Durood-o-Salaam Ke Be Shumaar Fuyooz-o-Barakaat Hain.

Durood-o-Salaam Ke Be Shumaar Fuyooz-o-Barakaat Hain Jo Durood Sharif Padne Waalo’n Ko Baargaahe Ilaahin Se Naseeb Hote Hain Jin Me Se Chand Yhe Hain :
_
01. Aaqa (صلى الله عليه وآله وسلم) Kee Baargaah Se Ta’alluq Naseeb Hota Hai.
.
02. Nisbate Muhammadi (صلى الله عليه وآله وسلم) Hoti Hai.
.
03. Kathrate Durood-o-Salaam Se Huzoore Aqdas (صلى الله عليه وآله وسلم) Kee Ziyaarat Ka Darwaaza Kholta Hai.
.
04. Kathrat Se Padha Jaane Waala Durood-o-Salaam Khud Tauba Ban Jaata Hai.
.
05. Kathrat Se Durood-o-Salaam Padhne Se Gunaah Mu’aaf Ho Jaate Hain.
.
06. Kathrat Se Durood Padhne Waala Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Kee Shafaa’at Ka Haque Daar Ban Jaata Hai.
.
07. Durood Shareef Padhne Waale Ko Aaqa ‘(صلى الله عليه وآله وسلم) Kee Tawajjo Haasil Hoti Hai.
.
08. Durood Sharif Padhne Waala Jab Tak Durood Sharif Padhta Rehta Hai, Allah Sub’haanahu Wa-Ta’ala Kee Tawajjo Bhi Us Kee Taraf Rehti Hai.
.
09. Be Shak Durood Bhejna Maut Se Pehle Bande Ko Jannat Me Jaane Kee Khush-Khabari Ka Baa’ith Banta Hai.
.
10. Durood Sharif Padhne Waale Ke Li’e Zakaat Aur Tahaarat Hai.
.
11. Tang Dast Aur Muflisi Ke Li’e Durood Bhejna Sadqa Ke Qaa’im Maqaam Hai.
.
12. Durood Sharif Bhejna Gunaaho’n Kee Maghfirat Ka Baa’ith Banta Hai.
.
13. Durood Bhejna Roze Mahshar Rasool-ul-Allah (صلى الله عليه وآله وسلم) Se Qareeb Tar Hone Ka Sabab Hai.
.
14. Be Shak Durood Bhejna Qiyaamat Kee Haulnaakiyo’n Se Najaat Ka Sabab Banta Hai.
.
15. Rasool-ul-Allah (صلى الله عليه وآله وسلم) Khud Durood-o-Salaam Bhejne Waale Ko Us Ka Jawaab Marhamat Farmaate Hain.
.
16. Durood Sharif Bhejne Kee Barakat Se Bakheeli Kee Aadat Khatm Ho Jaati Hai.
.
17. Pul Siraat Par Bande Ke Li’e Ifraate Noor Ka Sabab Durood Sharif Hai.
.
18. Be Shak Huzoor (صلى الله عليه وآله وسلم) Par Durood Bhejne Se Banda Jafa Kee Zad Se Baahar Nikal Jaata Hai.
.
19. Huzoor (صلى الله عليه وآله وسلم) Par Durooz Padhna Majaalis Kee Zeenat Ka Sabab Banta Hai.
.
20. Durood-o-Salaam Kee Majaalis Firishto’n Kee Majaalis Aur Jannat Ke Baaghaat Hain.

Reference : Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/35_37.
.
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ

Advertisement