PART 16
TOUHID JAAT
Touhid jaat ke muta’aalik hazrat is tarah farmate hai touhid jaat yah hai ki kasrat me wahdat ki najar aaye.
TOUHID HAQIQI
Touhid haqiqi hazrat farmate hai … mashrawe ishq touhid haqiqi ki tariff yah hai ki apne wajood ke idrraaak ki aisi nafi karna ke hasti haqq ke saamne tainaat ki hasti mansood aur nabood ho jaye. Aur fanaa ke baad hazrat ahadees ko yah karab wa itsaal naseeb ho jiski hiyaat abdi aur bakaye sarmadi kahte hai.
TOUHID HAALI
Touhid haali ki tariff ka khulasa bayan karte hue hazrat farmate hai …..
Jo masjid me wah hi masjid me hai naam ka fark hai warna intijima bigad jayega.
PEER AUR MUREED
Peer aur mureed ka rishta duniyawi rishto par kaifiyat rakhta hai. Mureed ko chahiye ki iradat aur aqidat ke jajbaat se maagoor hona aur peer me inaayat aur rafkkat wa darjaye upar hona jaruri hai.
Hazrat farmate hai… jo mureed apne peer ko door samjhe wa mureed haqiqat me sachcha mureed nahi hai. Wah mureed to hai lekin nakees hai aur mureed mashl bimar ke hai aur we maljaaye tabiyat ke hota hai aur qayda hai ki jo bimar tabiyat ki hidayato par amal karta hai,. Iraako shafa jald hoti hai aur mureed ki markaj taslim wa muhabbat hai jo isse hatt gaya wah khraab hua aur jo is par qayam raha wah qamyaab wa kamraa hua. aur dar haqiqat mureed wah hai jiski muraad iska peer ho ek aur mouka ya hazrat ne farmaya ..ki mureed ke waste pahli shart yah hai ki jo hadd peer ne iske liye tajbeej kiye hai. Isse bahar kadam na rakhe aur mureed ko khud bini muraad se mehboob rakhti hai. Aur mureed sadiq wah hai jo peer ke samne apni murad ko bhool jaye . ek dafaa to hazrat ne saaf tour par aur ailaaniya tour par aur dete hue farmaya…..
Mureed ko chahiye ki apne peer se is tarah mile jis tarah katraa daariya se mil jata hai to isi katre ko sab dariya kahte hai. Aur peeer ki murat me khuda milta hai,.
PART 17
FANAFIL SHAIKH
Fanafil sheikh ki wajahat farmate hue hazrat ne farmaya ki jo mureed sadaf iradat se apne afjaal me peer ki mubafik karta hai. Iske fanafil sheikh kahte hai.
FANAFIL RASOOL AUR FANAFILLAH
Hazrat farmate hai …. Mureed sadikikal iradat apni hasti ko jab peer ki hasti ke samne fanaa karta hai aur isko fanafil sheikh ka martaba hasil hota hai. to isi ke sath dusra aur teesra darja bhi tay ho jata hai yaani peer hi ki shakal me isko fanaafil rasool aur fanaa fillah ka martaba mil jata hai.
ADAL MUHABBAT KA JEWAR
Hazrat fermate hai:- tumko nahi maloom ki jabt ahle muhabbat ka khaas jewar hai. hazrat se jab pucha gaya ki kya yeh jaruri hai ki jindagi hi me jaban band karne se sath sath aankhe bhi band kar li jaye to hazrat ne is tarah samjhaya ki pahle yah baat jaan lena jaruri hai ki aankhe band karne se kya muraad hai . aankhe band karne ka matlab yah nahi hai . jo aam tour par samjha jata hai. baat yah hai ki makhlooq ko achchi nisbat se chahe bagour dekha jaye ya sarsari tour par mubah hai. karsaaj haqiqi ki san’at ko dekhna chahiye wah ibarat hi ke waste kyu na hi ibadat hai albatta mashrawe ishq me maaswaye mehboob ko aisi mulaqat najar se dekhna jo shakhs manjoor ke sath inhmaak paida karde gairat ishq ke man ki hai. kyunki haqiqat me maswaye ya jumla moujudaad ke asraat ko dil se jaa’il aur fanaa karna ka naam ishq hai.
Ishq ke silo se muraad yah hai ki jis tarah baaj ki ankhe jab see dete hai to wah kisi ko nahi dekhta isi tarah tum apni aankhe soujne muhabbat se sambhalo yaani yaar par ma’il ho aur agiyaar se gaafil raho aur khalak me kisi surat ko aisi ragwat se na dekho jiska ta’alook dil me jagiji ho pas wa jahir khalak me har chij ko dekho magar gafil haqiqate bagair ek ke sabse ‘na aashna rahe’ Hazrat ne farmaya :-
Baid ki sahi tariff yah hai ki qalb ki aankhie hijaab mashahida kyunki jahiri aankhein ijjaye jismani aur aalat bashuri me shamil hone ke lihaj se khalak ko dekhti hai aur batini aankhein chuu ki siftbasir me mousuf hai jo sifte ilahi me makhsood sift hai . isliye wah an barehaqq ko dekhti hai . aur insane jab haqiqat ke ramooj muaane ko dekhta hai. tab isko yakin kamil hota hai jo tasdeek ka pahla jeena hai. aur isko badyat bilwasta kahte hai . kyunki murad ki yah kamiyabi peer ki inayat par moukuf hai