
Duniya me ALLAH se darne wala aakhirat ke Aman ka haqdar.
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu, Nabi e Akram SallAllahu Aalihi wa Alaihi wa Sallam se un baato me jo Aap SallAllahu Aalihi wa Alaihi wa Sallam ne ALLAH Ta’ala se riwayat ki, riwayat karte hain ki ALLAH Ta’ala ne Farmaya Mujhe Meri Izzat ki Qasam! Mai apne bande me do khauf aur do amn ikatthe nahi karu’nga. Agar usne duniya me mujh se khauf rakha to Mai use Qayamat ke din amn dunga aur agar duniya mein woh mujh se be-khauf raha to Mai use Qayamat ke din khauf se do-char kar du’nga.
Sahih Ibne Hibban – 640,
Baheqi, Shu’ab ul Imaan – 777