Hazrat Shaikh Sayyed Abul Qaasim Qaadri rahmatullāhi alaihi

36609176_1315085158626005_77505313376305152_n

Hazrat Shaikh Sayyed Abul Qaasim Qaadri rahmatullāhi alaihi :

Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Hare Bhare Shaah.

****************
Aap ka watan Sabzvar (Iran) hai.
Aap Mughal baadshaah Shaah Jahaan ke daur me Delhi tashreef laaye.

****************
Aap Hazrat Shaah Makhalli rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap ke khalifa Hazrat Soofi Muhammad Saeed urfe Sarmad Shaheed rahmatullāhi alaihi hain.

****************
Aap ka mazaar Meena Bazar, Delhi me hai.

Aap ka urs 19 Shawwaal ko manaaya jaata hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Sayyed Abul Qaasim Qaadri rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Allah Kay Rusool Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Sab Say Zeyada Allah Ko Jantay Hain

Jild 1 Hadees 19

Roman Urdu :
Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Jab Logon Ko Aisay Aamaal Ka Hukam Detay Jo Wo Hamesha Kar Sakain ( Ebadaat-e-Shaq’qa Ki Targheeb Kabhi Unko Na Detay Thay ) Sahaba Nay Arz Kiya Ya Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ham Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Misal Nahi Hain, Beshak Allah Nay Aap Kay Aglay Aur Pichlay Gunah Muaaf Kar Diye Hain, Iss Par Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ghazab Naak Huwe Hatta Kay Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Kay Chehra-e-Mubarik Say Ghussa Zahir Honay Laga, Phir Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Tum May Sab Say Zeyada Allah Ta’ala Ka Jan’nay Wala Mein Hoon.
Sahih Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No.19
Hadees Marfooh : Mukarrarat 6 : Muttafiq Alaih 1

English Translation :
Narrated ‘aisha: Whenever Allah’s Apostle Ordered The Muslims To Do Something, He Used To Order Them Deeds Which Were Easy For Them To Do, (according To Their Strength Endurance). They Said, “o Allah’s Apostle! We Are Not Like You. Allah Has Forgiven Your Past And Future Sins.” So Allah’s Apostle Became Angry And It Was Apparent On His Face. He Said, “i Am The Most Allah Fearing, And Know Allah Better Than All Of You Do.”