
Roza aur Quraan Sifarish Karenge
*Mafhoom-e-Hadees*
RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai ke “Qayamat ke din Roza aur Quraan sifarish karnege uspe amal karnewale ke haq me.” aur Roza aakar kahega ke “Aye Allah ! ye Shakhs meri Khaatir Khane-Piney se aur Shehwat se rukta raha. lihaja meri sifarish iskey haq me kabool kar.” aur Aap (Sallallahu alaihay wasallam) ne aagey farmaya ke: “iski sifarish qabool hogi.” Aur Quraan aa kar Allah se sifarish karega ke “Aye Allah! ye banda mere liye Raato me jaagta raha (Qayamulil yaani Raato ki Namaz me Tilwat-e-Quran karta raha). lihaja meri sifarish iskey haq me qabool kar…”Aur Aap (ﷺ) aagey farmatey hai ke “iski bhi sifarish qabool ki jayegi, dono ki sifarish qabool ki jayegi.” [Musnade Ahmad Hadees No-2034]
*Tou Roza Sifarashi hai, khushu aur khuju ke sath, tamam fitno se khudke Nafs ko bachatey huye, jaisa iska haq hai agar waisa isko hum rakhenge tou ‘in sha Allah ul Azeez’ hum Roze ke Sifarish ke Mustahiq ho jayenge.*