PART 24
HAMDARDI
Hazrat farmate hai ki :- makhlooq khuda de hamdardi aur achcha sulook kiya karo sirf is khyaal se ki khuda ke bande hai aur iski muhabbat ki yadgaar hai . is amal se tumko khuda ka muhabbat naseeb hogi aur yahi tasawwuf ki asal hai .
MASHRABE ISHQ
Hazrat farmate hai ki :- mashrabe ishq me nafs ki beja khuhais ko pura karna haraam hai . kyunki ishqe sadik ki tariff yah hai ki ishq balaa nafs ruh rah jaye aur jab tak isme nafs hai . wah ishq ilahi ka majaa nahi chakkh sakta .
INTIJAAM DUNIYA
Hazrat farmate hai ki :- jo duniya ke intijaam me fasaa hai . iske dil me muhabbat ilahi ki jagah nahi rahti .
PART 25
ISHQ KA PESH KHEYMA
Hazrat farmate hai ki :- we intijami to ishq ka pesh kheyma hai.
ROZA
Hazrat farmate hai ki :- roza aisi gira nakdar ibadat hai ke rojedar bande ko khuda apne dosto me shumar karta hai .
AASHIQO KA ROZA
Hazrat farmate hai ki :- mashaawe ishq me roze ki haqiqi sift yah hai ki tarak gija ke sath khuhaisht gija ke liya iska aur lajjat gija ki tamij wa ahsaaas bhi fanaa ho jaye.
TARIQAT KA ADAB
Hazrat farmate hai ki :- tariqat ka adab yah hai ki jis shahr me ek shabki qayaam ho waha ke mash’hoor ahal Allah ke majar par jarur aaye.