Hazrat Khadija سلام اللہ علیہا

Hazrat Khadijah (R.A) was born in Makkah in the tribe of Qureysh in 556 A.D. She belonged to a family named Banu Asad. Her mother`s name was Fatimah bint Zayd, and his father, Khuwaylid bin Asad was a well off businessman and a renowned leader of the clan. She has got the highest status in the religion of Islam for being the foremost Spouse of the Holy Prophet, Hazrat Muhammad ﷺ. She was regarded as one of the four greatest females among the whole creation. Abdullah bin Abbas (R.A) once narrated the Messenger (PBUH) of God saying as:

“Of all the women in Paradise, the most noble are Hazrat Khadijah bint Khuwaylid (R.A), Hazrat Fatimah tul-Zohra bint (R.A) Muhammad (PBUH), Hazrat Maryam bint Imran (A.S), and Hazrat Asiya (wife of Pharoah).” (Ahmad)

Before marrying Rasulullah ﷺ, she was first wedded to Abu Halah Malak bin Nabash and had two children between them, Halah and Hind. Unfortunately; he passed away after a few years. She was known for good character and was commonly known as the Pure and Chaste One among the Qureyshi people. After some time, she married to Atique bin Aith having a daughter named Hindah, but soon both got separated. While she used to run her trade, she noticed the dignified personality of the Holy Prophet ﷺ and soon married to him. She helped the Apostle (PBUH) of the Almighty throughout her life, and attained the great rank near Allah SWT.

Some of the most important instances from her lifetime are as follows:

Carrying Out Trade

Hazrat Khadijah (R.A) was a brave woman. She continued the tradition of doing business in her family by herself alone. She would employ the most honorable people to carry out her trade. She would send her stuff to far off places like Syria to sell them, and buy goods from there in order to sell them in Makkah.

Coming To Know About Muhammad ﷺ And Marrying Him

She had heard about the noblest qualities like truthfulness, honesty and integrity of Hazrat Muhammad ﷺ from other people. She sent Him a job offer which He readily accepted. So, ﷺ  was sent on the very first on the very first commerce tour to Syria right away, accompanied by the servant of Hazrat Khadijah (R.A), Maysarah, who was quite impressed from ﷺ immaculate ways of business dealings. On the way back, when Rasulullah ﷺ sat under a certain tree for taking rest, a Jewish priest had recognized His special stature. When he enquired the slave about Muhammad ﷺ, he was told about His great Character. Thereby, the monk had acknowledged Him as the Last Spiritualist by adding that only the previous Prophets used to rest under this tree.

When her slave told Hazrat Khadijah (R.A) about the whole incident, she was greatly impressed and thought about marrying ﷺ soon. One night, she saw a dream with a bright light descending from the heavens lightening her home. When she told her cousin, Waqarah bin Nawfal (a well known dream teller and an expert in previous Sacred Scriptures) about this, he congratulated her and told her about a blissful life ahead under the company of the Last Prophet ﷺ. Her desire to wed ﷺ increased more as she gained the peace of her mind. In the end, her close friend, Nafisah bint Manbah told Hazrat Muhammad ﷺ about a probable marriage proposal. The Holy Prophet ﷺ said if she is ready to marry Him, then He has no objection to it. Hence, both Hazrat Muhammad ﷺ and Hazrat Khadija (R.A) got married by mutual consent at the ages of 25 and 40 respectively. The Prophet ﷺ did not marry any other woman as long as she (R.A) remained alive. They lived together for 25 years, having 6 children (2 sons and 4 daughters) between them, known as Qasim, Abdullah, Zaynab, Ruqayyah, Umm Kulthum and Fatimah s.a. Both of their sons died at young ages. She remained an appropriate companion, trusted counselor and helper to the Holy Prophet ﷺ and even participated alongside Him in spreading of Islam.

