- कुंडे की नियाज़ की हक़ीक़त।।
- Kunde Ki Niyaz 22 Rajab Ko Hi Honi Chahiye
- 22 Rajab: The concept of Nazr in Islam (Koonday)
- 22-Rajab-Maqam-e-Gausiyat-e-Qubra-maula-Imam-al-Jaafar-e-Sadiq-Alaihis-salam-Mubarak-ho
- 22 Rajab Niyaz_Syedna_Imam_Jafar_Al-Sadiq_(AlahisSalam)
- 22 रजब कूंडे की नियाज़ करना ब-बरकत है ।
- 22 Rajab Day of Hazrat Imam Jaffar Sadiq AlahisSalam _Kunde ke Niyaz.
- 22 Rajab ko Sayyeduna Imam Jafar Sadiq Alaihissalam se kya Nisbat hai?
- कुंन्डे की नियाज़
2012 में छपी है ये किताब “इस्लामी ज़िन्दगी” दावत ए इस्लामी की है जिसे लिखने वाले मुफ़्ती अहमद यार खान नईमी र•अ• है।
इस किताब में 3 जगह सफा न. 75, 79 और 133 पर 22 रजब को ही इमाम की कुंडे की नियाज़ करने का ज़िक्र किया गया है।
बल्कि ज़ोर दिया गया है नियाज़ देने पे
3 4 सालो के दरम्यान मुसलमानो के बीच कुछ ख़ारजी मुनाफ़िक़ घुस आए है जो लोगो को गुमराह कर रहे है उन कामो को करने से जो 1400 सालो से होता चला आ रहा है
नोट-ये किताब दावत ए इस्लामी ने खुद छापी है
इस पर गौर ओ फ़िक़्र जरूर करे।
22 Rajab ko Sayyeduna Imam Jafar Sadiq Alaihissalam se kya Nisbat hai?
“Wilayat 2 tarah ki hain. Ek Wilayat e Kubra yaani Badi Wilayat aur dusri Wilayat e Sugra Choti Wilayat. Jaha Wilayat e Sugra ki inteha hai wahase Wiilayat e Kubra ki Ibteda hai. Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Maula-e-Kainat Sayyeduna Maula Ali Sher e Khuda KarramAllahu Wajhahul Kareem ko Ghadir e Khum ke Muqaam par “Man Kuntu Maula Fa Haza Aliyyum Maula” yaani jiska Mai Maula uska Ali Maula. Aur Jiska Mai Wali uska Ali Wali. Ye Aylan Karke Sayyeduna Ali Alaihissalam ke Zariye Ummat ki Rehnumayi keliye Wilayat ka Darwaza Khola. Ye Wilayat e Kubra Thi. Yaani Imam-e-Wilayat banaya. Sayyeda-e-Kainat Salamullahi Alaiha bhi Is Muqaam par Thin. Fir Hasanain Kareemain Alaihi-Musaalam ko Ye Muqaam Hasil hua. Fir Imam Zainul Aabideen Alaihissalam Samet Purey 11 Imam is Muqaam pe Faaiz hue aur Huzoor Sarkar Gaus ul Aazam RadiAllahu Ta’ala Anhu ko bhi Ye Muqaam Ata hua isliye ab Har Wali Huzoor Sarkar Gaus e Aazam ka Gulam hai. Fir jab 12we Imam Sayyeduna Imam Muhammad Mahdi Alaihissalam ka Zahoor hoga to Aapko bhi ye Muqaam hasil hoga aur Aap par Wilayat ka Darwaza band hojayega yaani Aapke baad koi Wali nahi banega kyunki Qayamat bahot kareeb he hogi us waqt.
To Ye Muqaam Jisey Gausiyat e Kubra bhi kaha jata hai wo sirf In Hastiyo ko Nasib hua aur baaki jitne Aulia hain Sabko Wilayat e Sugra ata hui. To In Mubarak Hastiyo me Jo 6th Imam Hue Unka Naam hai Sayyeduna Imam Jafar Sadiq Alaihissalam!!
Aap Sayyeduna Imam Hussain Alaihissalam ke Pote Sayyeduna Imam Muhammad al Baqir Alaihissalam ke Shehzade Hain. Aur Aap 2 Turk se Sayyeduna Siddiq-e-Akbar RadiAllahu Ta’ala Anhu ke Nawase hain, isliye Aap Farmaya karte ke Mai Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Ta’ala Anhu Ka Dohra Beta Hun!!
