Achche log!

Achche log!

Imam Jafar As Sadiq AlaihisSalam se phucha gaya Sabse Achche log kon hain? Aap farmate hain ache log wo hain Jinme yeh 5 khaslate jama ho jaye.

(1). Agar neki karen toh unke Dilme farhat ho Ibadat karen kisi ke sath Ahsaan karen Bhalai karen bhalai se Neki se Unke dil me farhat o rahat ka sama Paida ho jaye.!
(2). Aur jab koi ghalti khata kar bethey toh foran Gidh Geedhaye aur Allah ke Huzoor Touba maafi talab karen.!
(3). Agar unko kuch Naimat mil jaye toh Allah ka shukr aada karen.!
(4).Agar koi Taqleef aur pareshani aye toh shikwa Na karen Sabr karen.!
(5). Agar koi unki Zaat ke sath ziyatti kar dey toh usko Maaf kar dein.!

Jin logon me yeh 5 khaslate jama ho jayen imam farmate hain wo Allah ke yahan Muqarrab aur achche Bande hain.

Meezan ul hikmah, 3/1135 #5410.

Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Barik wa Sallim.