Acceptance of Islam Right From First Revelation

When Rasulullah ﷺ reached the age of 40, He would spend most of His time in the cave of Hira, in order to search for the true Creator of the Universe. One day, He received the very first Quranic revelation from Allah SWT. An angel, Jibrael (A.S) came to Him, and taught Him these lines:

“Recite in the name of your Lord who created – Created man from a clinging substance. Recite and your Lord is the most Generous – Who taught by the pen – Taught man that which he knew not.” [Quran, 96: 1-5]

Note – If you want to learn to recite the Holy Quran, register with Quran Reading Academy now and start attending online classes.

After that, Hazrat Muhammad ﷺ came straight to home, asked Hazrat Khadijah (R.A) to cover Him up with a blanked as He shivered and was frightened. She (R.A) comforted Him and said she believed in every word ﷺ has said and that she believed in His Prophet Hood. Thus, she (R.A) became the first ever person to embrace Islam.

Financial and Spiritual Support To The Prophet ﷺ

As message of the Religion of Peace started spreading openly, and with the arrival of many new entrants to Islam, the non believers who were firm on their wrongful beliefs about many gods, opposed Muslims directly. They applied strict economic as well as relational sanctions against them, so Abu Taalib a.s, the uncle of Rasulullah ﷺ , took them away from Makkans` oppressions in a nearby valley. There, Hazrat Khatijah (R.A) supported them financially with an open heart and spent generously and also bore the hardships herself along with them. She also backed the Holy Prophet ﷺ monetarily and never reminded Him of her past favors.

Apart from fiscal support, Hazrat Muhammad ﷺ also got the spiritual backing from “the Mother of all the Faithful Ones”. She never let Him down despite all the opposition from disbelievers, and was always boosting His confidence in carrying out the process of Dawah (invitation towards Islam) to people. In short, she (R.A) all her life in the service of Islam by helping the Muslims in strict times, and standing by the Prophet`s ﷺ side at every moment.

The Great Standing of Hazrat Khadija (R.A)

The prominence of Ummul Momineen, Hazrat Khatija (R.A) is reflected by the fact that the Holy Prophet ﷺ did not marry any other woman as long as she was alive. Regarding her huge honor, Abu Hurairah (R.A) narrated the Apostle ﷺ of God saying as:

“Jibreel came to the Prophet ﷺ and said: ‘Here is Khadijah coming to you with a bowl of condiment or food or drink. When she comes to you, convey to her the greeting of peace from her Lord and from me, and give her the tiding of a house in Paradise built of Qasab wherein there will be neither any noise nor any fatigue (trouble)” (Bukhari and Muslim)

Hence, she was given the grand news of being awarded the best place in Jannah (paradise) while living on earth. The Messenger ﷺ of Allah was so much pleased with and missed her after she died that He ﷺ used to send gifts and meat of slaughtered animals to her loved ones in order to honor her. He was also observed very sad after losing her as she cared for Him throughout her life.

To sum up, Hazrat Khadija (R.A) was truly “A Mother of the Believers”, who did not only accepted the Message of Wisdom immediately but also was a true companion of Hazrat Muhammad ﷺ on every occasion. She was kind hearted and a noble lady who sacrificed all her wealth and time in the rightful service of Islam.

IMG-20190811-WA0025

Ummul Mo’mineen Hazrate Khadeejatul Kubra radiy-Allāhu ta’ala anha :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Aap ki wilaadat 555 A.D. me hui.

Aap ke waalid ka naam Khuwailid ibn Asad aur waalida ka naam Faatimah bint Za’idah hai.

Aap ke waalid Banu Quraish se ta’alluq rakhte hain.

Aap ne bachpan se hi kabhi but parasti nahi ki.

575 A.D. me aap ki waalida ka inteqaal hua.

****************
Aap ka pehla Nikaah Abu Haalah Malik bin Nabash al-Tameemi ke saath hua jis se aap ko 2 bete hue : Haalah aur Hind; aur us ke baad dusra nikaah Ateeq bin Ais bin Abdullāh al-Makhzumi ke saath hua jis se aap ko 2 aulaade hui : 1 beta Abdullāh aur 1 beti Hind.

