
Imam Hasan ibne Maula Ali Alaihi-Mussalam bayan karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Hum Ahle Bayt ki Muhabbat ko Lazim pakdo. Pas beshaq wo shakhs jo is haal me Allah se mila ke wo Hamse Muhabbat karta tha, to wo Hamari Shafa’at ke sadqe Jannat me dakhil hoga aur Us Zaat ki Qasam Jiske Qabza-e-Qudrat me Meri Jaan hai! Kisi shakhs ko uska amal fayeda nahi dega magar Hamare Haq ki Marifat ke sabab.”
(Yaani Ahle Bayt ki Azmat ko maanna aur Unse baypanah Muhabbat karne se he Shafa’at nasib baaki aamal kaam aayenge, warna sab kuch bekaar hojayega).
Tabrani, Mujam al Awsat, 2/360, Hadees 2230
Haysami, Majma uz Zawaid, 9/172
An Najabat fee Manaqibis Sahabati wal Qarabat (RadiAllahu Anhum), Page 435, Hadees 444
Allahumma Salli wa Sallim wa Baarik Ala Sayyedina Muhammadiw wa Ala Ahlul Bayt.