Hazrat Ali ibne Zaid RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Hazrat Abu Talib RadiAllahu Ta’ala Anhu jab Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Takte to ye Ashaar gungunaate:

“Wa Shaqqa Lahu Minis-me-hee Lee Yujillahu
Fazul Arshi Mahmoodun wa Haza Muhammadun”
Tarjuma: “Allah Ta’ala ne Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Takreem ki khatir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ka Naam Apne Naam se nikaala hai,
Pas Arshwaala (Allah Ta’ala) Mahmood aur Ye (Habib) Muhammad Hain (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam).”
[SUBHANALLAH! To kya khayal hai aapka, koi kafir aise Kalimat keh sakta hai? Jiska Allah pe Imaan he nahi, usko Arsh aur Mahmood ka kaise pata? Isliye to Peer Naseeruddin Nasir Rehmatullah Alaih ne farmaya:
“Baad Tehqeeq e Quran o Hadees, Mera Dil Qaayal-e-Imaan e Abu Talib Hai!” (Alaihissalam)]
SallAllahu Alaihi wa Ala Ammihi wa Aalihi wa Barik wa Sallim
Reference:
Bukhari, Tarikh as Sagheer, 1/13, Hadees #31
Ibne Hibban, Sikaat, 1/42
Abu Nuaim, Dalailun Nabuwwah