Wilayat ka matlab hota hai Marifat yaani Baatini Uloom ka Ilm. To Aap sabse Unche Muqaam e Wilayat pe Faaiz They, magar Zaahiri Ilm me bhi Aap Jaisa koi na tha isliye to Saare Muhaddiseen aur Fuqaha ke Imam, jinhe Imam e Aazam kaha jata hai, Wo Imam Abu Hanifa RadiAllahu Anhu kehte hain Zindagi ke jo 2 Saal Mai Imam Muhammad Baqir aur Imam Jafar Sadiq (Alaihi-Mussalam) ke Kadmo me baitha, agar wo 2 saal meri zindagi me na hote to mai halaak hogaya hota!!
Yaani Imam Jafar Sadiq Alaihissalam ka Wo Ilmi Muqaam wa Martaba hai ke jo Unke Kadmo me baith jaaye (yaani gulami, shagirdi me aajaye) to wo “Imam-e-Aazam” hojaye!!
Ye to They Deeni Uloom, Scientific Knowledge me bhi Aapka koi Saani nahi.
Chemistry ke founder Imam Jafar Sadiq Alaihissalam Hain aur Mashoor Islamic Scientist Jabir ibne Hayyan, Aap he ke Shagird hain!! Kitabo me Aapke aur bhi Zabardast Scientific Knowledge aur Contribution ke bareme bhi aaya hai!!
To isi tarah 22 Rajjab ul Murajjab ko Allah Ta’ala ne Aapko Gausiyat-e-Kubra ke Muqaam pe Faaiz Farmaya, iske Shukrane ke Taur pe Aapne Niyaz banake logo ko Khilaya.”
Aur aaj Imam Alaihissalam ke Muhibbeen Imam-e-Aali Muqaam ki Bargah me Khiraaj-e-Aqeedat, Isaal-e-Sawab ki niyat se logo ko apne ghar bulaake khilaate hain. Agar to koi Isaale Sawab ka he munkir hai, to ussey to koi baat he nahi. Haan lekin jo Isaal-e-Sawab ko maanta hai, apne gharke marhoomo keliye bhi Isaal e Sawab karta hai, Auliya ke Urs pe bhi karta hai, agar usko Imam Jafar Sadiq Alaihissalam ke Mubarak Naam ki Niyaaz se taklif hai to iska matlab hai ke us badbakht ko Ahle Bayt-e-Ath’aar se he taklif hai. Aur jiske dilme Ahle Bayt-e-Pak Alaihi-Mussalam se bugz hai to uska sab kuch barbaad hai.
22 Rajab ko Sayyeduna Imam Jafar Sadiq Alaihissalam se kya Nisbat hai?
“Wilayat 2 tarah ki hain. Ek Wilayat e Kubra yaani Badi Wilayat aur dusri Wilayat e Sugra Choti Wilayat. Jaha Wilayat e Sugra ki inteha hai wahase Wiilayat e Kubra ki Ibteda hai. Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Maula-e-Kainat Sayyeduna Maula Ali Sher e Khuda KarramAllahu Wajhahul Kareem ko Ghadir e Khum ke Muqaam par “Man Kuntu Maula Fa Haza Aliyyum Maula” yaani jiska Mai Maula uska Ali Maula. Aur Jiska Mai Wali uska Ali Wali. Ye Aylan Karke Sayyeduna Ali Alaihissalam ke Zariye Ummat ki Rehnumayi keliye Wilayat ka Darwaza Khola. Ye Wilayat e Kubra Thi. Yaani Imam-e-Wilayat banaya. Sayyeda-e-Kainat Salamullahi Alaiha bhi Is Muqaam par Thin. Fir Hasanain Kareemain Alaihi-Musaalam ko Ye Muqaam Hasil hua. Fir Imam Zainul Aabideen Alaihissalam Samet Purey 11 Imam is Muqaam pe Faaiz hue aur Huzoor Sarkar Gaus ul Aazam RadiAllahu Ta’ala Anhu ko bhi Ye Muqaam Ata hua isliye ab Har Wali Huzoor Sarkar Gaus e Aazam ka Gulam hai. Fir ja