
Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat karte hain ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihe Wa Aalahi WaSallam ne Farmaya : Jab Allah Ta’ala Kisi Bandey Sey Muhabbat Karta hai toh Hazrat Jibra’il Alaihissalam Ko Aawaaz Deta hai ke Allah Ta’ala Fula’n Bandey Sey Muhabbat rakhta hai, Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo Phir Hazrat Jibra’il Alaihissalam bhi Ussey Muhabbat Karte hain. Phir Hazrat Jibra’il Alaihissalam Aasmaani Makhlooq Me Nida (Aawaaz) Deytey Hain Ke Allah Ta’ala Fula’n Bandey Sey Muhabbat Karta hai. Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo. Pas Aasmaan Waaley Bhi Ussey Muhabbat Karney Lagtey Hain. Phir Zameen Waalon (Key Dilon) Mey Uski Maqbooliyat Rakh di Jaati hai.!
Muttafaque Alayh Bukhari As-Shahih, 03/1175, #3037, & 05/2246, #5693, & 06/2721, #7047, Muslim As-Shahih, 04/2030, #2637. Malik Al-Muwatta, 02/953, #1710. (Al-Minhaj-us-Sawi, Dr Tahir ul Qadri, Safah-644, Raqam-728.) Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Barik wa Sallim.