujam al Kabir 3/88, #2749 Haysami, Majma uz Zawaid 9/132 Abu Nuaim, Hilyatul Auliya, 1/63 (Hakim, Mustadrak me Hadees-
Nabi علیہ صلاة و سلام Ka Sahabae Kiraam Se Mazaq Farmana

Sayyedna Anas Bin Malik Se Riwayat Hai Ke Ek Sahabi Ne Nabi Alayhissalam Se Sawari Ki Darkhwast Ki Toh Aap Alayhissalam Ne Farmaya Mein Tumhein Sawari Ke Liye Oontni Ka Baccha Dunga Unhone Arz Kiya Allah Ke Rasool! Mein Oontni Ke Bacche Par Kaise Sawari Karunga Mujhe Toh Oont Chahiye Aap Alayhissalam Ne Farmaya Nahi Isey Oontni Ka Baccha De Do Unhone Kaha Ya Rasoolullah! Maine Aapse Sawari Mangi Hai Toh Aapne Farmaya Koi Oont Aisa Hai Jo Oontni Ka Baccha Na Ho. (Tirmizi, Hadees-1991, Isnad-Hasan)
Sayyedna Anas Bin Malik Farmate Hein Mera Bhai Tha Abu Umair Toh Usne Ek Chidiya Paali Huyi Thi Choti Si Woh Faut Ho Gayi Toh Nabi Alayhissalam Jab Bhi Usse Mila Karte Toh Kehte Abu Umair Teri Chidiya Toh Bakhair Hai? (Sahih Bukhari, Hadees-6129) Sayyedna Anas Bin Malik Se Riwayat Hai Ke Nabi Alayhissalam Ne Unko Mukhatib Karte Huye Farmaya “Aye Do Kaan Wale!” Yaani Aap Alayhissalam Ne Unse Mazaq Kiya. (Tirmizi, Hadees-1992, Isnad-Sahih)
Sayyedna Abu Hurairah Kehte Hein Ke Sahabae Kiraam Ne Arz Kiya Allah Ke Rasool! Aap Humse Mazaq Karte Hein? Aap Alayhissalam Ne Farmaya Mein Mazaq Mein Bhi Haq Ke Siwa Kuch Nahi Kehta Yaani Mein Mazaq Mein Bhi Kabhi Jhut Nahi Bolta. (Tirmizi, Hadees-1990, Isnad-Hasan)
Hazrat Khwaja Sayyed Zain-ud-deen Daawūd Shirazi rahmatullāhi alaih

Aap ki wilaadat 701 Hijri (1302 A.D.) me Shiraz (Iran) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Sayyed Hussain bin Mahmood Shirazi hai.
Aap Husaini saadaat hain aur Imaam Ali al-Riza radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
Aap ki umr 7 saal thi tab aap ki waalida ka wisaal hua. Is ke baad aap ke waalid ne aap ki pawarish ki aur apne waalid se ta’aleem haasil ki.
Phir apne waalid ke saat Haramain shareefain tashreef le gaye. Kuchh arse tak Aap ne Haramain shareefain me qayaam farmaaya.
Phir Hindustan ki jaanib rawaana hue aur samundar se safar karte hue Delhi tashreef laaye.
Maulana Kamaal-ud-deen Samanawi se aur dusre ulama se Qur’an, Hadeeṡ aur Fiq’h ki ta’aleem haasil ki aur Haafize Qur’an hue.
Phir 727 Hijri (1327 A.D.) me Hazrat ke saath Daulatabad tashreef laaye aur Khwaja Burhaan-ud-deen Ghareeb rahmatullāhi alaihi ke mureed hue aur Peer ki khidmat me rehkar Tasawwuf aur Tareeqat ki ta’aleem haasil ki.
18 Rabi’ us saani 737 Hijri (1337 A.D.) me Khwaja Burhaan-ud-deen Ghareeb rahmatullāhi alaihi ne Aap ko khilaafat ata farmai.
Aur Zain-ud-deen ka kheetab ata farmai.
Peer ke wisaal ke baad Aap ne khaanqaah ki zimmedaari sambhali aur ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe.
Aap Daulatabad ke Qaazi bhi rahe.
Aap kisi ke tohfe qubool nahi karte the.
Aur haq baat bataane me kisi se darte nahi the. Sultaano ko bhi aap haq ki ta’aqeed karte the.
Hidaayatul quloob, Daleel-ul-Saalikeen, Habbatul Quloob min Maqaamil Mahboob aur Habbatul Muhabbat me Aap ke Aqwaal aur ta’aleemaat ko jama kiya gaya hai.
Sultaan Firoz Shaah Tughlaq, Sultaan Mahmood Bahmani, Sultaan Malik Raja Faarooqi, aur us ka shehzaada Nasir-ud-deen Nasir Khan Faarooqi Aap ki bahot ta’azeem karte the.
Sultaan Nasir Khan Faarooqi ne Aap ki yaad me Tapti nadi ke kinaare Burhanabad aur Zainabad shaher basaaye.
Aap Hazrat Khwaja Burhaan-ud-deen Ghareeb rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Sayyed Ya’aqoob rahmatullāhi alaihi (Nahrwala, Gujarat)
(2) Hazrat Sayyed Zainu Yousuf urfe Shamna Meeran rahmatullāhi alaihi (Murtazabad).
Aap ka wisaal 25 Rabi-ul-Awwal 771 Hijri (27 October 1369 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Khuldabad (Maharashtra) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Sayyed Zain-ud-deen Daawūd Shirazi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
Hadith Tabrani, Mujam al Awsat, 2/337, # 2157

Hazrat Ammar bin Yasir RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke maine Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Maula Ali Alaihissalam ke liye farmate hue suna:
“(Ay Ali) Mubarakbaad ho usey jo Tujse Muhabbat karta hai aur Teri tasdeeq karta hai!!
Aur halakat ho uske liye jo Tujhse bugz rakhta hai aur Tujhe jhutlata hai!!”
Alaihis Salatu Was Salaam
Is Hadees ko Imam Hakim aur Abu Yala ne riwayat kiya hai aur Imam Hakim
ne kaha Ye Hadees Sahih ul Isnad hai.
Imam Hakim, Mustadrak, 3/145, #4657.
Abu Ya’ala, Musnad , 3/178, 179,# 1602.
Tabrani, Mujam al Awsat, 2/337, # 2157.
Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammad wa Ala Sayyedina Aliyyuw wa Sayyedatina Fatimah wa Sayyedatina Zainab wa Sayyedina Hasan wa Sayyedina Hussain wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.