Momin Uss Waqt Tak Kaamil Nahi Hota Jab Tak.

Maula-e-Kaiynaat Ali-Ibn-Abu Taalib (a.s) Ne Farmaya:

“Aye Salmaan (r.a) Momin Uss Waqt Tak Kaamil Nahi Hota Jab Tak Woh Mujhey Nooraniyat Ke Saath Na Pehchaan Ley, Woh Momin Hai Jisskey Qalb Ka Khudaa Ne Imaan Ke Saath Imtehaan Liya Aur Usskey Seeney Ko Islaam Ke Liye Khol Diya, Pas Woh Apney Deen Ka Aarif Aur Mutabassir Hogaya Aur Jo Iss Sey Qaasir Raha Wo Shak Karney Wala Aur Shubat-e-Shaitaniya Mein Giraftaar Hai.

Aye Salmaan-o-Jundab (Abu-Zar) Ba-Tehqiq Ke Nooraniyat Ke Saath Meri Maarifat Khudaa Ki Maarifat Hai Aur Khudaa Ki Maarifat Meri Maarifat Hai Aur Yahi ‘Deen-e-Khaalis’ Hai.”

Aye Salmaan-o-Jundab Imtehaan Diya Huwa Momin Wo Hai Ke Jiss Par Humarey Amr Se Koi Cheez Warid Nahi Hoti, Magar Yeh Ke Allah Isskey Seeney Ko Isskey Qabool Karney Ke Liye Kushada Kar Deta Hai Aur Issmey Wo Shak-o-Shuba Nahi Karta Aur Jiss Ne Kaha Kyun Kar Aur Kaisey Wo Kaafir Ho Gaya,

Pas Allah Ke Amr Ko Maan Lo Ke Hum Amrullah Hai.”

Aye Salmaan Khudaa Ne Farmaya :

“Ista’anat Chaho Sabr Aur Salaat Ke Saath”

Pas Sabr Muhammad Mustafa (s.a.w) Aur Salaat Se Muraad Meri Wilaayat Hai Aur Issi Wajah Se Farmaya Ki Ba-Tehqiq Bahut Dushwaar Hai.”

“Aye Salmaan Mainey Jo Kuch Kaha Aur Sharah Ki, Iss Par Jo Imaan Laya Wo Momin Hai, Jisskey Qalb Ka Imtehaan Allah Ne Imaan Ke Saath Liya Hai Aur Issi Se Raazi Hai Aur Jissney Shak Kiya Wo Naasbi Hai, Agar Wo Humari Wilaayat Ka Daawa Karey To Jhutaa Hai.”

(Nehjul Israr, Jild-1, Safa-82, 83-87, Mashariq-ul-Anwaar)

Advertisement