Hazrat Aayesha Siddiqa رضی اللہ عنہا se Riwayat hai ki Ek Aadmi Nabi e Akram ﷺ ki Bargah me Haazir hua aur Arz kiya : Meri Walidah achanak faut ho gayi hai’n aur Mera Khayal hai ki Agar Woh (ba-waqt e Naza’a) Guftugu kar Sakti to Sadqa (ki adaygi ka hukm) karti. Agar Mai uski taraf se Khairaat karu’n to kiya use Sawaab pahunchega? Aap ﷺ ne Farmaya : Haa’n
(Imam Bukhari, As-Sahih : 1322, Imam Muslim, As-Sahih : 1004, Imam Abu Daood, As-Sunan : 2881, Imam Nisayi, As-Sunan : 3649, Imam Ibne Maaja, As-Sunan : 2717)