“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala Anhuuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Namaz Ada Farma Rahe They, Jab Sajde Me Gaye To Hasnain Karimain عليهما السلام Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Pusht-E-Mubarak Par Sawaar Ho Gaye, Jab Logo’n Ne Unhein Rokna Chaaha To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Logo’n Ko Ishaarah Farmaya Ki Inhein Chhod Do Ya’ni Suwaar Hone Do, Phir Jab Namaz Ada Farma Chuke To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Donon Ko Apni Gowd Me Le Liya.”
Is Hadith Ko Imam Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/50, Raqam-8170,
Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/214, 215, Raqam-261.]