****************
585 A.D. me Aap ke waalid ke inteqaal ke baad aap ne apne waalid ka kaarobaar samhala.

Aap Quraish ki ba-wqaar aur mumtaaz khaatoon thi.
Aap ki sharaafat aur paak daamani ki wajah se Ahle Quraish aap ko ‘Taahira’ ke laqab se pukaarte the.

Aap bahot sakhi thi. Aur ghareebo aur mohtaajo ko aur rishtedaaro ko madad karti thi.

Ek baar Aap ne apne makaan ke baala-khaane par se dekha ke Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam guzar rahe the aur Huzoor ke sar par ek baadal saaya kar raha tha aur un ke saath chal raha tha.

Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ko apni sachai aur amaanatdaari se ‘Saadiq’ aur ‘Ameen’ ke alqaab mile the.

Aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko apni bakriyo ki nigraani ke liye rakha. Aap ne dekha ke bakriyo me barkat hone lagi aur wo doodh bhi zyada dene lagi.

Phir Hazrate Khadeeja ne tijaarat ke liye Shaam ki taraf ek qaafila bheja to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko us qaafile ke zimmedaar aur mukhtaar banaqkar bheja. Aap ne apne khaadim Maysarah ko aap ke saath rehne ke liye kaha.
Jab qaafila Makka waapis aaya to Maysarah ne aap ko dauraan e safar ki chand khaas baaten bataai. Us ne bataaya ke ‘Safar ke dauraan aap ke upar ek baadal saaya karta tha jo har waqt aap ke saath rehta tha.
Aur ek maqaam par ek girija ke Paadri Nestora ne Maysarah ko bulakar puchha ke ‘Us darakht ke neeche jo shakhs baitha hai wo kaun hai?’ Maysarah ne bataaya ke ‘Wo hamara saathi Muhammad ibn Abdullāh hai. Magar aap us ke baare me kyun puchh rahe hain?’ To us ne kaha ‘Is darakht ke neeche Hazrate Eisā alaihis salaam baitha karte the. Un ke baad aaj tak koi shakhs is darakht ke neeche baitha nahi hai. Aaj taweel arse ke baad is shakhs ko maine is darakht ke neeche baitha hua dekha hai. Mumkin hai ke ye nabi ho.’ Nestora ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki ta’azeem wa takreem ki.
Phir ek maqaam par ek darakht ke neeche qaafile ne wuqoof kiya to waha paani na hone ki wajah se kaafile ko pareshaani hui to Maysarah ne aap ko arz kiya. Aap ne dua ki to ghaib se aawaaz aai ke thoda door chaah khodo. Aap ne waisa hi kiya to paani nikla jo saaf aur meetha tha.
Phir aage safar me raaste me kai beemaar oont pade hue mile jin ke badan me keede pad gaye the. Aap ko raham aaya aur aap ne apna daste mubarak un phera to wo sahi tandurast ho gaye.
Phir mulk e Shaam pahunchkar tijaarat ka maal bechkar bahot munaafa haasil kiya aur waha se maal kharidkar Makka waapas pahunche aur munaafa e tijaarat Hazrate Khadeeja ko diya.

Ye sab baaten sunkar Hazrate Khadeeja bahot khush hui.

******************
Aap bahot nek aur paarsa aurat thi.
Aap ke Husn o Jamaal aur Aql o kamaal aur maal ki wajah se Quraish ke bade bade sardaar aap se nikaah karna chaahte the. Magar aap ne inkaar kiya.

Ek baar Aap ne khwaab me dekha ke aasmaan se sooraj neeche utarkar aaya hai aur un ka ghar roshan ho gaya hai. Aap ne ye sab apne chachazaad bhai Waraqa bin Nawfal ko bataaya to unho ne kaha ke ‘Ye bahot achha khwaab hai aur ye is baat ki nishaani hai ke ek aisa shakhs tumhari zindagi me aane waala hai jis ke noor se tumhari zindagi roshan hogi.’

