
*Ramadan Ke Aagaz Par Sayyedna Imam Zain al-Abidin (علیہ السلام) Ki Dua*
Saari Hamd Us Allah Ke Liye Jisne Humein Hamd Ki Hidayat Di Hai, Aur Is Ahal Qarar Diya Hai Ke Hum Uska Shukriya Ada Karne Walon Mein Shumar Ho Jayein Saari Hamd Us Allah Ke Liye Hai Jisne Humein Apna Deen Ata Farmaya Aur Apne Ahsan Ke Raston Par Laga Diya Takey Uske Ahsan Ke Sahare Us Ki Marzi Tak Pohoch Jayein Aisi Hamd Jisey Woh Humse Qubul Karle Aur Uske Zariye Humse Razi Ho Jaye_
Saari Hamd Us Allah Ke Liye Hai Jisne Hamare Khair Ke Raston Mein Se Ek Rasta Apne Mahine Ko Qarar Diya Hai Jo Ramadan Ka Mahina Hai Rozon Ka Mahina Hai Aur Raaton Ko Qayam Ka Mahina Hai, Jismein Usne Is Quran Ko Nazil Kiya Hai Aur Isey Logon Ke Liye Hidayat Aur Hidayat Ke Saath Haq O Batil Mein Imtiyaz Ki Khuli Nishani Qarar Diya Hai, Is Mahine Ki Ek Raat Ko Hazar Mahinon Ki Raaton Se Afzal Qarar Diya Hai Aur Uska Naam Shabe Qadr Rakh Diya Hai.
📚 (Sahifa al-Sajjadiyya, Safah-257)