
SAIR WA SAHAAYAT
Quraan sharif ke sero feel arde ke huqm ke mutabik hazrat ne jindagi ka ek bada hissa sair wa sahayat me gujara hazrat sheikh sedi ne to safar kko sufiyyo ke liye laajim karaar diya hai,
Chunache farmaate :-
Wesaar safar waid tapukhta showkha me sufi nasood saafitana kasht ja me hazrat ke sath safar me koi sajo saman nahi hota tha. Ek kambal saath hota tha usi ko oudhte the aur bichate the ibteda me to koi khaadim bhi saath nahi hota tha baadi mureedin mo’atkeen ki darkhwast par hazrat safar me ek khadim ko saath rakhne lage .
Hazrat paidal safar karte the jahaaj me majburan bethe the jab hazrat bahut lagir aur kamjor ho gaye to paalki me bethkar faslaa tay karna manjoor farmaya.
Hazrat bait se mashraf hone ke baad kuch arse lakhnow me rahe . ek shakhs apne peero murshid hazrat haji khadim ali shah shahb rahmatullah ko khawab me dekha ke farmate hai . makka mo’azzma jao aur khana e qaba ki jiyarat karo.
Aur hajj ka faroja bajalao subah hui to hazrat ki haalat mustagir thi . isi halat me dewa sharif rwana hue waha pahunch kar ghar ka saman gareebo ko taqseem kar diya jaydaad apne rishtedaro aur apne dosto ko dekar alaayak duniya se paak wa saaf hue safar ki tayyari me masroof hue . har cheej se we talluk hue har ek se beniyaj hue ajeej dost aur shanaasa se begana hue safar ke jok wa shok me ham tan mahu huye.
Rabodi dil ja mahroyane aalam
Kharaam naaj chu tar kana kar di.
Bagair kisi jahir asbab ke papyadaah rawana hue 11 rabiul sani sann 1273 iswi mutabik sann 1535 iswi ko hazrat dewa sharif se rawana hue . lakhnow pahunch kar apne peearo murshid hazrat khadim ali shah sahab ke majarre anwaar par hajir hue lakhnow me apni ham sheera aur mureedin wa mu’atkdeen ko khuda hafiz kaha aur Kanpur ki taraf rawana hue menpuri hote hue shikohabad me raonak afroz hue . shikohabad me hazrat Firozabad pahunche aur waha rashdo himayat me kuch din masroof rahe . fir aagra ko jeenat bakhshi waha gulaab shah shahab ki astada par unko halkaye araadat me shamil kiya aur unko yah sharaf bhi bakhsha ke hazrat ne unke makaan me qayaam farmaya qayaam ke douran me hazrat ne ek din farmaya ki
Laao patang udaye us waqt patang aur dour ka intijaam kiya gaya chuke hazrat ne baad asar farmaya tha. Isliye intijam hote hote raat ho gayi lekin hazrat ne rat me hi patang udaayi patang udate udate hazrat mukaraaye aur faarmaya wah bhi ulajh gaye isi waqt altaaf apne maamu ke hmra hajir khidmat hue . aur hazrat ko patang udate dekhkar itne mutasir hue ke wa sakhta kadmo par gir gaye aur halkaa iraadat dakhil hue .
Hazrat aagra se fatehpur sikri tashrif le gye . aur fatehpur sikri se hardaadal me pahunchkar mukhtasar qayyam farmaya.
Whaa bahut se log aapke ruhaani fiyuj se mustafid hue . harhaadal se hazrat jaipur pahunche waha bahut se log hazrat ki qadam bosi ke lliye hajir hue .
Hazrat ke jaipur ke qayaam me bahut log aapke halk iradat me dakhil hue bahut se log aapke motakd wa mankaad hue . bahut se khudaparast hue , aur bahut se duniya se kinara kash hue.
Hazrat jab jaipur me muqim hue to ek din hazrat ki kadam bosi ke lliye jaipur ka raja aur raani hazrat ki khidamat me hajir hue . raja aur rani dilo jaan se hazrat ki moa’tkaad wa munkaad hue raja ne basad aaj ji hazrat se arz kiya ki usko koi nasihat farmaye hazrat ne raja ko nasihat ki.
Adal wa insaf kiyo karo fir farmaya .
