PART 18
FAKAR AUR FAKEER
Hazrat faramte hai:- duniya se infitaah kat’ai ko fakar aur maasawaye Allah se mustgani hone wale ko fakeer kahte hai.
KASBO ASBAAB
Hazrat farmate hai :- “kasbo asbaab ko sab muaash na banao:” ya khuda par bharosa karo ya masiwaye Allah se mustgani ho jao.
KANA’AT
Hazrat farmate hai ki :- fakeer isi par kana’at karta hai jo we talabgaib se isko pahunche.
TAWAKKUL
Hazrat farmate hai :- “ mar jaye magar kisi ke aage haath na felaye” aur agar 7 roj ka faka bhi ho to tab bhi juban par uske shaikayat na aaye kisko tasdik hai . yah khuda se bhi nahi mangta aur bakhubi samjhta hai jo kismet ka milkar rahega.
Ek aur mouke par hazrat ne farmaya :- fakeer ko chahaiye ki Allah se bhi na mange kya wah janta nahi hai . jo shorag se bhi jyada kareeb hai.
Ek marataba hazrat ne yah bhi farmaya :- “fakeer wah hai jo laatma aur rajaao taslim par qayam rahe” aur fakeer khuda ka aashiq hota hai aur aashiq ko chahiye ki wahi kare jo maashooq ki rajaa ho na mange aur na inkar kare. Isi ka naam rajaao taslim hai.
MAAFI
Hazrat farmate hai :- “ agar kisi ke haath taqleef pahunche to kabl’is ke wah munf’al ho tum maaf kar do”
PART 19
BADLA
Hazrat farmate hai :- bawajood ikhtiyar ke dushman se bhi badna na lo kyunki fa’al haqiqi ek hai to ujr kisse aur koun hoga.
BUGJ
Dushman se bugj rakhne me apna nuksan hai ki bugj ki fasaayat kalb ki latafat ko kharab karti hai .
EHSAAN
Hazrat farmate
hai :- kisi bandh par ehsaan karne se khuda ke un ehsanat ki haqiqat samjhne ka sha’oor hota hai . jo har us waqt yah bandah nawaj tum par karte hai aur yah sha’oor hasil hone se shukr ki toufik hoti hai . aur yah shakreen me shumar hota hia aur dusre ka ahsaan yad rakho aur apna ehsan bhool jao aur apne ehsaan ka jikr kana ehsaan ke fayyde ko mitata hai.
WAYDA
Hazrat farmate hai :- wayda karo to usko pura karo kyunki ifaaye wayda karna gunaah hai