
20 Safar ul Muzaffar Chehlum Imaam e Aalimaqaam Hazrat Syedna Mola Imaam Hussain (Alaihis Salam) wa Shohada e Karbala (Alaihimus Salam)

Allama Abu Ishaq Isfarayini Apni Kitaab Noor un Aeen Fi Mashadul Hussain Me Naqal Farmate Hai Ki Jab Qafila Damishq Se Madina Munavvara Ke Liye Rawana Hua To Raste Me Ahle Baith e Rasool Ne Hazrat Noman Se Kha Ki Hamari Ye Aarzu Hai Ki Hame Ba Rasta Karbala Le Chale Take Ham Dekh Sake Ki Hamare Azeezo Ki Lashe Usi Tarha Be Gor o Kafan Padi Hai Ya Kisi Ne Dafan Kar Di Unhone Baat Man Li “Chunache Ye Qafila Mahe Safar Ki 20 Tarkeeh Ko Karbala Poucha Us Din Hazrat Imaam Ki Shahadat Ko 40 Roz Guzar Chuke The” Jab Un Bibiyo Ne Fir Usi Maqaam Ko Dekha Jaha Unko Pani Ki Ak Ak Boondh Ke Liye Tarsaya Gaya Tha, Jaha Chamane Zehra Ko Ujara Gaya Tha, Jaha Gulshan e Risalat Ke Lehlahate Hue Phoolo Ko Teero Se Chalni Kiya Gaya Tha, Jaha Rakib e Doshe Rasool (Sallallahu Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam) Ko Zakhmo Se Choor Choor Karke Ghode Se Gira Kar Khak o Khoon Me Tarpaya Gaya Tha, Farzande Rasool Ko Barhana Karke Unke Mukaddas Jism Ko Ghode Ki Tapo Se Pamaal Kiya Gaya Tha Ahle Baith e Rasool Ke Khaime Jalaye Gaye The Un Paak Bibiyo Ka Saaz o Saman Luta Gaya Tha Unhe Qaidi Banaya Gaya Tha Ak Ak Kar Ke Wo Ja Gusal Aur Rukh Farsa Munazir Aankho Ke Samne Aa Gaye Aur Be Ikhtiyar Sab Ki Hijkiya Bandh Gayi, Syyeda Zainab Farma Rahi Thi Yaha Hamare Khaime The Yaha Hamare Janwar Bandhe Gaye The Yaha Hamare Janwar Ke Kajawe Rakhe Gaye The Phir Bar’aayi Hui Aawaz Me Farmaya Yaha Bhai Abbas Kate Fate Lete The Yaha Mera Ali Akbar Khak o Khoon Me Aaluda So Gaya Tha, Yaha Mera Masoom Asghar Mera Jawan Qasim Mera Aun o Muhammad Ke Be Sar Jism Pade The Aur Phir Apne Piyare Bhai Syedna Imaam Hussain Ka Naam Lete Hi Unki Cheekhe Nikal Gayi Imaam Ki Qabr e Anwar Par Apna Muh Rakh Ke Syyeda Ne Salam Kaha Aur Is Dard Se Rooi Ke Rote Rote Behaal Ho Gayi Sab Qafile Walo Ke Rone Ki Sadae Buland Hui Ak Qayamat Qayam Ho Gayi Bibiyo Ne Apne Azeezo Aur Syyedush Shohada Ki Qabro Par Jin Alfaaz Me Apne Qalbi Jazbaat Ka Izhar Kiya Hoga Wo Kon Bayan Kar Sakta Hain, “Ak Raat Un Sabne Waha Fateha Khuwani Aur Zikr o Tilawat Me Guzari,” Bawakt e Ruksat Syyeda Zainab (Razi Allahu Tala Anha) Apne Bhai Ko Ak Baar Phir Alwida Kehne Unki Qabr Par Aayi Rote Hue Jo Kuch Farmaya Shayar Ne Tarjumani Ki, “Tazkiro Me Hai Ki Karbala Ke Qurb o Jawaar Se Bhut Se Log Us Din Markad e Imaam Par Jama The Kyuki Ye Chehlum Ki Fateha Ka Moqa Tha Un Logo Ne Waha Masl Haleem Khana Taiyyar Karke Sab Ko Khilaya” Aur Ahle Baith Rasool Se Apni Aaqidat Ka Izhar Kiya…

Boli Zainab Ye Turbat Pe Aakar
Karbala Se Me Jati Hu Bhai
Hijr Me Tere Hu Sakht Muztar
Karbala Se Me Jati Hu Bhai
Khoon Aaluda Tera Badan Tha
Aur Muyassar Na Goor o Kafan Tha
Haye Kesa Ye Ranj o Mahan Tha
Karbala Se Me Jati Hu Bhai
Koi Sar Par Hamare Nahi Hain
Hain Jo Aabid Wo Zaar o Hazi Hain
Haye Kis Kis Ko Taskeen Dungi
Jake Sughra Se Me Kya Kahungi
Hijr Me Kese Zinda Rahungi
Karbala Se Me Jati Hu Bhai
📚 Reference:- 📚
Qutub e Ahle Sunnat:- Shame Karbala, Safa :- 235, 236, Hazrat Allama Molana Muhammad Shafee Okarvi Sahab (Rehmatullah Alaih)
👥 Share this Msg Your other Group and Other Contacts