Aur paththar ko na pujna aur jhatke ka gousht na khana.
Itna farmaya ke hazrat khamosh ho gaye rani ne mouke paakar hazrat se arz kiya ki mujhe bhi kuch hidayat farmaye.
Hazrat ne rani se mukhatib hokar farmaya ….
Tum khuda ko muhabbat ke sath hamesha yaad kiya karo jaipur ke logo ne hazrat ki jaipur me tashreef aawari ki yaadgaar me ek musafir khana bnana tay kiya . ek hindu ne hazrat se arz kiya ki hazrat ke qadam bosi ke shukriaya me yah ahad kiya ki jab tak jinda hu har saal ek naadr shakhs ko hajj karane bhejja karunga.
Aur uski ahlo wa ayaal ke khurddo nosh ka intijam bhi kiya karoge . jab tak wah shakhs hajjbait Allah se wapas na aaye hazrat ne yah sunkaar muskaraye aur fir farmaya…..
“tum ghar bethe haji hona chahte ho”
Hazrat ne jaipur ke logo ko rukhsat kiya . we nafse nafse kishan gadh pahunche . mukhtasar qayaam ke baad hazrat ajmer sharif rawana hue ajmer sharif me sultane hind khwaja e khwaja gaan hazrat khwaja muinuddin chisti sanjari reehmtullahi alaihi ke ruhani fyuj wa barkaat se malamaal se mustafid aur mustafiz hue.
Ajmer sharif ke qayaam ke dauraan ka waqiya hai . ek din majaar aqdas ki jiyarat karke jhalara ke kinaare tashreef rakhte ke darwesh hazrat ko dekhte hi aage badhe . aur kadam bous hue . unki aankho me aansu the . kuch arz karna chahte the . ki hazrat muskrune lage ,,,aur fir un darwesh se mu’anka karke farmaya…
Bas isi ke waste roya karte the..
Un darwesh ne jo yah suna to un par wa judai kaifiyat tari ho gayi . isi haalat me kahaa ude
“Data mera kam ho gaya”
Hazrat ajmer se nagour tashreef le gaye . nagour me bahut se log halkaa araadat me shamil huae. Hazrat jahaaj ki rawangi se kuch Mumbai me mureedin ne is khayaal se ki hazrat ko safar me koi taqleef na ho yeh tay kiya ki hazrat ke sath 2 4 khadim jaye . taaki sahuliyat pahunche . hazrat ko jab yeh maloom hua to apne mureedin wa mo’atkdeen ke is khyaal se iltfaak na farmaya.
Hazrat ki nagaah jahira asbab par na thi . hazrat ka bharosa khudaye buzurg wa barter par tha. Jisne Allah par bharosa kiya . Allah uske liye kafi hai.
Chunache hazrat tanetanaaa jahaaj par sawaar hue . aur jahaj ke ek goshe me mukeem hue aur ibadat me mashgool hue jahaaj par hazrat ka yeh tarika tha ki som wa saal rakhte the.
Som wa saal teesre din aftaar kiya jata hai . jahaaj paar bahut se logo ko aap se aqeedat paida hui wah log hazrat ke garweeda shaifta aur farefta hue.
Jahaaj jab jadda pahuncha to kuch log to oonto par sawaar hokar makka mo’azzma rawana hue . lekin hazrat papayda aur tanetnha makka mo’azzma rawana hue . raasta dushwar tha. Khatre se khali na tha . lekin hazrat ne in baato ki mutlak par hazrat farmate hai.
“Raste me kisi wado ne hame nahi sataaya”
Jab hazrat makka mo’azzma pahunche to Abdullah hasan makki ke yaha qyaam farmaya dusre din yaani yakam ramjanul Mubarak ko khana e qaba ke tawaaf ki gaz se ja rahe the,. Ki hazrat ne dekha ke ek buzurg haram ke paas khade hai..
