Zikr e Hazrat Waris Pak Rehmatullahi alaihi part 26&27

download

PART 26
BUGZ WA INAAD

Hazrat farmate hai ki :- bugz wa inaad ki asal duniya ki raf’atab manjil ki muhabbat hai isliye gubaar nafaak se isi ka dil saaf hota hai. jiski nigaah me duniya ke maal wa jaah ki kadro izzat na ho.

KAABILE TARIF SHAKHS

Hazrat farmate hai ki :- duniya me kaabile tariff wah shakhs hai . jiske dil me kisi ki taraf se bugz wa kina naddo jo rasool Alllah sallAllahu alaihi wasallam ki khas sunnat hai.

PART 27
IRSHADE AULIYA

Hazrat ke akwaal mundrjajail me diye jate hai.

be muhabbat khuda nahi milta.
Peer ki muhabbat mureed ka deen hai . muhabbat karo .
Mureed sadiq wah hai jo peer ki bargaah ko nakais se paak samjhe.
Tasleem wa raza ki manjil me jan dena mamoli baat hai, magar juban se uff bhi karna ahlo razaaa ki shan ke khilaaf hai.
Razaa wa taslim ke kuche me jisne kadam rakha uska ikhtiyar bhi salab hua.
Musrab taslim wa raza me intijam nahi.
Jo tumse muhabbat kare usse muhabbat karo magar kisi ke haqq me dua karo na ki bad dua karo.
Fakeer ko chahiye razaa taslim par qayam rahe .
Dua aur bad dua karna masharab raza wa taslim ke khilaaf hai.
Fakeer na dost ke waste dua karta hai. na dushman ke liye bad dua kyunki dost dushman ka parda hai sab kartoot inka hai . jinka har chij me jalwa hai.
Muhabbat bhi khuda ka ek raj hai.
Ishq me tark hi tark hai.
Aashiq ko har chij me mashooq ka jalwa dikhta hai.
Aashiq wah hai ho jo mashooq ko apni jan se jyadah ajeej rakhe.
Aashiq hamesha gamgeen rahta hai.
Aashiq ko chahiye lajim hai ke sir kat jaye magar shikyat na kare kyunki kaatil bhi gair nahi.
Aashiq wah hai jiski koi saas yad matloob se khali na jaye.
Mashooq ki jafaa bhi aine wafa hai.
Mashooq ke samne aashiq aisa be ikhtiyar ho jese gissal ke hath me murda .
Aashiqe ko ishq sadik ki alamat yeh hai kii jikr yaar ki kasrat ho
Aashiq agar ek sath bhi mashooq se gafil rahta hai to wah saa’at iske liye bemajlaaye mout ke hai.
Maashooq ki jafa ho ya ataa ho aashhiq ke liye raaj hai.
Aashiq ka mansab yah hai ki maashooq ke samne sare wa salim kham rahe.
Aashiq ka iman rajaye yaar hai.
Jis tarah khuda sab ka khalik barhaq hai usi tarah rajjak mutlak bhi hai.
Rajaae mashooq ki ta’amil aashiq ka farz hai .
Muheeb ki jaban me muhabbat kafal lagaa deti hai.
Bagair muhabbt ke jikr se kuch nahi hota .
Isi zikr se fayda hota hai.
Jo apne kaam khuda ko supurd karta hai khuda is kaam ko bana deta hai.
Khuda ne har kaam ke waste ek waqt mukarrar kiya hai.
Mohad wah hai jis ke dil se masawaye Allah ka khyaal mahu ho jaye,.
Jisne jumula wardaat wa wakaat ka faile haqiqi khuda ko jana wah mohad hai.
Fakeer wah hai jiske paas kuch na ho .
Fakeer wah hai jo be jujj khuda ke kisi par bharosa na kare.
Fakeer ki shaan yah hai ki aajad aur be garj rahe.
Jiske paas duniya wa aakhirat ka sarmaya na ho wah fakeer hai.
Fakeer baat ka paband hota hai.
Jisne haqq ko pakda wah kamyaab aur jisne khalak par bharosa kiya wah kharaab hua.
Baawajood ikhtiyar ke dushman se bhi badla na lo kyunki jab faaile haqiqi ek hai to auz kis se aur kon lega .
Dushman ke sath salook karo yah shere khuda ki sunnat hai. ke katil ko pahle sarbat pilaya.
Khuda us waqt milega jab me wa tu ka jhgda chodoge.
Muheeb ko be jurjaat ke safa’at se ta’alluk nahi rahta.
Aashiq deen wa duniya se bekaraar ho jata hia.
Khuda ko apna wakeel banao.
Aashiq ka wajifa jikr yaar hota hai.
Yaar ka tasawwur aashiq ki jindagi hai.
Mashooq ki jafaa ho ya ataa ho aashiq ke liye raaaj hai.
Jo haqq se darta hai woh khalk se bekhouf rahta hai.
Jisne dil se man wa to ka khyaal nikaal diya wah har jagah ek jaat ko dekhta hai.

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s