
Hazrat Abdullah ibne Nujaiyy RadiAllahu Anhu farmate Hain ke Hazrat Maula Ali (عليه السلام) ne Farmaya ke Mai Din Raat me 2 Dafa Huzoor Nabi-e-Akram (صلى الله عليه وآله وسلم) ki Bargah me Haazir Hota.
Jab Mai Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) ki Khidmat-e-Aqdas me raat ke waqt Haazir Hota (aur Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Namaz Ada Farma Rahe Hote) to Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Mujhe ijazat inayat Farmane ke Liye Khaanste.
.
Is Hadees ko Imam Nasai aur Ibne Majjah ne riwayat kiya hai.
.
Hazrat Abdullah ibne Nujaiyy RadiAllahu Anhu Bayan karte Hain ke Sayyeduna Maula Ali (عليه السلام) ne Farmaya: Sehri ke waqt ek sa’at aisi thi ke jisme Mujhe Huzoor Nabi-e-Akram (صلى الله عليه وآله وسلم) ki Bargah me Haazir Hona Nasib Hota.
Pas Agar Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Namaz Padhne keliye Khade Hote to Mujhe Batane keliye Tasbeeh farmate Pas ye Mere Liye ijazat Hoti aur Agar Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Namaz na Padh Rahe Hote to Mujhe ijazat inayat Farma Dete.
.
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai.
.
Refrence :
-Nasayi, Sunan, 3/12, #1212
-Ibne Majjah, Sunan, 2/1222, #3708
-Nasayi, Sunan al Kubra, 1/360, #1136
-Ibne Abi Shaybah, Musannaf, 5/242, #25676
-Ahmed bin Hanbal, Musand, 1/77, #57
-Dr. Tahir ul Qadri, Kanzul Mattalib fee Manaqib Ali ibne Abi Talib Alaihi-Mussalam
.
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ
Note : Apni Namaz me Bhi Kainat ka Tajdar Jinko na Bhuley, Usse tumhe taklif hai? Kya mu dikhaoge marne ke baad Allah aur Rasool ko !.