Unke khade hone ke andaz kuch is trah tha ki maloom hota tha ki kisi ka intijaar kar rahe ho, hazrat ko dekhte hi wah buzurg aage badha … musafa kiya fir kaha
“Aane me bahut der ki…”
Itna kahkar jaane sheerin jaan aafreen ke supurd ki makka mo’azzma me hazrat ka yah tareeka tha ki rojana aftaar se kewal haram sharif me dakhil hote hi wahi aftaar karte jo kuch mil jaata is par iktafa karte tarawi padte tarrawi se farig hokar kuch der baithe rahte hai jab log jate hai aur khaas khaas log haram me rah jate us waqt hazrat muqaam e ibrahim pahunche waha khade hokar nifl padhte aur 2 raqa’at me pura quran sharif me misrilahje me khatm karate aur subah ki namaj padhakr aaye muqaam par wapaas aate aur thoda aaaram karke tarikhi muqaamat ko dekhne aur muqamat muqaddas ki jiyarat karne tashreef le jate . hazrat 3 mahine aur kuch din makka mo’azzma me qayam farmakar madina munawwara rawana hue.
Hazrat ne yeh safaar paidal tay kiya madeena munawwara pahunch kar diyaar habeeb me aap par aisi kaifiyat tari hui ki aaap jouk wa shouk ki haalat me ajhad rafta the. Sarware aalam sallALLAHU alahi wasallam ke fouje barkaat se mustafij hue aur 3 mahine madina munawwara me qayaam karke hazrat najaf pahunche .
Waha moula e qaynaat imam auliya hazrat ali karamAllahu wajahul kareem ke altaf we paya se mustafij hue moula e qaynaat ke fuej barkaat wa tasdfaat se hazrat ne asiye tarike par bah neymat paayi johdood se baal hai .
Najaf asharaf se hazrat karbala e mo’alla pahunche aur waha imam ali maqaam hazrat imam hussain alaihissalam ke aastane aqdas par srniyaj rakhkar karam ke sawastgaay hue waha se hzrat ko sabro shakr aur raza wa taslim ka tohfa ataa hua.
Karbala mo’alla se hazrat kajemin aur saamrah me mukhtasir kayaam farmate hue bagdad sharif pahunche aur gouse aazam peerane peer mira muhiuddin hazrat shiakh abdul qadir jilani ke majaar par jiyart sse mashraf hue raat ko masjid me ibadat me mashgal rahte the bagdad me kuch din qayaam farmakar hazrat hajj ke liye rawana hue makka , mo’azzma pahunchkar hajj kiya 2 shaban ko hua yah hajj hajjnabi kahlata hai.
Fir madina munawwara hajir hue aur baitul muqaddas me ambiya ke majaarat ki jiyarat karke afreeka tashreef le gaye hajjj ke jamane ka kareeb aaya to hazrat makka mo’azzama pahunche aur hajj karne ke bad madina munawwara me hajir hue fir madina munawwara se hazrat shaam aur halab tashreef le gaye .
Is safar me hazrat ne 3 hajj kiye baaz ka kahna hai. Aapne 4 hajj kiye.
4 martaba madina munawwra hajir hue aur fir watan is tarah wapis aaye ki Mumbai pahunch kar seedhe dewa sharif tashreef laaye balki indore Ujjain tonk ajmer sharif aur dehlli hote hue sann 1257 iswi me lakhnow me ronak afroz hue lakhnow ke kareeb ek hafta qayaam farmaya bad azaa hazrat ne ye tay farmaya ki khushki ke raste safar kiya jaye hijaj jane ka irada karke hazrat lakhnow pahunche aur apne peero murshid haji khadim ali shah shab rehmatullahi alaihi ke majaar par hajir hue 12 rabbi us sani sann 1257 hijri ko hazrat ne katai tour par yah tay kar liya ki baajaye jahaj me safar karke khusko ke raste se paidal hijaat ke muqaddis sarjami pahunchege.
Chunache kaabul aur kandhaar hote hue hazrat madina munawwara pahunche aur sarware aalam SALLALLAHU ALAHI WASSALLM ke aastane aaliya par basad ijjo niyaj adab wa ahtiraam se hajir hue fir makka mo’azzma pahunch kar hajjj kiya makka mo’azzma se kustu natuniya gye aur waha kuch din qayaam farmaya kustun tutiya ke qayaam ke dauran sultanul majid se aapki mulakat hui sultanul majeed ne hazrat se manjil sultani me qayaam farmane ki darkhwast ki sultan ke israar par hazrat raji ho gaye.
