WILADAT KI PESHNGOI
Hazrat ki wiladat se qabl hazrat ki wiladat ki basharat hui thi. Ek din ka wakiya hai ki hazrat ke jadde amjad hazrat meeran saiyed ahmed talab ke kinare bethe hue the. Aapke chand moutakid bhi hazire khidmat the itne me ek darwesh waha pahunche hazrat meera ne saiyed ahmed ko dekhkar wah darwesh unke kareeb aaye. Aur aakar unko ye murshada sunaya . “asslam aleka wala kallji fi sulweka inallah tabarkallah wa ta’ala kadnoon simakum we noor hi ashraful aarad wejurehi fatuwya lakum ya saiyedi hazrat meeran saiyed ye sunkar us darwesh se farmaya ki haa me bhi dekhta hu duniya ke chaman me uski khushbu felli hui hai . aur uske husn wa Jamaal ki mehtaba ki tarah roshan hai.. haazreen yeh na samajh sake ki yeh guftgu kis kis bare me hui. Unke istefasaar par hazrat meeran saiyed ahmed ne unko btaya ki khushi ki baat hai . Allah ta’ala ne unko ek farjand ataa farmaya hai.. jo meri 5 wi pusht me paida hoga. Unkaa naam Allah ta’ala ke 99 naamo me se ek naam hoga Unka naam aadad 707 honge . wah chashmaye faiz hoga . unki roshni aalam me felegi . is roshni me chalkar bahut log faizyab honge . aur uska saalik ishq hoga . aur wah razaye wa tasleem ka mujassma hoga , aur ishq ilahi ke ramaj se waqif hoga , aur bargaji deeda baragaye samdiyat hoga.