TAALIM WA TARWIYAT
Hazrat ke walid maajid aur walida majida ke intiqaal ke bad hazrat ki parwarish aur taalim wa tarwiyat ka baar hazrat ki dadi sahiba siyeda hayaat ul nisaar sahiba ne basro chashm apne jimma liya , unki yah dili khwahis thi ki jis tarah ke khandaan ke digar afraah talim e aafta hai . isi taraah se hazrat bhi Alam johri se aarasta perasta hu. Unhone hazrat ki bismillah ki takreeb khandani khayot ke mutabik nihayat tajak wa ahtimam se ki ek muallam mukarrar kiya gaya jo hazrat ko qayda bagdadi padhta tha, qayda bagdadi khathm hote hi unhone hazrat ko quran majeed padhana chaha unki khawahish thi ki wah peero murshid hazrat ameer ali shah se quran majeed padhwaye. taaki hazrat ameer ali shah ke ruhaani fuej wa barkaat hazrat ke shamil haal rahe. Hazrat ameer ali shah ne hazrat ki dadi sahiba ki dadi sahiba ki yah iltija qubool farmali , or
Zrat ko quran sharif ka daras dena shuroo kiya hazrat quran sharif padhne is shan se jate the ki badi taqti ka kalmi aur jakhmi quraan sharif sir par rakhe hue, aur dono hatho se pakde hue hote the, quraan sharif chand jujdano me gir dana hota tha, hzrat ne 2 saal ke andar quran sharif hifz kar liya .
Hazrat molwi imam ali sahib se ibtidai qutoob darsiye padhi, molwi imam ali sahib ne hazrat ki taalim me kafi dilchaspi li hazrat ko nihayat dilchaspi se padhaate the, aur jab dekhne ke hazrat ab hags ki taraf mail nahi hai. To chutti kar dete the aur farmate the ki tum thhak gaye ho jaao khelo aksar wah hazrat ko patang banakar dete the aur kabhi aisa bhi hota tha ke bajaye daras ke wah hazrat ko badshahho ke qisse sunate the . hazrat ki wah itni tajim or taqreem karte the . ki dekhne walo ko ta’azoob hota tha, ki ek ustad apne shagird ki itni izzat karte hai . garz taalim ka silsila jari tha , hazrat ki dadi sahiba ne daar faani se kouch farmaaya hazrat ki umr us waqt baaz ke nazdeek 7, 8 saal ki thi , baazo ka khayaal hai ki 10 saal ki thi, hazrat ke sar se dadi sahiba ka saya Ataafat uth jane ke bad hazrat ke haqiqi bahnoyi hazrat haji khadim ali shah ne hazrat ki parwarish aur talim tarwiyat ki jimmedari apne jimme le li . hazrat ko dewa sharif se lakhnow or lakhnow me hazrat ki talim ka silsila jari raha .
Hazrat khadim ali shah shab ne khud hazrat ko padhaya aur kuch kitabbe hazrat ne hazrat buland shah se padhi hazrat ne bahut jald ilm wa adab me muharb hasil ki aur tafseer aur hadees me kafi dil chaspi izhaar kiya chunache tafseer aur hadees aur ilm karaid me hazrat ko basdaga hasil thi. Arbi me Hazrat ne nooh auo kafiya padha hazrat arbi juban se se bakhubi wakif the hazrat faarsi juban me bila takkalluf batchit karte the . hazrat ki talim musllim 6 7 saal tak jari rakhi is kam muddat me itni talim hasil kar lena hazrat ki jahanat aur quwwate hafza ka numaya sabut hai.