Fazail-e-Ahle Bait Bazuban e ibn Abbas Radiallahu anhoo.

Hazrat Ibn Abbas RadiAllahu Anhu Surah Nisa Ki Aayat Number 69 ومن يطع الله والرسول فأوليك مع الذين أنعم الله عليهم من النبين والصديقين والشهداء والصلحين وحسن أوليك رفيقا “Jo Log Allah Aur Uske Rasool Ki Ita’at Karte Hein Ye Log Qayamat Mein Unke Saath Honge Jinpar Allah Ne Inam Farmaya Jo Ke Ambiya Siddiqin Shuhada Aur Saliheen Hain Aur Ye Bohot Ache Saathi Hein” Ki Tafseer Mein Farmate Hain Allah Ki Ita’at Se Murad Farz Ibada’at Hai Aur Rasool Ki Ita’at Se Murad Sunnate Rasool Hai, Aur Ambiya Mein Sab Nabi Shamil Hain Jaise Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Aur Siddiqin Se Murad Sacche Afrad Hain Jaise Sayyedna Ali Jinhone Sabse Pehle Rasoole Khuda Par Imaan Laye Aur Aapki Tazdeeq Ki Aur Shuhada Se Murad Shaheed Hain Jaise Ke Ali, Hamza, Jafar, Hasan, Hussain Alaihimussalam Aur Saliheen Se Murad Naik Hain Jaise Ke Salman, Abu Zar, Ammar,Suhayb, Khabbab Aur Hasan Rafeeqah Se Murad Jannat Mein Ek Jagah Rehne Wale Saathi Hain Jaise Ke Fatima, Ali, Hasan, Hussain Alaihimussalam Jo Ke Jannat Mein Rasoole Khuda Ke Saath Honge.

Advertisement