
Maula Ali aur Quran ka Talauq.

—————————————
5 shaban YAUME WISAL
Sahabiya Hazrat Maimuna FIZZA Radiallahu anhoo
—————————————-
👉🏻aap khanwadae risalat ki kaneez thi.. apka name maimuna or tajdare madina ﷺ ne apko fizza ka laqab ataa farmae…
👉🏻tajdare madina ﷺ ne apko hazrat sayyeda fatima zahra s.a ki khidmat k liye bheje… apki khanwadae risalat se nazdikiya is qadar thi ky bachpan me imam hasan wo hussain apko kabhi apni maa or sayyeda zahra s.a apko apni bahen kah diya krti…
👉🏻tajdare madina ﷺ ne ek roz farmae aye fizza kya mangti ho mango to ap ne farmai ky ya rasool allah ﷺ muje darazie umar ki dua dijiye… ap jis karbala ki khabar dete hai us wakat bhi mai apk ahle bait k sath raho…
👉🏻122 saal ki umar me jab aap ki kamar bilkul jhuk chuki thi or aap bahot zaif ho gai thi us umar me aap karbala me ahle bait k sath rahin..
👉🏻yazeed palid lanati ky darbar me aap ne sayyeda zainab s.a ky sath shana ba shana rahi or yazid k samne uski badtamizio ka bharpur jawab diya
👉🏻yazeed palid ne kaha is budi ko girftar kr lo to habsha k sipahio ki gairat jagi un logo ne kaha ky aye yazid hamare hote hoe hamare mulk ki kaniz pe tum zulm nai kr sakte…
👉🏻wo kitna dardnak manzar ho ga jab Rasool Allah ﷺ ky nawase or ahle bait ky nawjano ky sar rakhe hoe ho or sayyeda zainab s.a ne madine ka rukh krk farmaya YA RASOOL ALLAH ﷺ HABSHA KI EK KANIZ K LIYE SEKDO SIPAHI KHADE HO GAE OR HAM MADINE KI SHAHZADIO K LIYE KOI HAZIR NA HOA…