Namaz e Janaza’h ke Ehtaram ka Hukm
Hazrat Abu Sa’eed Khudri RadiAllahu Anhu se riwayat hai ki Nabi e Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa sallam ne Farmaya : Jab Tum Janaza’h dekho to khade ho jao jo Janaza’h ke sath jaye to us waqt tak na baithe jab tak ki Janaza’h rakh na diya jaye.
Bukhari, As-Sahih – 1248, Muslim, As-Sahih – 959, Nisayi, As-Sunan – 1914, Ahmad bin Hanbal, Al-Musnad – 11494, Abu Ya’ala, Al-Musnad – 1157, Dailmi, Al-Musnad ul Firdaus – 1018