Hajj ka jamana jab kareeb aaya to hazrat kustuniya se rawana hue aur makka mo’azzma pahunchkar aur arkaane hajjj bajaa laaye . makka moa’zzma se hazrat 1252 hijri me aur baaz ka khyaal hai ki sann 1260 hijri me hazrat lakhhnow wapis tashreef laaye . lakhnow me mukhtasir qayaam ke baad hazrat dewa sharif me ronak afroz hue hazrat ne dewa sharif me kuch arse qayaam farmane ke bad fir rukhsat safar banda baaz ka kahna hai ki Mumbai se jahaaj par sawaar hokar wakiya safar tay kiya madina munwwara pahunche aur fir yakum jila hijj sann 1260 hijri mutabik sann 1774 iswi ko makka mo’azzama pahunche hajjj ke arkaan bajaa laye aur yaha se iraan tashreef le gaye .
Is safar ke muta’allik yah kaha jata hai ki hazrat iraan se roos pahunche aur jarmani tashreef le gaye .
Hazrat ne misr aur baitul muqaddas ke sero siyahat ke iske bad makka mo’azzama pahunch kar hajjj kiya isse qabl hazrat ne chand roj madina munwwara me qayaam kiya tha hajj se farig hone ke bad hazrat beemar ho gaye aur makka mo’azzma me hi hazrat bimari ke ayyam gujare baad azaa adaj aur yaman tashreef le gaye aur ramjanul Mubarak me makka mo’’azzma pahunche aur ramjan ka mahina wahi gujara aakhiri jillhijj me makka mo’azzma se rawana hue madina munawwara pahunch kar 2 hafte waha qayaam kiya , waha se rawaana hokar Mumbai pahunche Mumbai me mukhtasar qayaam farmaya Mumbai se darbar khawaja e khwaj gaan hazrat khwaja muinuddin hasan chisti sanjari rehmatullahi alaihi ke darbar me hajir hue . ajmer sharif se sann 1236 hijri mutabik sann 1472 iswi me dewa sharif pahunchkar dewa sharif ko rashdo hidayat ke markaj banaya kuch din dewa sharif qayaam farmane ke bad hazrat ne fir safar kiya hazrat ke gulamo ko jab yah maloom hua to unhone hazrat ke khidmat me arz kiya…..” “huzoor ke gulam ab mufarkat ki taab nahi la sakte agar huzoor door daraj ka safar karenge to ham sab may ahlo ayyal ke huzoor ke hamrah chalenge huzoor se istedaa’a hai ki huzoor Hindustan ke bahar ab kahi na aaye agar huzoor saffar hi kare to Hindustan me kare hazrat ne darkhwaast manjoor farmayi fir un logo ne hazrat se arz kiya huzooor se yah darkhwast hai ki huzoor safro hijar me apne sath khadim rakhe . daaim alishah huzoor ke purane khadim hai . huzoor inke khadim khaaas jalilul qadr ho dah se sarfaraaz farmaye …
Hazrat ne ajj rahe shafkat yah darkhwast bhi manjoor farmayi is jamane me hazrat jyada tar udah me hi safar karte the.
3 din se jyada hazrat kahi qayaam nahi farmate hazrat ne is shaam se sosiyahat farmayi ke sajo saman aur intijam safar se hi hazrat ne beparwahi be intihai aur be miyaji hi nahi barti balki asbaab se bhi yaksar beparwahi barti alaa asbab se beparwahi bartana tark katai ki manjil tay karna hai hazrat ne jahaa safar ki manjil tay ki wha muqamat bhi tay kiye aur taraf katai ki manjil tay karke yah sabit kar diya ki amar sabab par kali aitkaad aur bharosa hai. To asbaab bem’aan aur bekaar hai.
Hazrat ke sajo saman me hazrat ke sath safar me ek siya kambal kanga aur sur me dani hoti thi hazrat aksar farmaya karte the. “Ham musafir hai”
Hazrat apna waar kisi par nahi daalte the mahal aur jhopdi dono aap ki nigaah me ekssaa thi . hazrat ki yah sakht taakid thi ki mejbaan se kisi chij ke farmaish na ki jaye . hazrat ne safar ki soubat khandaah peshani se bardast ki aur aaraam ke khyaal ko ya
Khouf ya hiraal ko paas na aane diya.