Is ke baad aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki phuphi Safiya (jo Aap ke bhai Awwaam bin Khuwailid ki biwi thi) se Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke Husn e akhlaaq aur kirdaar ke baare me majeed ma’aloomaat haasil ki.

Phir Aap ne apni saheli Nafisa binte Umayya ke saath Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko nikaah ke liye paigaam bheja.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Abu Taalib se aur khaandaan ke dusre buzurgo se mashwara kiya.

595 A.D. me Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam 4 miskaal sona maher ke ewaz me Aap se nikaah kiya. Khutba e Nikaah Abu Taalib bin Abdul Muttalib ne padha. Hazrate Khadeeja ki taraf se aap ke chacha Amr ibn Asad ‘Wali’ bane.
Is nikaah ke mauqe par Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ki taraf se aap ke chacha Hazarte Hamza, Abbaas aur Abu Taalib, aap ke dost Hazrate Haleema Saadia aur Hazrate Khadeeja ki taraf se aap ke chacha Amr ibn Asad, aap ke bhai Amr bin Khuwailid, Waraqah ibn Nawfil, bhatije Hakeem ibn Hizaam aur chand aurten saamil hue.
Us waqt Aap ki umr 40 saal aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki umr 25 saal thi.

*******************
Aap Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ki pehli Zauja e mohtarama hain.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam aap se bahot mohabbat karte the.
Aap ki hayaat me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne kisi dusri aurat se nikaah nahi kiya.

*******************
Aap ne apni tamaam milkiyat Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko de di. Aur un ki marzi ke mutaabiq maal ko khairaat karte rahe.

Ek martaba Hazrate Haleema Saadia radiy-Allāhu anha Makka shareef tashreef laai aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me haazir hokar qahetsaali aur maveshiyo ke halaak hone ki shikaayat ki.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Khadeeja radiy-Allāhu anha ko ye baat bataai to Aap ne Hazrate Haleema Saadia ko 40 bakriya aur ek oont batore hadiya pesh kiye.

*******************
610 A.D. me jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko Ghaar e Hira me ibaadat e ilāhi me masroof the tab Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne hukm e ilāhi se Wahi lekar waha tashreef laaye aur aap ko padhne ke liye farmaaya aur jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke ‘Main padhna nahi jaanta.’ Tab Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne un ko pakadkar apne seene se lagaakar dabaaya tab aap ko paseena hone laga. Phir Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne aap ko Surah al-Alaq ki 5 aayaten sikhaai.
Surah al-Alaq, Aayat 1 se 5 :
‘Apne Rab ke naam se padho jis ne (har cheez ko) paida farmaaya. Us ne insaan ko (shikame maadar me) junk kitarah moallaq wajood se paida farmaaya. Padho aur aap ka Rab bada hi kareem hai. Jis ne qalam ke zariye ilm sikhaaya. Jis ne insaan ko wo sikha diya jo wo nahi jaanta tha.’

Is ke baad jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam kaanpte hue apne ghar tashreef laaye aur Hazrate Khadeeja ko lihaaf (chaadar) odhaane ke liye kaha.
Phir jab Aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se tamaam ahwaal suna to aap ne tasalli di ke ‘Aap Rab ta’ala ke nek bande hai. ALLĀH aap ki hifaazat farmaega.’
Phir Aap ne apne chachazaad bhai Waraqah bin Nawfil ko tamaam baaten batai. Waraqah bin Nawfil Taurāt aur Injeel ke aalim the. Unho ne bataaya ke ‘Ye wo hi farishta hai jo Hazrate Moosā alaihis salaam ke paas aaya tha. Kaash main Hazrate Mohammad sallallāhu alaihi wa sallam ki nabuwwat ka zamaana paata to un par eimaan laata.’
Is ke chand roz baad Waraqah bin Nawfil ka inteqaal hua.

Is ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam jab chaadar odhkar baithe the tab Hazrate Jibr’eel alaihis salaam phir se wahi lekar aaye.
Surah al-Muddassir, Aayat 1 se 3 :
‘Aye chaadar odhne waale (nabi). Utho aur (logo ko ALLĀH ka) dar sunaao. Aur apne Rab ki badaai (aur azamat) bayaan farmao.’

