Hadith: Talluq is duniya..

Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihe Wa Aalahi WaSallam ne Farmaya :
Logo’n hum sab ka Talluq is duniya se Faqat itna hai Jaise ak Musafir Safar kar raha tha aur usko Raste me ak Sayadar Darakht(Tree) Mila aur usne us sayadar Darakht ke niche thodi der Aaram kiya phir wo us jagah ko chor ke aage chal basa.!

Sunan Tirmizi, kitab Az-zhad, 4/588 #2377.
Tabrani, mu’jam Al Awsat, 9/122, #9307.

SallAllaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam


Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Barik wa Sallim.

Advertisement

Rasoolullah ﷺ Ki Muhabbat Ki Ek Alamat

Imam Qastalani Bayan Karte Hein Rasoolullah ﷺ Ki Muhabbat Ki Ek Alamat Ye Hai Ke Aap ﷺ Ki Sunnat Par Amal Aur Aap ﷺ Ki Hadees Padhne Ki Chahat Ho, Beshak Jis Aadmi Ke Dil Mein Imaan Ki Chashni Dakhil Ho Jab Woh Allah Ke Kalam Mein Se Koi Kalmah Ya Koi Hadeese Rasool Sunta Hai Toh Woh Uski Ruh, Dil Aur Nafs Mein Jagzin Ho Jata Hai_

Mazid Imam Qastalani Bayan Karte Hein Allah Tumse Muhabbat Nahi Karega Magar Jab Tum Zahiri O Batini Taur Par Uske Mahbub ﷺ Ki Itteba Karo, Unki Khabar Ki Tasdiq Karo Unka Hukm Mano Unki Dawat Qubul Karo Unke Hukm Ke Muqable Mein Unke Gair Ke Hukm Se, Unki Muhabbat Mein Gair Ki Muhabbat Aur Unki Ita’at Mein Gair Ki Ita’at Ke Muqable Mein Apne Aapko Fana Kardo Agar Aisa Na Ho Toh Phir Thakawat Ikhtiyar Karne Ki Zarurat Nahi Kyunki Bagair Ita’ate Mustafa ﷺ Ke Tum Kisi Raah Par Nahi Ho.

(Al Mawahib al-Laduniyyah, Safah-491,493,499)