
Qayamat mein Shan e Maula Ali AlaihisSalam.

Hazrat Ali ibne Zaid RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Hazrat Abu Talib RadiAllahu Ta’ala Anhu jab Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Takte to ye Ashaar gungunaate:
“Wa Shaqqa Lahu Minis-me-hee Lee Yujillahu
Fazul Arshi Mahmoodun wa Haza Muhammadun”
Tarjuma: “Allah Ta’ala ne Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Takreem ki khatir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ka Naam Apne Naam se nikaala hai,
Pas Arshwaala (Allah Ta’ala) Mahmood aur Ye (Habib) Muhammad Hain (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam).”
–
Reference:
Bukhari, Tarikh as Sagheer, 1/13, Hadees #31
Ibne Hibban, Sikaat, 1/42
Abu Nuaim, Dalailun Nabuwwah, 1/41
Haysami, Dalailun Nabuwwah, 1/160
Ibne Abdul Barr, Al Istiyaab, 9/154
Asqalani, Isaba, 7/235
Asqalani, Fathul Baari, 6/555
Ibne Asakir, Tarikh e Damishq, 3/32,33
Qurtabi, Jaami lee Ahkamil Quran, 1/133
Ibne Kaseer, Tafseer e Quran al Azeem, 4/526
Suyuti, Khasais e Kubra, 1/134
Zarkaani, Sharhah Alal Mautan, 4/557
Azeemabadi, Aounal Ma’abood, 3/189
.
Salawat bar Muhammad wa aale Muhammad
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ سَيِّدِنَا مُحَمَّد
*WO NAATE RASOOL ﷺ JO 1400 SAAL PAHLE PADI GAI*
*بِشِعْرِ أَبِي طَالِبٍ*
وَأَبْيَضَ يُسْتَسْقَى الْغَمَامُ بِوَجْهِهِ
ثِمَالُ الْيَتَامَى عِصْمَةٌ لِلْأَرَامِلِ
Tarjuma:-
Wo gore chahre wale… Jinky Chahre ky Sadqe Me Barish Ki Dua Ki Jaati Hai.. wo yatimo ki panah or bewao ke sahra hai..
REF:- *BUKHARI SHARIF HADIS NO 1008 & 1009*
*ibn majja hadis no 1272*
YE SHER JANABE ABU TALIB NE RASOOL ALLAH ﷺ KI SHAAN ME KAHE HAI… ISK ILAWA KITABO ME 94 SE 100 ASHAAR JANABE abu TALIB KY MILTE HAI JO SARKAR ﷺ KI SHAAN ME AAP NE KAHE…
*JANABE ABU TALIB OR DIFAAE NABIﷺ*
واللہ لوقتلتموہ ما بقیت منکم
احدا حتی نتفانی نحن وانتم
Tarjuma:-
agr tum Huzor ﷺ ko nuqsan pohchate to mai tum me se ksi ko zinda nai chordta yaha tak ky ham or tum dono fana ho jate..
Janabe abu talib ka ye tewar or jumle sunn ky sab kuffar quresh bhage in me se sab se tez bhagne wala abu jahel tha…
Ref:- tabqat ibn saad 203
https://youtube.com/shorts/4HAgLz8M7Nc?feature=share
*26 Rajab ul Murajjab*
*Yaume Wisaal*
*Amm e Rasool Nigeh Baan e Risalat Nikah Khuwan e Mustufa Kafeel e Mustufa Mohsin e Islam Shaykh Al Batha Hazrat Syedna Imran Abu Talib (Alaihi Salam) Ibne Hazrat Syedna Sarkar Abdul Muttalib (Alaihis Salam)*
*Aapki Wiladat 29 Shawwal ul Mukarram 540 Esvi Me Makkah Sharif, Saudia Arabia Me Hui, Aapka Wisaal 26 Rajab ul Murajjab 619 Esvi Me Hua, Aap Sarkar Do Aalam Huzoor Ahmad e Mujtuba Muhammad Mustafa (Sallallahu Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam) Ke Chacha Jan, Mola e Kaynat Mola Imaam Ali (Alaihis Salam) Ke Walid e Majid, Hazrat Syedna Mola Imaam Hasan (Alaihis Salam) Hazrat Syedna Mola Imaam Hussain (Alaihis Salam) Ke Dada Jan The, Aapne Huzoor (Alaihis Salam) Ki Bachpan Se Jawani Tak Parwarish Ki, Huzoor (Alaihis Salam) Ka Syyeda Khadija tul Kubra (Salamun Aleha) Se Nikah Hazrat Abu Talib (Alaihis Salam) Ne Padhaya, Aur Mehar Apni Jeb Se Ada Kiya, Aapne Huzoor (Alaihis Salam) Ke Bachpan Se Lekar Aeylane Nabuwat Ke Bad Bhi Apne Wisaal Ke Din Tak Huzoor (Alaihis Salam) Ki Kuffar Aur Mushrikeen Se Hifazat Kari, Aur Unke Ilzamat Se Difa Kiya, Aur Fir Aesi Hifazat Ki Ke Jab Kuffar Ne Boycott Kiya To Har Raat Huzoor (Alaihis Salam) Ke Bistar Par Apne Sahabzade Mola Imaam Ali (Alaihis Salam) Ko Sulaya Taake Koi Badbkaht Hamla Kare To Unk Sahabzade Mola Ali Shaheed Ho Magar Huzoor (Alaihis Salam) Ko Koi Taklif Na Pouche, Aap Duniya Ke Sabse Bade Muhibbe Rasool Hain, Aap Duniya Ke Sabse Pehle Naat Khuwan Hain, Jab Hazrat Abu Talib (Alaihis Salam) Ka Wisaal Hua To Huzoor (Alaihis Salam) Ne Us Pure Saal Ko Gham Ka Saal Karaar Diya, Itna Dard Hua Aapko Hazrat Abu Talib (Alaihis Salam) Ki Judayi Ka, Aapka Mazar Mubarak Makkah Sharif, Saudia Arabia Me Marjai Khaliak Hain…*