Is ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne posheeda taur par logo ko Islaam ki daawat dena shuru kiya.

Aap ne (aurto me) sab se pehle Islaam apnaaya. Aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath namaaz padhna aur ibaadat karna shuru kiya.

Ahle Makka ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko takleef dena shuru kiya tab Aap har haal me saath rahe aur hosla dete rahe.

*******************
Ek martaba Hazrate Khadeejatul Kubra radiy-Allāhu ta’ala anha ne Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam se arz ki ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Jab Hazrate Jibr’eel alaihis salaam Aap ki khidmat me haazir ho to mujhe bhi dikhaiyega.’
Chunaanche Jab Jibr’eel alaihis salaam aaye to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Khadeeja! Ye Jibr’eel hain, idhar aaiye aur mere daanyi raan ke qareeb baith kar dekh lijiye.’
Aap ne waisa hi kiya. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne daryaaft farmaya ‘Kya tum Jibr’eel ko dekh rahi ho?’Arz kiya ‘Haan, Maine dekha.’ Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Ab baanyi taraf aakar dekho.’ Aap ne kaha ‘Maine dekha.’ Phir saamne ki taraf se dikhaaya. Aap ne kaha ‘Maine dekh liya.’
Phir Aap ne farmaaya ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Waaqai ye Jibr’eel hain, Shaitaan aisi soorat ikhtiyaar nahi kar sakta.’

Ek martaba Hazrate Jibr’eel alaihis salaam baargahe Risaalat ma’ab sallallāhu alaihi wa sallam me haazir hue aur arz kiya ‘ALLĀH ta’ala ne Hazrate Khadeejatul Kubra ko salaam bheja hai. Lihaaza main salaam pahunchane ke liye Sidratul muntaha se aap ki baargaah me aaya hu.’
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke waseele se Hazrate Jibr’eel alaihis salaam Aap ki khidmat me salaam pesh kiya karte aur Aap jawaaban farmaati ‘ALLĀH ta’ala Salaam hai aur ye salaam usi ki taraf se hai, Meri taraf se bhi Jibr’eel ko salaam ho.’

*******************
Shab e Me’araaj me jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Jannat ki sair farma rahe thee to us me ek azeem-tareen mahel dekha jo hadde nazar tak wasee o kushada tha, Us me aisi ashya rakhi hui thi jo na kisi aankh ne dekhi na kisi kaano ne suni aur na hi koi insaan apne dil me un ka tasawwur bhi kar sakta hai.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne daryaaft farmaaya ‘Ye kis ka mahel Hai?’ Aawaaz aai ‘Hazrate Khdeejatul Kubra ka.’ Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Unhe hadiya e tareek pesh karta hu ke ALLĀH ta’ala ne maal e dunya (ko khairaat karne) ke badle Jannat me kitna bada mahel ataa farmaaya.’

***************
Aap ke baare me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai
‘(Jis tarah) Apne zamaane ki behtareen aurat Maryam hain aur apne zamaane ki behtareen aurat Khadeeja hain.’

***************
Aap ke 2 saahabzaade aur 4 saahabzaadiya hain.

Saahabzaade :
(1) Qaasim, (2) Abdullāh.

Saahabzaadiya :
(1) Zainab, (2) Ruqayya, (3) Umm Kulṡoom, (4) Faatima Zahra.

♦ Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se nikaah ke baad Aap ke bete Hind bin Abi Haalah aur beti Hind binte Ateeq bhi Aap ke saath Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke ghar me rahe.
Hazrate Hind bin Abi Haalah radiy-Allāhu ta’ala anhu mash’hoor sahaabi e Rasool me se hain.

♦ In ke ilaawa Aap ke ghar me 2 dusre bacho ki bhi parwarish hui : Hazrate Ali ibn Abu Taalib aur Hazrate Zaid ibn Haariṡa.

