
Aaqa ki Shafa’at Gunahgaro ke liye hogi. Hazrat Abu Moosa Ash’ari RadiAllahu Anhu se riwayat hai ki Nabi e Akram SallAllahu Aalihi wa Alaihi wa Sallam ne farmaya Mujhe ye ikhtiyar diya gaya ki khuah Mai qayamat ke Roz Shafa’at ko chun lun ya Meri aadhi ummat ko (bila hisab o kitab) Jannat me dakhil kar diya jaye to Maine is mein se Shafa’at ko ikhtiyar kiya hai. kyun ki woh aam aur (poori ummat ke liye) kafi hogi aur tum shayad ye khyaal karo ki woh Parhezgaron ke liye hogi? Nahi! balki woh (Meri Shafaat) bahut zyadah Gunahgaron, khatakaron aur buraiyon mein Mubtila hone walon ke liye hogi. Sunan Ibn e Maaja – 4311, Musnad Ahmad bin Hanbal – 5452