
Lafz e Qul ke manne by Allama Yasin Qadri.

Aloom jahiri ki taqmil ke jamane me hi hazrat ki haalat me ek numaya tabdiili bakaay hui . baaz aukat ba judani kaifiyat tari hui . ki garadwesh ke haalat se bekhabar aur beparwah najar aate the. Kabhi kabhi hazrat gair aabad mukamat me chale jate kabhi aisa hota tha ki tamaam raat jagte aur zikr o ashgaal me raaat gujaar dete kabhi din me tanha bethe hote jese ki markaba me mahayat hazrat duniya ke mehfilo me muntashar najar aate the hazrat ki yah haalat dekhkar hazrat ke haqiqi bahnoyi hazrat haji saiyed khadim ali shah ne samajh liya ki hazrat ki tabiyat ishq haqiqi ki taraaf ma’ail hai, unhone hazrat ko apne halkaye aradaat me dakhil kiya . hazrat khadim ali shah silsila qadriya chishtiya ke ek wa kamaal darwesh the aur shah abdul azziz sahab mohaddis dehlawi ke naamoor shagird the . bait hone ke baat hazrat ke sous wa taz bhur jouk wa shouk aur ishq haqiqi me aisa numaya izafa hua ke hazrat duniya e do se door rahne lage .
Hazrat haji saiyed khadim ali shah jyada din rashdo hidayt na kar sake wa 14 safar san 1242 iswi ko jowaare rehmat me dakhil hue .
Lakhnow mohalla gola ganj me unka majaare aqdas marjare khaas wa aam hai . teesre roz fatiha soyam hui . jiske mureedin mo’attakin amaaydeen shuhar sufiyaa ekram peerane aazam aur ulma ne shirkt ki fatiha khwani ke baad yah baat jahre bahas aayi ke dastaar kiran bandi jaye abhi dastaar bandi ka masla hal nahi hua tha . ki itne me hazrat haji saiyed khadim ali shah sahab ke langar khan eke moulwi mahtemm manna jaan chandi ki ek kashti me ek daster rakh kar laaaye aur haajerin ke saamne rakhkar unse yah mukhatab hue.
Dastaar le aaya hai aap hazrat ko ikhtiyar hai ki jisko iska ahal paaye uske sir par yah dastaar baandh de, haajreen ne we itifaak ek tay kiya is dastaar ke hazrat (hazrat waris ali shah hai) chunache sabne hazrat ke sir par wah dastaar bandh is tarah se unhone hazrat ka hazrat haji saiyed khadim ali shah sahab ka ruhaani jansheen tasleem kkiya . hazrat ek muddat daraaj apne peer wa murshid hazrat khadim ali shah ki masnad rishdo wa hidayat par rounak afroz raahe haqq dikhate rahe.
Dastaar bandhne ke baad hazrat ke ham maktam ham joli kheir bachpan ke dost sheikh gulam ali urf ghasite miya ne hazrat se kaha aaj kabaab khane ka jee chaahta hai , hazrat ne kabaabi se 4 paise ke kabaab liye lekin jab kabaabi ne daam mange to hazrat ne farmaya ke hamare paas paise nahi hai , is par kababi ne kahaa agar paise tumahare paas nahi hai to kya mujayka paise ke badle koi cheej de do hazrat ne fouran wahi dastaaar kababi ko paise ke ewaj me de de