**************
Aap ka wisaal 10 Ramazaan 10 Nabawi (619 A.D.) ko 65 saal ki umr me hua.

Aap ka mazaar Jannatul Mualla, Makka mukarrama hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Ummul Mo’mineen Hazrate Khadeejatul Kubra radiy-Allāhu ta’ala anha aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

WhatsApp Image 2019-05-16 at 12.53.04 PM

Today the #10th of #Ramadan marks the death Anniversary Umm’ul Momineen, the first to accept Islam, the first wife of the Prophet, Makhdooma’ay Ka’inaat, the most beloved wife of Rasoolullah, the Mother of Sayyida Fatimah, the Great Grandmother of Sa’daat, the Grandmother of Hasan and Husayn, Hazrat Sayyida Khadija tul-Qubra (سلام الله علیها).

In the history of Islam we don’t find another woman like Hazrat Sayyida Khadija tul-Qubra for who Allah(تعالی) sent greetings via Sayiduna Jibra’il (علیه السلام).

Hazrat Abu Hurayra(رضي الله تعالی عنه) said “Jibreel came to the Prophet and said, ‘O Messenger of Allaah! This is Khadija coming to you with a dish. When she reaches you, greet her on behalf of her Lord and on myu behalf and give her the great news of having a palace made of Qasab in Paradise, wherein there will be no noise (soundproof).

Ahle Islam Ki Maadrane Shafiq
Baanwane Taharat Pe Lakhon Salaam
Jalwa Gayyane Baitush Sharaf Par Durood
Pard Gayyane Iffat Pe Lakhon Salaam
Sayyema Pahli Maa Kahfe Amno Ama’n
Haq Guzare Rifakat Pe Lakhon Salaam
Arsh Se Jispe Tasleem Naazil Hue
Us Saraye Salamat Pe Lakhon Salaam
Manzilun Min Kasab La Nasab La Sakhab
Aise Koshak Ki Zeenat Pe Lakhon Salaam
(Ala Hazrat)

Naam: Sayyadna Khadija Raziyallahu Taala Anha

Waalid: Khawilad bint Asad

Walida: Fatima bint Zaaydah

Wiladat: Huzoor ﷺ ki Wiladat se 15 Saal Qab

Shau’har: Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam (ﷺ)

Nikah: Elane Nubuwat Se 15 Saal Qabl

Aulad: (6) Hazrat Qasim, Hazrat Abdullah,Hazrat Zainab,Hazrat Rukayya, Hazrat Umme Kulsum, Hazrat Fatima Zahra Rizwanullahi Taala Alaihim Ajmayeen

Wisaal: 10 Ramzan Hijrat Se 3 Saal Qab

Allah(تبارک وتعالی) give us the true ability to love, honour and respect the Mother of Believers (Wife) of Sayiduna Rasoolullah (ﷺ)

WhatsApp Image 2019-05-16 at 12.52.35 PM

#10th #Ramzan Yaum E Wisal E Umm Ul Mominin, Joza E Rasool, Madar E Batool, Nani E Hasnain Karimain, Sayyidah Tahira Aabida Pakiza Zahida Khadijat Al Qubra سلام اللہ علیہا

-> Sayyidah Khadijat Al Qubra ع Ka Zikr Aapke Wisal Ke Ba’ad Bhi Barha Kiya Jata Tha:-

Sayyidah Ayesha Siddiqa سلام اللہ علیہا Farmati hai ke Mai Nabi e Kareem صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ki Azwaj e Mutaherat علیہم السلام par mai kisi par Itna rashq nhi karti Jitna Sayyidah Khadija ع pe Halanke wo mere nikah se pehle hi Intekal farma gayi thi lekin Mai aap ع ko Inka zikr farmate huye sunti thi.

Hazrat Ayesha Siddiqa سلام اللہ علیہا farmati hai ke hayat E Zahiri ke aakhri Ayam Mai Huzoor علیہ السلام Inka zikr Es kasrat se farmaya karte Barha aisa hota ke Mai Rashk E Aamez Jazbat ki shiddat se maglub Ho jati aur Ba’az awkat Itna Zikr Hota ke usse mazbur hoke Gila Karne lagti aur baad Mai mujhe iska dukh bhi hota.

-> Khadija سلام اللہ علیہا Ke Alawa Aur Koi Khatoon Hai Hi Nhi:-

Hazrat Ayesha Siddiqa رضی اللہ عنہ Farmati hai Ke Ek Dafah Risalat E Ma’ab صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم Apni Mazi ki biti huyi baato ko yaad kar rahe hai the ke aur Hazrat E Khadija سلام اللہ علیہا ka zikr is Kasrat se darmiyan Mai aaya ke Ba’az awkat Mai Huzoor ع Ki Khidmat Mai Arz Kardeti Ke Dunia Mai Khadija سلام اللہ علیہا Ke Siwa Koi Awrat Hai Hi Nhi

-> Sha’ab E Abu Talib علیہ السلام :-

Ye wo jagah he jaha Huzoor Sarwar E Qaunain صلی اللہ علیہ و آلہ و سلم ne Apne Chacha Huzoor Sayyiduna Abu Talib علیہ سلام, Apni Zoja Sayyidah Khadijat Al Qubra سلام اللہ علیہا Aur Apne Bhai Sayyiduna Maula Ali علیہ السلام aur khanwad علیہم السلام ke digar afrad ke sath 3 saal guzare. Us Ghati Mai jo ek Tarah ka Qaid Khana Tha. Ye ek ghati he Mecca se door jaha par sarkar E do Aalam صلی اللہ علیہ و آلہ و سلم ne 3 saal na qabile bayan aur Bohot taklif ke saath Basar kiye. 3 saal Baad jab ye Mamla Khatam Hua To Bimari Aur Zayifi ke Aalam Mai Sayyidah Khadijat Al Qubra Ka Waisal Ho Gaya. Aap صلی اللہ علیہ و آلہ و سلم Abhi us gham se ubhre bhi na the Aur ye Saal Khatam Bhi Nhi Hua Tha ke aap ع ke chacha Sayyiduna Abu Talib علیہ السلام ka bhi Wisal hogaya. Es Dohre Sadme ke bina par jo Huzoor ki ek hi Saal Mai uthana padha. Es wajah se is Saal ki ” Aam Ul Hujn ” Yani Gham Ka Saal kaha jata hai.

Kitab:- Sirat E Sayyidah Khadijat Al Qubra سلام اللہ علیہا
Safah:- 31, 32, 42 43
Musannif:- Dr. Muhammad Tahir Ul Quadri

WhatsApp Image 2019-05-16 at 12.51.58 PM

کہتا ہے تیری شان میں قرآن خدیجہّ
دین کو دیا ہے مال ہے بیان خدیجہّ

بیاں کروں کیسے تیری شان خدیجہّ
نواسے ہیں تیرے جنت کے جوان خدیجہّ

شوہر ملا جسکو مزمل و مدثر
کل انبیاّ کا وہ بھی ہے سلطان خدیجہّ

بیٹی ملی جسکو وہ خاتون جناں ہے
ہے داماد تیرا کل ایمان خدیجہّ

نواسی تیری ایسی جو حیدرّ بھی بنی ہے
ہلایا تھا جس نے یذید کا ایوان خدیجہّ

راس آۓ گی نہیں اس کو بھی جنت کی ہواۂیں
جو رہیتا ہے تیرے رتبے سے انجان خدیجہّ

مالوں سے مدد اور کبھی جانوں کے نذرانے
ہے دین پہ تیرے کنبے کا احسان خدیجہّ

کنبہ تیرا ہردور میں ہے دین کا سہارا
اس منزل حق کی ہے عرفان خدیجہّ

آۓ نزع مجھ پہ تو رفیق کو عطا ہو
کردینا میری منزل کو آسان خدیجہّ
سلام اللہ علیہا

Advertisement